Ishq Humare Khayal Para Hai Khawab Gia Aaram Gia

 

Poet Meer Taqi Meer

 

Ishq Humare Khayal Para Hai Khawab Gia Aaram Gia,

Jee Ka Jana Tehr Raha Hai Subha Gia Sham Gia,

Ishq Ka So Deen Gia Eman Gia Islam Gia,

Dil Ne Aisa Kaam Kia Kuch Jis Se Main Na Kaam Gia,

Kis Kis Apni Kal Ko Ro De Hijaran Mein Bekal Us Ka,

Khawab Gai Hai Taab Gai Hai Chain Gia Aaram Gia,

Aaya Yaan Se Jana Hi To Jee Ka Kia Chupana Kia Hasil,

Aaj Gia Ya Kal Jave Ga Subha Gia Ya Sham Gia,

Haye Jawani Kia Kia Kahiye Shor Saron Mein Rakhte Thay,

Ab Kia Hai Wo Ehad Gia Wo Mosam Wo Hangam Gia,

Gaali Jhirki Khasam-O-Khashonat Ye To Sardast Aksar Hain,

Lutf Gia Ahsan Gia Ikraam Gia,

Likhna Kehna Tark Hova Tha Apas Mein To Mudat Se,

Ab Jo Qarar Kia Hai Dil Se Khat Bhi Gia Paigham Gia,

Nala-E-MEER Soda Mein Hum Tak Do Sheen Shab Se Nahi Aaya,

Shaid Shehr Se Zalim K Aashiq Wo Badnam Gia.........!

 

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo