Zakhm-E-Nigah K Liye Marham e Indamal

Zakhm-E-Nigah K Liye Marham e Indamal thay

Tere Ghata se Baal thay, Tere Shafaq se Gaal thay

Rat Ajeeb Rat thi, Hum thay Khuda ki Zaat thi..

Chand bhi Zard Zard tha, Tare bhi Khaal Khaal thay

Shirk Sahi, Magar yehi Ooj e Sajood hi na ho

Lab par Khuda ka Naam tha, Dil mein Tere Khayal thay

Ab Teri Anjuman mein kion Ajnabi Ajnabi se hain

Hum jo Tera Shaoor thay, Hum jo Tera Jamal thay

Hum ko Tere Gharoor ne Kam sukhani ki Maar di,

Aisa Jawab de dia Jis mein kai Sawal thay

Tera Udas Iltafaat Dil ki Zameen na Choo saka

Kitni Naheef thi Kiran, Kitny Ghany Malaal thay..

Too na Mila Magar Hamain Dolat-e-Hijar Mil gai,

Hum jo Tabah Haal thay, Dard se Mala Maal thay

Ishq ki Ibtada ka Daor kitna Ajeeb tha Nadeem..

Lutf bhi Be'Nazeer thay, Karb bhi Be'Misaal thay...

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo