Ibtada Dard Hai Intaha Dard Hai

 

 

Poetess Dr, Najma Saheen 

 

Ibtada Dard Hai Intaha Dard Hai,

Ishq Ka Dard To Ladawa Dard Hai,

Main Ne Poocha Wafa ka Sila Jo Kabhi,

Us Ne Hans Kar Ye Mujh Se Kaha Dard Hai,

Pyar Se Ishq Tak Ja Baja Roshni,

Pyar Se Ishq Tak Ja Baja Dard Hai,

Ye Dunia Phool Hai Aur Ye Khushbo Nai,

Ye Nai Sham Aur Naya Dard Hai,

Zakham Kaisa Hai, Bharta Nahi Hai Kabhi,

Dard Hota Nahi Hai Ye Kaisa Dard Hai,

Main To Darne Lagi Is Tabeer Se,

Payar Aankho Mein Jab Se Bana Dard Hai,

Aik Pal Mein Kahan Kho Gai Khushi,

Ab To Ulfat Ki Bas Ek Saza Dard Hai,

Chor Saheen! WAFA Ka Too Ab Tazkara,

Bewafa Hai Khushi, Bawafa Dard Hai.......................! 

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo