Wo kia gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye Main kis se rooth sakoon gi, kise manaoun gi



وہ کیا گیا کہ رفاقت کے سارے لطف گئے
میں کس سے روٹھ سکوں گی، کسے مناؤں گی
Wo kia gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
Main kis se rooth sakoon gi, kise manaoun gi

 
اب اس کا فن تو کسی اور سے ہوا منسوب
میں کس کی نظم اکیلے میں گنگناؤں گی
Ab us ka fan to kisi aur se mansoob hua
Main kis ki nazm akele mein gungunaoun gi

 
وہ ایک رشتۂ بے نام بھی نہیں لیکن
میں اب بھی اس کے اشاروں پہ سر جھکاؤں گی
Wo aik rishta e be naam bhi nahi lekin
Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaoun gi

 
سماعتوں میں گھنے جنگلوں کی سانسیں ہیں
میں اب کبھی تری آواز سن نہ پاؤں گی
Sama’aton mein ghhane jangalon ki sansen hain
Main ab kabhi teri awaz sun na paoun
gi

 
پروین شاکر
Parveen Shakir


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo