Juz Tere Koi Bhi Din Rat Na Jane Mere

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Juz Tere Koi Bhi Din Rat Na Jane Mere,

Too Kahan Hai Magar Aaye Dost Purane Mere?

Too Bhi Khushbo Hai Magar Mera Tajassus Bekar,

Barq-e-Awara Ki Manind Thikhane Mere,

Shama Ki Lao Thi K Wo Too Tha,

Magar Hijar Ki Rat

Deir Tak Rota Raha Koi Sirhane Mere,

Khalq Ki Bekhabri Hai K Meri Ruswai,

Log Mujh Ko Sunate Hain Fasane Mere,

Lout K Bhi Khush Hon Ashkon Se Bhara Hai Daman,

Dekh Gharat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere,

Aaj Ek Aur Baras Beet Gia Us K Baghair,

Jis K Hote Howe Hote Thay Zamane Mere,

Kash Too Bhi Meri Aawaz Sunta Ho,

Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sada Ne Mere,

Kash Too Bhi Kabhi Aa Jaye Maseehai Ko,

Log Aate Hain Bahut Dil Ko Dukhane Mere,

Kash Auron Ki Tarha Main Bhi K Sakta,

Bat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere,

Too Hai Kis Haal Main Aaye Zud Faramosh Mere,

Mujh Ko To Cheen Lia Ehd-e-Wafa Ne Mere,

Charagar To Bahut Hain Magar Aaye Jan-e-Faraz,

Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere.....................! 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo