Nahi K Mujh Ko Qayamat Ka Etaqaad Nahi

 

==============

Sharab-E-Shikwa

============== 

 

Poet Mirza Ghalib 

 

Nahi K Mujh Ko Qayamat Ka Etaqaad Nahi,

Shab-E-Firaq Se Roz-e-Jaza Ziad Nahi,

Koi Kahe K Shab-E-Mah Mein Kia Burai Hai,

Bala Se Aaj Agar Din Ko

Abr-O-Baad Nahi,

Jo Aaon Samne Un K To Marhaba Na Kahein,

Jo Jaon Wahan Se Kahein Ko To Khairabad Nahi,

Kabhi Jo Yad Bhi Aata Hon Main To Kehte Hain,

K Aaj Bazm Mein Kuch

Fitna-O-Fasad Nahi,

Ilawa Eid K Milti Hai Aur Din Bhi Sharab,

Gada-E-Koocha-E- Maikhana Na Muraad Nahi,

Jahan Main Hon Gham-o-Shadi Baham Hamain Kia

Kaam,

Dia Hai Hum ko Khuda Ne wo Dil K Shaad Nahi,

Tum Un K Wade Zikar Un Se Kion Karo,

GHALIB

Ye Kia K Tum Kaho Aur wo Kahain K Yad Nahi...................!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo