Payam Aaye Hain Us Yar-E-Bewafa K Mujhe

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Payam Aaye Hain Us Yar-E-Bewafa K Mujhe,

Jise Qaraar Na Aaya Kahein Bhula K Mujhe,

Judaian Hon To Aisi K Umar Bhar Na Milain,

Faraib Do To Zara Silsile Barha K Mujhe,

Nashe Se Kam To Nahi Yad-E-Yar Ka Aalam,

K Le Ura Hai Koi Dosh Par Hawa K Mujhe,

Main Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Wale,

Udas Chor Gaye Aaina Dekha K Mujhe,

Tumhare Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar,

Jo Dekhna Ho To Dekho Nazar Utha K Mujhe,

Khinchi Hoi Hai Mere Aansoo'n Mein Ek Tasveer,

FARAZ

Dekh Raha Hai Wo Muskara K Mujhe........................! 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo