INSHA JEE Kia Bat Bane Gi.....* Hum Logon Se Door Howe.....* Hum Kais Dil Ka Roog Bane....* Kais Seene Ka Nasoor Howe.....*



Poet Ibn-E-Insha Jee

==============
INSHA JEE KIA BAT
BANE GI

==============
Type By
*._Ayaz Khan_.*

INSHA JEE Kia Bat Bane Gi.....*
Hum Logon Se Door Howe.....*
Hum Kais Dil Ka Roog Bane....*
Kais Seene Ka Nasoor Howe.....*
Basti Basti Aag Lagi Thi....*
Chalne Pe Majboor Howe....*
Rindon Mein Koch Baat Chali Thi....*
Seeshay Chakna Choor Howe....*
Laikin Tum Kion Bethe Bethe....*
Aah Bhari Ranjoor Howe....*
Ab To Aik Zamana Guzra INSHA JEE....*
Tum Se Koi Qasur Howe.....*
Aye Loogo Kion Bhuli Batain....*
Yaad Karo Kia Yaad Dailao....*
Qafle Wale Door Gaye....*
Bujne Do Agr Bujta Hai Aalao....*
Aik Mujh Se Ruk Sakta Hai....*
Toofani Daria Ka Bhaoo....*
Samay Samay Ka Raagh Alagh Hai....*
Samay Samay Ka Apna Bhaoo.....*
Aass Ki Ujrri Pholwari Mein.....*
Yaadon K Gunche Na Khelaoo.....*
Pechlay Pehar Ki Andhiyari Mein....*
Kafoori Samaain Na Jalaoo....*
INSHA JEE Wohi Subh Ki Lali....*
INSHA JEE Wohi Shab Ka Saman....*
Tumhi Khayaal Ki Jigar Magr Mein....*
Bhatak Rahe Ho Jahan Tehaan....*
Wohi Chaman Wohi Gul Boote Hain....*
Wohi Baharain Wohi Khizaan....*
Aik Qadam Ki Baat Hai Yun To....*
Rophele Khawabon Ka Jahaan....*
Laikin Door Ufaq Par Daikho....*
Lehrata Ghong-Gohor Dhovaan....*
Badal Badal Umad Raha Hai....*
Sahaj Sahaj Pechan Pechan....*
Manzil Door Daikhe To Rahi....*
Rah Mein Beth Rahe Sastaye....*
Hum Bhi Tees Baras K Manday....*
Yunhi Roop Nagar Ho Aaye....*
Roop Nagar Ki Raaj Kumari....*
Sapnoon Mein Aaye Behlaye....*
Qadam Qadam Par Mudmati Muskan....*
Bakhaire Hath Na Aaye....*
Chandarma Maharaj Ki Jeevti....*
Taray Hain Aapas Mein Chupaye....*
Hum Bhi Ghoom Rahe Hain Le Kar....*
Kasa Ang Bhabhoot Ramaye....*
Jangal Jangal Ghom Rahe Hain....*
Ramte Jogi Seess Navaye....*
Tum Pariyon K Raaj Dulare....*
Tum Unche Taron K Kavi....*
Hum Logon K Paas Yehi....*
Ujrra Ambar Ujrri Dharti....*
Tum To Urran Khatolay Le Kar....*
Phoncho Taroon Ki Nagri....*
Hum Loogon Ki Roh Kamar Tak....*
Dharti Ki Daldal Mein Phansi....*
Tum Phoolon Ki Seejain Dhondo....*
Aur Nadiya Sangeet Bhari....*
Hum Pat-Jharr Ki Ujrri Bailain....*
Zard Zard Uljhi Uljhi....*
Hum Wo Loog Hain Ginte Thay Tum....*
Kal Tak Jin Ko Piyaron Mein....*
Haal Humara Sunte Thay To....*
To Laute Thay Angaron Mein....*
Aaj Bhi Kitne Naagh Chope Hain....*
Dushaman K Bambaron Mein....*
Aate Hain Neepam Ugte....*
Wehshi Sabzaron Mein....*
Aah Si Bhar K Rah Jate Ho....*
Beth K Duniadaron Mein....*
Haal Humara Chapta Hain....*
Jab Khabron Mein Akhbaron Mein....*
Auron Ki To Batain Chorro....*
Aur To Jane Kia Kia Thay....*
Rustam Se Kuch Aur Dalawar....*
Bheem Se Barrh Kar Jodha Thay....*
Laikin Hum Bhi Tond Bharti Mujon Ka....*
Eik Dhaara Thay....*
Aniaye K Sukhe Jangal Ko....*
Jhulasti Juvala Thay....*
Na Hum Atne Chop Chop Thay Tab....*
Na Hum Atne Tanha Thay....*
Apni Zaat Mein Raja Thay Hum....*
Apni Zaat Mein Sehna Thay....*
Tufano Ka Rela Thay....*
Balvano Ki Sasna Thay..............!

...THE eND...
Book
Dil-e-Weshi
Page No:
17 to 20

 

1 comment:

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo