Raat Aur Chand Mein Jab Sargoshi Hoti Hai

 

 

Poet: Ahmad Faraz

Type By

*._Ayaz Khan_.*

 

Raat Aur Chand Mein Jab Sar goshi Hoti Hai.

Dil Ki Dard Se Hum Aaghoshi Hoti Hai.

Apna Ghar Chhorra Ya Us Ka Dar Chhorra.

is K Bad To Khana Badoshi Hoti Hai.

Bujh Wafa Ka Hum Ne Uthaya Ya Tum Ne.

Humsafron Mein Ye Humdoshi Hoti Hai.

Basti Wale Ayse Khofzada Kab Thay.

Ab To Khud Se Bhi Sar Goshi Hoti Hai.

Aadhi Rat Ko Zandaan Ka Dar Khulta Hai.

is K Bad Taveel Khamoshi Hoti Hai.

Harf Faroshon Ka Mela Lagta Hai FARAZ.

Jab Dar-Baar Mein Barda-Faroshi Hoti Hai......!

Book:

Nabina Shehr Mein Aaina

Page: 48

Ghazal: 27 

 

2 comments:

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo