Nahi Hai Apna Koi Khas Rang Aali Ja

 

 

Poet Ali Haidar Dhoon 

 

Nahi Hai Apna Koi Khas Rang Aali Jaa!

K Aaina Hai Mukamal !Na Sang, Aali Jaa!

Kuch Is Liye Bhi Nikalta Nahi Hai Seene Se,

K Teer Bhi Hai Sarasar Umang, Aali Jaa!

Dharak Rahi Hai Abhi Dil Mein Boond Si Koi,

Pharak Raha Hai Abhi Ang Ang Aali Jaa!

Pukarte Hain Kisi Mehrban Malamat Ko,

Utarte Hain Zabano Ka Zang, Aali Jaa!

Magar Ye Dil To Samandar Bataye Jate Hain,

Zameen To Khair Hoi Hum Pe Tang ! Aali Jaa!

Bare Gharoor Se Phirte Hain Apni Khak Orrhe,

Usi Navah Mein Be Naam-O-Nang ! Aali Jaa!

Kabhi Kabhi To Ye Soraj Dikhai Deta Hai,

Hawa K Dosh Pe rakha Patang, Aali Jaa...............!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo