Lehra K Jhoom Jhoom K La Muskara K La

 

Poet Abdul Hameed Addam 

 

Lehra K Jhoom Jhoom K La Muskara K La,

Phoolon K Ras Mein Chand Ki Kirnain Mila K La,

Kehte Hain Umar-E-Rafta Kabhi Loot'ti Nahi,

Ja! Maikade Se Mere Jawani Utha K La,

Mehsoos Ho Raha Hai Satare Aleel Hain,

Un Ko Bhi Aik Ghoont Kahein Se Pila K La,

Saghar Shikan Hai Shaik Bala Nosh Ki Nazar,

Sheeshe Ko Zair-E-Daman Rangeen Chupa K La,

Kion Ja Rahi Hai Rooth K Rangeeni Bahar,

Ja Aik Martab Usay Warghala K La,

Dekhi Nahi Hai Too Ne Kabhi Zindagi Ki Lehar,

Acha To Ja ADDAM Ki Sorahi Utha K La...................! 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo