Aadhi Rat Ko Ye Dunia Wale, Jab Khawabon Mein Kho Jate Hain

 

Poet Saghar Siddiuqi

 

Aadhi Rat Ko Ye Dunia Wale,

Jab Khawabon Mein Kho Jate Hain,

Aise Mein Mohabbat K Rogi,

Yadon K Charag Jalate Hain,

Karte Hain Mohabbat Sab Hi Magar,

Har Dil Ko Sila Kab Milta Hai,

Aaye Hain Baharain Gulshan Mein,

Har Phool Magar Kab Khilta Hai,

Main Ranjha Na Tha Too Heer Na Thi,

Hum Apna Pyar Nibha Na Sake,

Kion Pyar K Khawab Bahut Dekhe,

Tabeer Magar Hum Pa Na Sake,

Main Ne Bahut Chaha Lakin,

Too Rakh Na Saki Wadon Ka Bharam,

Ab Raha Raha Kar Yaad Aata Hai,

Jo Too Ne Kiye Is Dil Pe Sitam,

Parda Jo Hata Do Is Chehre Se,

Tujhe Log Kahain Gay Harjai,

Majboor Hon Main Dil K Hathon

Manzoor Nahi Teri Rushwai,

Socha Hai K Apne Hothon Par,

Main Chup Ki Mohar Laga Lon Ga,

Main Teri Sulagti Yadon Se,

Ab Is Dil Ko Bahala Lon Ga..............!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo