Har Chehre Mein Aati Hai Nazar Yar Ki Sorat

 

Poet Wasif Ali Wasif

 

Har Chehre Mein Aati Hai Nazar Yar Ki Sorat,

Aahbab Ki Sorat Ho Ya Aghyar Ki Sorat,

Seene Mein Agar Soz Salamat Ho To Khud Hi,

Aashar Mein Dhal Jati Hai Afkar Ki Sorat,

Jis Aankh Ne Dekha Tujhe Us Aankh Ko Dekhon,

Hai Is K Siwa Kia Tere Deedar Ki Sorat,

Pehchan Lia Tujh Ko Teri Sheesha Gari Se,

Aati Hai Nazar Fun Se Hi Tankar Ki Sorat,

Aashkon Ne Bayan Kar Hi Dia Raz-E-Tamana,

Hum Soch Rehe Thay Abhi Izhar Ki Sorat,

Is Khak Mein Posheeda Hain Har Rang K Khake,

Mati Se Nikalte Hain Jo Gulzar Ki Sorat,

Dil Hath Pe Rakha Hai Koi Hai Jo Khareede,

Dekhon To Zara Main Bhi Khareedar Ki Sorat,

Sorat Meri Aankhon Mein Samaye Gi Na Koi,

Nazron Mein Samaye Rehti Hai SARKAR Ki Sorat, WASIF

Ko Sar-E-Dar Pukara Hai Kisi Ne,

Inkar Ki Sorat Hai Na Iqrar Ki Sorat...............!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo