Wo Jo Asbab-E-Safar Bunta Hai

 

Poet Mohsin Naqvi

 

Wo Jo Asbab-E-Safar Bunta Hai,

Wohi Daria Mein Bhanwar Bunta Hai,

Karhta Hai Jo Zameeno Pe Gulab,

Wo Shabon Mein Sharar Bunta Hai,

Banta Tha Jo Andheron K Ghilaf,

Ab Wo Kirno Se Sahar Bunta Hai,

Aag Dekhi Nahi Shayad Us Ne,

Khushk Tinkon Se Jo Ghar Bunta Hai,

Kis Ne Kholi Hai Teh-E-Aab-E-Dukaan,?

Sheip Mein Kon Gehar Bunta Hai,

Jis Ki Ujrat Hai Shab-O-Roz Ki Bhookh,

Kaar Khane Mein Wo Zar Bunta Hai,!

Zehan Ujre Howe Logon Ki Tarha,

Roz Ek Taza Nagar Bunta Hai,!

Chun K Tooti Hoi Sansain MOHSIN,

Fikar Malboos-E-Hunar Bunta Hai..................!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo