Dekh Humari Deed K Kaaran Kaisa Qabil-E-Deed Howa, Ek Satara Baithe Baithe Tabish Mein Khursheed Howa,



Poet Ibn-E-Insha
Dekh Humari Deed K Kaaran Kaisa Qabil-E-Deed Howa,
Ek Satara Baithe Baithe Tabish Mein Khursheed Howa,
Aaj To Jani Rasta Takte Sham Ka Chand Padeed Howa,
Too Ne To Inkar Kia Tha Dil Kab Na Umeed Howa,
Aan K Is Beemar Ko Dekhe,
Tujh Ko Bhi Tofeeq Hoi,
Lab Pe Us K Naam Tha Tera,
Jab Bhi Dard Shadeed Howa,
Haan Us Ne Jhalak Dikhlai Ek Hi Pal Ko Dreeche Mein,
Jano Ek Bijli Lehrai Aalam Ek Shaheed Howa,
Too Ne Hum Se Kalam Bhi Chora Arz-E-Wafa K Sunte Hi,
Pahle Kon Qareeb Tha Hum Se Ab To Aur Baeed Howa,
Dunia K Sab Karaj Chore Naam Pe Tere Insha Ne,
Aur Usay Kia Thore Gham Thay Tera Ishq Mazeed Howa.............!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo