Humsafri Ka Bojh Uthana Parta Hai

 

Poet Farhat Abas Shah

 

Humsafri Ka Bojh Uthana Parta Hai,

Dil Ko Duh K Sath Chalana Parta Hai,

Hum Jaise Awara Dil Logon Ko Bhi,

Koi Na Koi Qaol Nibhana Parta Hai,

Kabhi Kabhi Ek Dard Bhari Siskari Se,

Khamoshi Ko Zakham Lagana Parta Hai,

Sanate Mehfoz Rakhe Hain Seene Mein,

Weerani Ka Hath Batana Parta Hai,

Pehle Karna Parta Hai Ek Jangle Saf,

Us K Baad Ek Shehr Basana Parta Hai,

Roz Humain Yadon K Ghor Samandar Mein,

Rat Gaye Ek Deep Jalana Parta Hai,

Pardon Ka Ek Kheil Sajana Parta Hai,

Ek Uthana Ek Girana Parta Hai,

Tanhai Mein Bhi Rehna Majboori Hai,

Logon Mein Bhi Aana Jana Parta Hai...............!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo