Shaoor-e-Zaat Ne Ye Rasm Bhi Nibaahi Thi

 

 

Poet Shahzad Ahmad 

 

Shaoor-e-Zaat Ne Ye Rasm Bhi Nibaahi Thi

Us Hi Ko Qatal Kiya Jis Ne Khair Chaahi Thi ..*

Wo Jis Ko Aankh Ka Surma Bana Liya Hum Ne Hamaray Naama-e-Aamal

Ki Siyaahi Thi ..*

Tum Hi Batao Ke Mein Apnay Haq Mein Kya Kehta

Meray Khilaf Bharay

Shehar Ki Gavahi Thi ..*

Kayi Chiraagh Nihaan Thay

Chiraagh Ke Peechay

Jisay Nigaah Samajhtay Ho Kam Nigaahi Thi ..*

Ek Iztiraab Jisay Chand Se Kiya Mansoob Wo Madd O Jazr Samandar Ki Be'Panaahi Thi ..*

Teray Hi Lashkariyon Ne Usay Ujaar Diya

Wo SirZameen Ke Jahan Teri Badshaahi Thi ..*

Isi Liye To Zamanay Se Be'Niyaz Tha Mein

Meray Wujood Ke Andar Meri Tabaahi Thi ..*

Jahaan Mein Tairgiyan Gard-e-Kaarvan Ki Tarhan

Yeh Roshni Bhi Unhi Raaston Ki Raahi Thi ..*

Zara Si Dair Mein Manzar Badal Gaya Itna

Na Kaj'Kalah Tha Baaqi Na Kaj'Kalaahi Thi ..*

Laga Diya Tha Har Ek Shaey Ko Daao Per Mein Ne

Bohat Azeez Mujhay Apni Khair Khuwahi Thi ..*

Tera Karam Hai Ke Tu Ne Mujhay Ata Kar Di

Woh Zindagi Jo Kisi Aur Ne Na Chaahi Thi ..*

Hamen To Pal Ki Bhi Fursat Nahi Mili SHEHZAD

Azab-e-Shab Tha Kabhi Aah-e-Subh'e Gaahi Thi..!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo