Kisi Ki Aankhon Ka Kajal Ban Jata Hai

 

Poet Aanad Bakhshi (Indian)

 

Kisi Ki Aankhon Ka Kajal Ban Jata Hai,

Kisi Ki Zulfon Ka Badal Ban Jata Hai,

Kisi Ke Pairon Ka Ghayal Ban Jata Hai,

Jo Pyar Karta Hai Pagal Ban Jata Hai,

Pagal Ban Jata Hai,

Jo Pyar Karta Hai Pagal Ban Jata Hai,

Kisi Ki Aankhon Ka Kajal Ban Jata Hai,

Kisi Ki Zulfon Ka Badal Ban Jata Hai,

Pyar Mein Jeena Pyar Mein Marna,

Aaj Hi Kar Lo Jo Hai Karna

Deir Bahut Ho Jaye Gi Warna,

Aaj Ka Din Jo Guzar Gia To

Kal Ban Jata Hai,

Jo Pyar Karta Hai Pagal Ban Jata Hai,

Yadain Umangain Arman Sapne,

Sab K Yahan Ghar Apne Apne,

Ye Sach Hai Ye Mana Sab Ne,

Shaid Ye Dil Ka Ujre To Jungle Ban Jata Hai,

Jo Pyar Karta Hai Pagal Ban Jata Hai,

Dil Deta Hai Jan Leta Hai

Amrit Mein Vish Bhar Deta Hai,

Jeena Mushkil Kar Deta Hai,

Pyar Kabhi Har Ek Mushkil Ka Hal Ban Jata Hai,

Kisi Ki Aankhon Ka Kajal Ban Jata Hai.......!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo