Dil Ki Laghzish Na Khata Hai Koi

 

Poet Mosin Naqvi 

 

Dil Ki Laghzish Na Khata Hai Koi,

Bas Youn Hi Rooth Gia Hai Koi,

Main Ne Ruk Ruk K Tujhe Yad Kia,

Dil Mein Jab Dard Utha Hai Koi,

Ya Howa Khaak Urati Ho Gi,!

Ya Mujhe Dhoond Raha Hai Koi,

Mout Aati Hai Na Too Aata Hai,

Ye Bhi Jeene Ki Saza Hai Koi,

Ab Wo Milta Hai To Youn Lagta Hai,

Silsila Toot Gia Hai Koi,

Surkh Hai Shehr Ki Shab Ka Chehra,

Phir Kahein Qatal Howa Hai Koi,

Aaye Bichar K Na Palatne Wale,

Tere Raste Mein Khara Hai Koi,

Shal Howe Hath To Socha Hum Ne,

Log Kehte Thay K Khuda Hai Koi,

Raqs Karte Hain Saba K Jhonke,

Shakh Par Phool Khila Hai Koi,

Sone Lagta Hon To Dil Kehta Hai,

Neend Se Khawab Juda Hai Koi,

Aaye Saba Yad Dilan Us Ko,

Ab Usay Bhool Chuka Hai Koi,

Phir Mere Phool Kitabain Meri,

Raah Mein Chor Gia Hai Koi,

Aik Awara Parinda MOHSIN,

Wasat-E-Araz-E-Sama Hai Koi.............!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo