Yeh Hum Ghazal Mein Jo Harf o Bayan Banate Hein Hawa e Gham Ke Liye Khidkiyan Banate Hein



یہ ہم غزل میں جو حرف و بیاں بناتے ہیں
ہوائے غم کے لیے کھڑکیاں بناتے ہیں

Yeh Hum Ghazal Mein Jo Harf o Bayan Banate Hein

Hawa e Gham Ke Liye Khidkiyan Banate Hein


انہیں بھی دیکھ کبھی اے نگار شام بہار
جو ایک رنگ سے تصویر جاں بناتے ہیں

Unhein Bhi Daikh Kabhi Ae Nigar e Sham Bahar

Jo Aik Rang Se Tasweer Jan Banate Hein


نگاہ ناز کچھ ان کی بھی ہے خبر تجھ کو
جو دھوپ میں ہیں مگر بدلیاں بناتے ہیں 

Nigah e Naaz Kuch Unki Bhi Hai Khabar Tujh Ko

Jo Dhoop Mein Hein Magar Badliyan Banate Hein


کسی طرح نہیں جاتی فسردگی دل کی
تو زرد رنگ کا اک آسماں بناتے ہیں

Kisi Tarah Nahi Jati Fasurdgi Dil Ki

Tou Zard Rang Ka Ik Aasman Banate Hein

احمد مشتاق

Ahmad Mushtaq

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo