Deep Jis Mahallat Hi Mein Jalain

 

Poe Habeeb Jalib

 

Deep Jis Mahallat Hi Mein Jalain,

Chand Logon Ki Khushion Ko Le Kar Chale,

Wo Jo Saye Mein Har Maslihat K Pale,

Aise Dastoor Ko Subh-E-Benoor Ko,

Main Nahin Manta Main Nahi Manta,

Main Bhi Khaif Nahi Takhta-E-Daar Se,

Main Bhi Mansoor Hon Keh Do Aghyar Se,

Kion Darate Ho Zindan Ki Deewar Se,

Zulam Ki Bat Ko Johl Ki Rat Ko,

Main Nahi Manta Main Nahi Manta,

Phool Shakhon Pe Khilne Lage Tum Kaho,

Jaam Rindon Ko Milne Lage Tum Kaho,

Chaak Seeno K Silne Lage Tum Kaho,

Is Khule Jhoot Ko Zehan Ki Loot Ko,

Main Nahi Manta Main Nahi Manta,

Tum Ne Loota Hai Sadion Humara Sakoon,

Ab Na Hum Par Chale Ga Tumhara Fasoon,

Charagar Mein Tumhain Kis Tarah Se Kahon,

Tum Nahi Charagar Koi Maane Magar,

Main Nahi Manta Main Nahi Manta...............!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo