Waqt ke kitne hi rangon se guzarna hai abhi Zindagi hai to kaiy tarah se marna hai abhi



وقت کے کتنے ہی رنگوں سے گزرنا ہے ابھی
زندگی ہے تو کئی طرح سے مرنا ہے ابھی

کٹ گیا دن کا دہکتا ہوا صحرا بھی تو کیا
رات کے گہرے سمندر میں اترنا ہے ابھی

ذہن کے ریزے تو پھیلے ہیں فضا میں ہر سُو
جسم کو ٹوٹ کے ہر گام بکھرنا ہے ابھی

کون ہے جس کے لیے اب بھی دھڑکتا ہے دل
کس کو اس اجڑے جزیرے میں ٹھہرنا ہے ابھی

ایک اک رنگ اڑا لے گئی بے مہر ہوا
کتنے خاکے ہیں جنھیں شام جی، بھرنا ہے ابھی
محمود شام

Waqt ke kitne hi rangon se guzarna hai abhi
Zindagi hai to kaiy tarah se marna hai abhi

Kat gaya din ka dehekta hua sehra bhi to kia
Rat ke gehre samundar mein uterna hai abhi

Zehn ke reze to phaile hian fiza mein har su
Jism ko toot ke har gam bikhharna hai abhi

Kaun hai _ jis ke liye ab bhi dhadakta hai dil
Kis ko is ujde jazeere mein thehrna hai abhi

Aik ek rang uda le gaiy be mehr hawa
Kitne khake hain jinhen Sham ji, bharna hai abhi

Mehmood Sham


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo