Waqt-E-Rukhsat Kahin Taare Kahin Jugno Aaye

 

Poet Basheer Badar

 

Waqt-E-Rukhsat Kahin Taare Kahin Jugno Aaye.*'

Haar Pehnane Mujhe Phool Se Baazo Aaye.*'

Bas Gai Hai Mere Ehsaas Mein Ye Kaisi Mehak,

Koi Khushbo Main Lagaon Teri Khushbo Aaye.*'

Maine Din Raat Khuda Se Ye Dua Maangi Thi,

Koi Aahat Na Ho Dar Pe Mere Aur Too Aaye.*'

Us Ki Batain K Gull-O-Laala Pe Shabnam Barse,

Sab Ko Apnane Ka Us Shokh Ko Jaado Aaye.*'

Un Dinon Aap Ka Aalam Bhi Ajab Aalam Hai,

Shokh Khaya Howa Jaise Koi Aaho Aaye.*'

Us Ne Cho Kar Mujhe Pathar Se Phir Insaan Kia,

Mudaton Baad Meri Aankh Mein Aanso Aaye.................!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo