Patta Patta Boota Boota Haal Humara Jane Hai

 

Poet Meer Taqi Meer

 

Patta Patta Boota Boota Haal Humara Jane Hai,

Jane Na Jane Gul Hi Na Jane Bagh To Sara Jane Hai,

Aage Us Mutkabar K Hum Khuda Khuda Kia Karte Hain,

Kab Mojood Khuda Ko Wo Maghroor Khudara Jane Hai,

Aashiq Sa To Sada Koi Aur Na Ho Ga Dunia Mein,

Jee K Zian Ko Ishq Mein Us K Apna Wara Jane Hai,

Chara Gari Beemari-E-Dil Ki Rasm-E-Shehr-E-Husn Nahi,

Warna Dilbar-E-Nadan Bhi Is Dard Ka Chara Jane Hai,

Mehr-O-Wafa-O-Lutaf-O-Anayat Ek Se Waqif In Mein Nahi,

Aur To Sab Kuch Tanz-o-Kanaya Ramz-O-Ishara Jane Hai,

Aashiq To Murda Hai Humesha Jee Uthta Hai Dekhe Usay,

Yar K Aa Jane Ko Yaka Yak Umar Do Bara Jane Hai,

Tashna-e-Khon Hai Apna Kitna Meer Bhi Nadaan Talkhi Kash,

Damdaar Aab-E-Taigh Ko Us K Aab-E-Gawara Jane 

 

Hai........................!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo