Shehr ye dosron ka tha jis mein humen saha gaya Aj ye bat soch kar dil se har ek gila gaya



شہر یہ دوسروں کا تھا جس میں ہمیں سہا گیا
آج یہ بات سوچ کر دل سے ہر اک گلہ گیا 

Shehr ye dosron ka tha jis mein humen saha gaya
Aj ye bat soch kar dil se har ek gila gaya

 
دل، یہ عجیب بات ہے، تیری نہیں سنی گئی
تھے جو بلا کے سنگدل ان کا کہا سنا گیا 

Dil, ye ajeeb bat hai teri nahi suni gaiy
Thay jo balaa ke sangdil, un ka kaha suna gaya

 
ہاں تری آرزوئے ناز ہم کو بہت عزیز تھی
پر ترے کوئے ناز میں ہم سے نہیں رہا گیا

Han teri arzu e naz hum ko bohat aziz thi
Par tere ku e naz mein hum se nahi raha gaya

 
ہار سنگھار ہے اداس اور وہ یوں کہ اک پرند
چھوڑ کے اپنا آشیاں جانے کہاں چلا گیا 

Haar singhhar hai udas aur wo youn ke ek parind
Chhod ke apna ashiyan jane kahan chala gaya

 
اس کا حساب حشر تک کون لگائے گا بھلا
تجھ سے گیا تو کیا گیا، مجھ سے گیا تو کیا گیا 

Is ka hisab hashr tak kaun lagaye ga bhalaa
Tujh se gaya to kia gaya, mujh se gaya to kia gaya

 
دل کا ہماری ذات سے اور برونِ ذات سے
جونؔ عجب تھا سلسلہ ہائے وہ سلسلہ گیا

Dil ka hamari zat se aur baroon e zat se
Joan ajab tha silsila, haye wo silsila gaya

 
جونؔ ایلیا
Joan Elia


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo