Piyas Bakhshi Hai To Phir Ajar Bhi Khul Kar Dena

 

Poet Mohsin Naqvi

 

Piyas Bakhshi Hai To Phir Ajar Bhi Khul Kar Dena,

Abar Mange Meri Dharti To Samandar Dena,

Apni Aaoqat Se Barhna Mujhe Gum Kar De Ga,

Mujh Ko Saya Bhi Mere Qad K Barabar Dena,

Ye Sakhawat Mere Shajre Mein Likhi Hai Pehle,

Apne Dushman Ko Duain Teh-E-Khanjar Dena,

Dekhna Hain Mere Johar To Mere Adal Panah,

Hosla Mujh Ko Mere Ghair Ko Lashkar Dena,

Mere Khaliq Meri Aankhon Ko Jo Nam Rakhta Hai,

Us Sehra Ko Bhi Dariaon K Taiwar Dena,

Shehr Walo Kabhi Azaz Jo Taqseem Karo,

Mujh Ko Sheeshe Ka Libda Usay Pathar Dena,

Yad Aaye Jo Mere Bad Sanwarna Us Ko,

Aaye Shab-E-Hajar Usay Chand Ka Jhoomar Dena,

Karab-E-Mohsin Ki Musafat K Khuda Wand-E-Jaleel,

Khak Zadon Ko Sada Bakhat-E-Sinkandar Dena........!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo