Kisi se ishq karna aur us ko ba khabar karna Hai apne matlab e dushwar ko dushwar tar karna



کسی سے عشق کرنا اور اس کو با خبر کرنا
ہے اپنے مطلب دشوار کو دشوار تر کرنا
Kisi se ishq karna aur us ko ba khabar karna
Hai apne matlab e dushwar ko dushwar tar karna

 
نہیں ہے موت پر کچھ اختیار اے وائے مجبوری
امید مرگ میں مشکل بسر کرنا مگر کرنا
Nahi hai maut par kuch ikhtiyar ay waye majboori
Umeed marg mein mushkil basar karna magar karna

 
جو پر تھے مایۂ پرواز میں وجہ گرانباری
غرور بال و پر کرنا تو مجھ کو دیکھ کر کرنا
Jo par thay maya e parwaz mein wajah e giran baari
Ghuroor e baal o par karna to mujh ko dekh kar karna

جفا کر شوق سے تو، ضبط پر میرے نہ جا ہرگز
شکایت کیا مجھے، یہ کام ہے جب عمر بھر کرنا
Jafa kar shauq se tu zabt par mere na hargiz ja
Shikayet kia mujhe, ye kaam hai jab umr bhar karna

 
جفا ان کی وفا پرور وفا میری جفا پرور
وہ ان کو عمر بھر کرنا، یہ مجھ کو عمر بھر کرنا
Jafa un ki wafa parwar wafa meri jafa parwar
Wo un ko umr bhar karna, ye mujh ko umr bhar karna

 
سر رہ پوچھتے ہیں حال، کیا کہیے کہ مشکل ہے
بیان درد دل کرنا اور اس کو مختصر کرنا
Sare reh poochte hain haal, kia kahiye ke mushkil hai
Bayan e dard e dil karna aur us ko mukhtasir karna

 
توجہ چارہ گر کی باعث تکلیف ہے ساحر
اضافہ ہے مصیبت میں دواؤں کا اثر کرنا
Tawajju charah gar ki ba’is e takleef hai
Sahir
Izafi hai museebat mein dawaon ka asar karna


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo