Jazba-O-Shoq Ki Rawani Mein

 

Poet Farhat Abbas Shah 

 

Jazba-O-Shoq Ki Rawani Mein,

Ghalti Ho Gai Jawani Mein,

Zindagani To Jaise Doob Gai,

Hijar Aur Gham Ki Be Karani Mein,

Jane Kia Keh Gia Hai Ashkon Ko,

Aag Si Lag Gai Hai Pani Mein,

Ek Din Dil Hawas Kho Baitha,

Ek Choti Si Nagihani Mein

Tajzia Hi Nahi,

Kia Us Ka Umar Beeti Hai Khush Gumani Mein,

Us Ki Aadat Se Mujh Ko Lagta Hai,

Koi Lazat Hai Bad Gumani Mein,

Ek Kashish Si Ajeeb Hoti Hai,

Ishq Ki Saltanat Ki Rani Mein,

Wo Mujhe Dekh Kar Bahut Khush Hai,

Dukh K Soraj Ki Sayebani Mein,

Ek Mohabbat Hai Aur Judai Hai,

Umar Ki Mukhtasar Kahani Mein....................! 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo