وہ بچھڑ کر بھی کہاں مجھ سے جدا ہوتا ہے
ریت پر اوس سے اک نام لکھا ہوتا ہے
Wo bichhad kar bhi kahan mujh se juda hota hai
Ret par oas se ek naam likhha hota hai
خاک آنکھوں سے لگائی تو یہ احساس ہوا
اپنی مٹی سے ہر اک شخص جڑا ہوتا ہے
Khak ankhon se lagaiy to ye ehsas hua
Apni mitti se har ek shakhs juda hota hai
ساری دنیا کا سفر خواب میں کر ڈالا ہے
کوئی منظر ہو مرا دیکھا ہوا ہوتا ہے
Sari duniya ka safar khwab mein kar dala hai
Koi manzar ho mera dekha hua hota hai
میں بھلانا بھی نہیں چاہتا اس کو لیکن
مستقل زخم کا رہنا بھی برا ہوتا ہے
Main bhulana bhi nahi chahta us ko lekin
Mustaqil zakhm ka rehna bhi bura hota hai
خوف میں ڈوبے ہوئے شہر کی قسمت ہے یہی
منتظر رہتا ہے ہر شخص کہ کیا ہوتا ہے
Khauf mein doobe huay shehr ki qismat hai yehi
Muntazir rehta hai har shakhs ke kia hota hai
منور رانا
Munawar Rana
No comments:
Post a Comment