Tere khayal ke sadqe, ye kia muqam aya Kabhi hayat kabhi maut ka payam aya



ترے خیال کے صدقے، یہ کیا مقام آیا
کبھی حیات کبھی موت کا پیام آیا
Tere khayal ke sadqe, ye kia muqam aya
Kabhi hayat kabhi maut ka payam aya

 
ترا خیال  مرا سوزِ آرزوئے سحر
کوئی تو تھا شبِ فرقت جو دل کے کام آیا
Tera khayal mera soz e arzu e sehr
Koi to tha shab e furqat jo dil ke kaam aya

 
کسی امید کا مارا دکھائی دیتا تھا
وہ خوش نصیب پرندہ جو زیرِ دام آیا
Kisi umeed ka mara dikhaiy deta tha
Wo khush naseeb parinda jo zer e daam aya

 
کسی کے خط میں کہیں ذکر تک نہ تھا اس کا
وہ اک پیامِ خصوصی جو دل کے نام آیا
Kisi ke khat mein kahin zikr tak na tha us ka
Wo ek payam e khusoosi jo dil ke naam aya

 
نہ پوچھ کتنی حیات آفریں ہے راہِ وفا
سنا ہے، دل بھی اسی مرحلے میں کام آیا
Na pooch, kitni hayat afreen hai raah e wafa
Suna hai, dil bhi isi marhale mein kaam aya

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo