Har baar parinde nahi atay hain palat kar Har baar parindon ko rihaiy na dia kar



ہر بار پرندے نہیں آتے ہیں پلٹ کر

ہر بار پرندوں کو رہائی نہ دیا کر

Har baar parinde nahi atay hain palat kar

Har baar parindon ko rihaiy na dia kar

 
اب تیری وضاحت میں صداقت نہیں لگتی

اب اپنی محبت کی صفائی نہ دیا کر

Ab teri wazahat mein sadaqat nahi lagti

Ab apni muhabbat ki safayi na diya kar


بیچا ہوا دل پیش نہ کر سادہ دلوں کو

اپنوں کو کوئی چیز پرائی نہ دیا کر

Bacha hua dil pesh na kar sada dilon ko

Apnon ko koi cheez paraiy na dia kar

 
ہر وقت دکھائی نہیں دے سکتا اگر تُو

ہر وقت مجھے مجھ میں سُنائی نہ دیا کر

Har waqt dikhhaiy nahi de sakta agar tu

Har waqt mujhe mujh mein sunaiy na dia kar


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo