Youn Tere Husn Ki Tasveer Ghazal Mein Aaye

 

Poet Allama Iqbal

 

Youn Tere Husn Ki Tasveer Ghazal Mein Aaye,

Jaise Balqees Sulaiman K Mehel Mein Aaye,

Jabar Se Aik Howa Zaiqa-e-Hijar-O-Wisal,

Ab Kahan Se Wo Maza Sabar K Phal Mein Aaye,

Hamsafar Thi Jahan Farhad K Taishe Ki Sada,

Wo Maqamat Bhi Kuch Sair-o-Jabal Mein Aaye,

Ye Bhi Aaraish-e-Hasti Ka Taqaza Tha K Hum,

Halqa-e-Fikr Se Maidan-e-Amal Mein Aaye,

Har Qadam Dast-o-Greban Hai Yahan Khair Se Shar,

Hum Bhi Kis Marka-e-Jang-o-Jadal Mein Aaye,

Zindgi Jin K Tasawur Se Jila Pati Thi,

Hai Kia Log Thay Jo Dam-e-Ajjal Mein Aaye............!

 

1 comment:

  1. Poet Nasir Kazmi hai or book ka name hai diwan e Nasir Page numbers 52 53
    Hazrat Allama Iqbal Nahi hai.

    ReplyDelete

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo