Ab K Rut Badli To Khushbo Ka Safar Dekhe Ga Kon?

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Ab K Rut Badli To Khushbo Ka Safar Dekhe Ga Kon?

Zakham Phoolon Ki Tarha Mehkain Gay Par Dekhe Ga Kon?

Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jain Gay,

Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udhar Dekhe Ga Kon?

Zakham Jitne Bhi Thay Sab Mansoob Qatil Se Howe,

Tere Hathon K Nishan Aaye Chara Gar Dekhe Ga Kon?

Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Bat Mehroomi Ki Hai,

Log To Phal Phool Dekhain Gay Shajar Dekhe Ga Kon?

Har Koi Apni Hawa Mein Mast Phirta Hai,

FARAZ

Shehr-E-Na Pursaan Mein Teri Chashm-E-Tar Dekhe Ga Kon.................? 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo