Largist Mukalma Ahmad Faraz 34 Parts

 

 

Poet Ahmad Faraz

Type By 

AYAZ KHAN 

 

Sipahi

Kahan Hon,

Mere Jisam Par Bojh Kaisa Hai,

Kia Main Paharon K Neeche Daba Hon,

Meri Sans Kion Ruk Rahi Hai,

Ye Thandak Rag-O-Pay Mein Kion Hai,

Mere Bazoo'n Mein Sakat Hai,

Na Honton Mein Janbish Ka Yara,

Na Aankhon Mein Hi Roshni Hai Chatano,

Ki Sorat Gar Anbaar Palkain Uthane Se Aari,

To Kia Meri Beenai Bhi Ja Chuki Hai,?

Na Chere Na Manzar,

Na Koi Sada Hai,

Ye Kia Hai,

Mujhe Apni Awaz Bhi Ajnabi Lag Rahi Hai,

Faqt Dhund Hi Dhund,

Aur Barf K Bekaraan Saibaan Chaar Soo Hain,

Ye Sakraat Ka Pal Hai,

Ya Mujh Pe Kaboos Saya Kanaan Hai,

Ye Kia ......?

Mere Bazo Mein Kion Dard Ki Lehr Uthi,

Main Zinda Hon Lekin,

Badan Barf Mein Dafan Hai,

Aur Chehra Mera Ze Mehreeri,

Hawaon Se Sun Ho Chuka Hai,

Kisi Ko Khabar Tak Na Ho Gi,

K Main Is Pahari Ki Choti Pe Zakhmon Se,

Chalni Para Hon Koi Mehrbaan Hath,

Humdard Bazo Nahi Hai,

Jo Us Kura-E-Marg Se Mujh Ko Bahir Nikaale,

Na Jane Badur Rafeeqon K Daste Kahan Hain,

To Kia Main Yahan,

Kis Maparsi K Aalam Mein Dam Tor Don Ga

To Kia Is Pahari Ki Choti Pe Mere,

Tajasus Mein Koi Na Aaye Ga,

Koi Na Aaye Ga,?

Koi.....

Mout: Magar Main Sipahi,

Faqt Main

Ajjal

Mout

Azal Se Abad Tak,

Teri Ghamgusari Aur Sathi,

Akele Dukhi Benawaon Ki Wahid Maseeha,

K Jo Zindagi Ki Jafaon Se Tang Aa Chuke Hon,

K Jo Zindagi Ki Kari Aur Lambi,

Musafat Se Okta Chuke Hon K,

Jo Zindagi K Sarabon Se,

Phaile Kharabon Se Gharba Chuke Hon,

Sabhi Na Muradon Ko Main Ne,

Hi Aakhir Sahara Dia Hai Jinhain,

Zindagi Tajj Gai Ho Unhain Sirf Main Ne,

Gawara Kia Hai Idhar Aa........ Mujhe Hath De,

Main Teri Aakhri Chara Gar Hon,

Teri Humsafar Hon,

Teri Rahbar Hon,

(Mout Hath Barhati Hai)

Idhar Aa Sipahi...!

Mere Sath Chal Yehi Waqt Hai,

Jab K Too Ek Charagh-E-Sehr Ki Tarha,

Rahguzar-E-Adam Ka Musafir Hai,

Aa Tujh Ko Apni Hifazat Mein,

Is Barf K Tand Toofan Se Le Chalon,

Tujhe Kia Khabar Kaisi Qatil Hawaon K Jhar,

Humare Ta'aqub Mein Hain,

Aaye Sipahi Mere Sath Chal,

Sipahi:

Kon Hai Too...?

Ajjal

Fahshah...!

Tujh Ko Kis Ne Pukara K,

Too Bin Bulaye Yahan Aa Gai Hai,

Main Zinda Hon,

Meri Naqahat Se Too Ne Ye Samjha,

K Main Zindagi Se Mafar Chahta Hon,

Meri Ghair Humwar Sanso Se Too Ne Ye Jana,

K Main Nazaa Mein Hon,

Pare Hatt Mere Jisam Se Apni Parchain Door Le Ja,

Mout:

Tera Jisam Behis Hai,

Aur Teri Aankhon Pe Kehra Jama Hai,

Tujhe Is Ka Ahsas Bhi To Nahi Hai,

K Too Sirf Kehne Zinda Hai,

Warn Agar Too Ye Dekhe,

K Tera Laho Kis Qadar Beh Chuka Hai,

Agar Too Ye Dekhe,

K Ye Laal-O-Yaqoot,

Tere Hi Laho K Wo Boodain Hain,

Jo Barf Par Jam Gai Hain,

To Jane

K Ab Zinda Rehne Ki Khawahish Abass Hai,

Chalo Main Ne Mana K,

Tujh Mein Abhi Zindagi Ki Ramaq Hai,

Magar Kis Qadar,

Sirf Do Chaar Sanson Ki Mohlat,

Teri Bebasi Aur Naqahat Ka Ye Haal Hai K,

Tere Zard Rukhsar Par Barf Ki Teh Jami Hai,

Magar Tujh Mein Itni Bhi Himat Nahi Hai,

K Chehre Se Is Ko Kharch De,

Tere Samne Jo Andhere Hain Un Se Na Dar,

Be Khabar Rat Bhi Din Se Kuch Mukhtalif To Nahi,

Sipahi:

Chalo Main Ne Mana,

Magar Too Bata Mujh Se Kia Chahti Hai,

Mout:

Ziada Nahi,

Sirf Itna K Too Maan Le,

Zindagi Ek Musalsal Aziat Hai,

Too Jis Se Tang Aa Chuka Hai,

Sipahi:

To..............

To Youn Keh K Main Tere Aage Super Daal Don,

Mout:

Kion Nahi,

Aur Ye Ilzam Bhi Khud Pe Lene Ko Razi Hon Main,

Sipahi:

Door Hatt Fahsha...!

Zindagi Se Mujhe Pyar Hai,

Mout:

Baole.....!

Itna Pagal Na Ban,

To Jo Mane To Kia,

Aur Na Mane To Kia,

Ab Tere Samne Doosra Rasta Hi Nahi,

Apne Hathon Ki Pilahatain Dek Le,

Apne Honton Ki Neelahatain Dekh Le,

Apni Aankhon Ki Dhundla Hatain Dekh Le,

Too Jo Mane To Kia,

Aur Na Mane To Kia,

Sipahi:

Dushman-E-Jaan...!

Mout:

Zid Na Kar Dekh Ab Teri Manzil,

Teri Rat Har Lamha Nazdeek Tar Aa Rahi Hai,

Teri Zid Teri Bechargi,

Karb Wandwa Ko Tool De Gi,

Jankani Zindagi To Nahi,

Chal Mere Sath Chal,

Zindagi K Karre Marhale Bhool Kar Chal,

Sipahi:

Nahi Main Nahi Jaon Ga,

Main Tere Sath Hargiz Nahi Jaon Ga,

Mout:

Apna Dushman Na Ban,

Tere Paikar Mein Tera Lahoo,

Munjamid Ho Raha Hai,

Terayakh Zada Jism Toofan,

Ki Yourashon Se Nahi Bach Sake Ga,

Idhar Aa Tujhe Apna Aanchal Orha Don,

Jo Tujh Ko Qayamat Tak Garam Rakhe Ga,

O Nasamjh Nojawaan,

Mere Seene Ki Hidat,

Tere Yakh Zada Jism Ko,

Sarmadi Aman Bakhse Gi,

Aa Tujh Ko Apne Gale Se Laga Lon,

Yaqeen Kar...!

K Too Kar Banaki Shiddat Se Naala Kana Hai,

Teri Bekasi Aur Farmaan Pazeeri,

Mujhe Hosla De Rahi Hai,

Sipahi:

Farebi...!

Mujhe Apni Hulia Gari Aur Makarion Se,

Teh-E-Daam Lane Ki Koshish Na Kar,

Kazab Go Main To Sardi Ki Shiddat Se Bekal Hon,

Tujh Se To Khaif Nahi,

Mout:

Khawa Aanso Khushi K Hon Ya Karb K,

Aik Hi Bat Hai,

Bekhabar...!

Sham Dhalne Ko Hai,

Aur Maidan Mein,

Shab Ki Parchaian,

Khaima Zan Ho Rahi Hain,

Kise Kia Khabar Hai K Too,

Pahari Pe Ghaail Para Hai,

Teri Khoj Pehle To Mushkil Hai,

Aur Itafaqan Agar Tere Sathi,

Tujhe Dhoond Bhi Lein To Hasil?

Tujhe Kia Sakoon Mil Sake Ga?

Aur Too Koi Roz Tak Zinda Raha Bhi To Kia,

Phir Se Dunia K Dukh,

Zindagani K Janjaal Tera Ta'aqub Karein Gay,

Teri Behtri Hai Esi Mein,

K Be Heel-O-Hujat,

Yahan Pur Sakoon Mout Mar Ja,

Sipahi:

Riya Kaar...!

Too Apni Aiyarion Se Mujhe Daam Mein,

Phansana Chahti Hai Main Zinda Raha Hon,

Main Zinda Hon,

Zinda Rahon Ga,

Mujhe Too Harasaan Nahi Kar Sake Gi,

Abhi Mujh Ko Jeena Hai,

Mout:

Gar Too Jia Bhi To Phir Kia?

Tujhe Zindagani K Bare Mein Khush Fehmian Hain,

Agar Too Jia Bhi To Kia Too Samjhta Hai,

Is Zindagi Se Mohabbat Kare Ga,

Jo Thatharn Hai Lazat Hai Bechargi Hai,

Zara Soch Aaye Bekhabar,

Zindagi Bistar-E-Gul Nahi,

Phir Zara Soch,

Sipahi:

Kia Sochna,

Main To Hasti K Har Zeir-O-Bam Se Hon Waqif,

Magar Too Bhulaye Howe Hai K Ye Jang Hai,

Mout:

Baolay

Main Ne Mana K Too Jang Mein Sur Khuroo Ho Chuka Hai,

Watan Ki Hifazat Ka Haq Jan Par,

Khail Kar Too Ada Kar Chuka Hai,

Magar Tujh Ko Ek Martaba Apne Ghar Aur,

Azeezon K Dukh Phir Se Tarpain Gay,

Sab Zamane K Gham Tujh Ko Kha Jain Gay,

Sipahi:

Jabhi To Mujhe Is Qadar Bekali Hai,

K Main Hamla Aawar Ghaneemon Ko,

Ko Jaldi Thikane Laga Lon To Phir Ghar Ko Jaon,

Mere Ghar Ki Dehleez Har Dam Meri Muntazir Hai,

Mout:

Baja Hai Agar Ghar Tera Muntazir Ho,

Agar Tere Ghar K Dar-O-Baam Baqi Rahe Hon?

Agar Sirf Enton K Ambaar Aur Raakh K Dhair,

Ghar Hain To Phir Wo Tere Muntazir Hain,

Khandar Charo Janib Khandar Hain,

Sipahi:

To Phir Kia?

Mere Bazo'on Mein Tawanai Hai,

Mere Kandhon Se Bandooq Utre,

To Phir Mere Bazo Kadalon Aur,

Balchon K Rafeeq-E-Safar Hain,

Sipahi Kharabon Ko Tameer Karta Raha Hai,

Mout:-

Zameen Jal Chuki Hai,

Sipahi:

Main Pehle Bhi Weeran Khiton Ko,

Zarkhaizian De Chuka Hon,

Mout:

Magar Ab Ye Mumkin Nahi Hai,

K Pani K Chashme Koonwain Aur Nehrain,

Bamon Ki Laga Taar Barish Se Ab Khushk,

Aur Benishan Ho Chuke Hain,

Dranti, Hathore, Salakhain Kadalon K Phal,

Aur Hall Koya Sab Tere Aaozaar,

Hatiar Turr Murr Chuke Hain,

Sipahi:

Magar Ta Bake,

Main Sipahi Hon,

Gar Bakhat Ne Yavri Ki,

Aur Ek Bar Mere Qadam

Apne Shehron Mein Pohnche,

To Phir Se Ye Masmaar Ghar,

Manhedam Kaar Khane,

Jali Khaitian Aur Khamosh,

Bazar Youn Jee Uthain Gay,

K Jaise Kabhi Kuch Howa Hi Nahi Tha,

Mout:

Baja Par Ye Us Waqt Mumkin Hai,

Sipahi:

Lekin,

Mout:

Tehr Too Meri Bat Sun,

Ye To Us Waqt Mumkin Hai,

Jab Tere Bazo Salamat Hon,

Aur Jism Ka Koi Hisa Na Bekaar Ho,

Magar Aise Aalam Mein Bhi,

Teri Khush Fehmian Tujh Ko,

Behka Rahi Hain Halakat Ki,

Aandhi Tere Jism Ka Reza Reza,

Urane Ko Partolti Hai Abhi Waqt Hai Soch Le,

Sipahi:

Thandi Aah Bharte Howe Apne Ap Se,

To Kia Koi Qowat Aisi Nahi Hai,

K Jo Mout K Za'am-O-Pandaar Kar De,

Koi Aisi Sorat Nahi Jis Se Main,

Qala-E-Marg Ko Manehdam Kar Sakon,

Nahi Aaj Tak Mout Par Kis Ko Qudrat Mili,

Agar Youn Hi Hota Raha Hai,

To Phir Kion Na Main Khud Ko Us K,

Hawale Hi Kar Don,

Kusha Kash Ka Hasil?

Faqt Nazaa Ka Tool Aur Phir,

Hazeemat Shikast-E-Nafs

(Mout Ki Taraf Dekhte Howe)

Mout:

Main Sirf Ek Shart Par Zindagi Ki,

Mata-E-Garaan Tere Qabze Mein,

Dene Ko Tiyar Hon,

Mout:

Shart....!

(Qehqa Lagati Hai)

Bhala Mout Se Bhi Kisi Ne Koi Shart Manwai Hai?

Sipahi:

Janta Hon K Main Dosron Se Behtar Nahi Hon,

Agar Aaj Tak Koi Tujh Se Na Jeeta,

To Mujh Ko Bhi Marne Mein Phir Uzar Kion Ho,

Magar Dushman-E-Zindagi Sirf Ek Shart Par,

Mout:

Kon Si Shart,?

Sipahi:

Bas Ye K Jab Jang Ka Khatma Ho To,

Ek Roz K Waste Too Mujhe Chor De Gi,

Bas Ek Roz K Waste,

Ta K Main Apne Ghazi Rafeeqon Ki,

Saf Mein Khara Fatha K Geet Gaon,

Zafar Mand Parcham Khile To,

Salami Ki Taqreeb Mein Dosre Janisaron K,

Humrah Main Bhi Khara Hon,

Mere Kaan Bhi Youm-E-Nusram Ki,

Topon Ki Goonjar Se Goonj Uthein Gay,

Aur Us Waqt,

Jab Fatha-O-Nusrat K Naghmat Se,

Sar Zameen-E-Watan Ki Fiza Raqs Mein Ho,

Main Ujlat Se Ghar Ja K Dekhon,

Wo Mehboob Chehre,

Jo Mere Liye Apni Aankhon Mein,

Khushion K Aanso To Hathon Mein,

Phoolon K Kanthe Liye Raston Par,

Mere Muntazir Hon Mere Gaon Wale,

Mere Yar Ahbab Mujh Ko,

Zafar Mand Parcham Ki Manid Utha Lein,

Aur Main Un K Is Khair Maqdam Ko,

Maghroor Aankhon Ki Chup Muskrahat,

Se Dekhon Faqt Is Qadar,

Aaye Meri Muskrahat Ki Dushman...!

Mout:

Nahi Teri Ye Shart Na Qabil-E-Aitna Hai,

Sipahi:

To Phir Baiswa...!

Door Ho Main Sipahi Hon,

Aur Zindagi Ki Chamakti Damakti Hoi,

Aag Mere Badan Mein Abhi Hai,

Main Zinda Hon,

Zinda Rahon Ga,

Mout:

Magar Kab Talak,

Sipahi:

Jab Talak Meri Awaz Mei

Mera Dil Dharkta Rahe Ga,

Mout:

Magar Tabke,

Sipahi:

Taabke...?

jab Talak Ye Mera Yakh Zada Jism,

In Aasmano Ki Manid Neela Na Ho Jaye,

Main Is Pahari Ki Choti Pe Dam Toor Don Ga,

Magar Tere Aage Na Har Giz Jhukon Ga,

Ye Mumkin Nahi Hai,

K Main Tere Aage Super Daal Don,

Mout:

Hosla....!

Hosla....!

Aaye Sipahi Ye Jazbatiat Be Asar Aur Abas Hai,

Agar Mujh Too Haar Tasleem Kar Le,

To Ye Zindagi K Usi Zabte Hi Ki Taa'eed Ho Gi,

Jo Azal Se Abad Tak Raha Hai,

Rahe Ga,

Na Is Se Ziada Na Kamtar,

Na Is Se Ziada Na Kamtar,

(Qadmon Ki Chaap Sunai Dene Lagti Hai Kuch Door Sipahion K Chehre Jin Mein Se Aik Kandhe Par Barf Hatane Wala Kadaal Aur Dosre K Kandhe Par Teh Kia Astrechar Dhara Hai.)

Sipahi:

Tehr.....!

Mere Rafeeqon K Qadmon Ki Manoos Awaz,

Meri Taraf Barh Rahi Hai Ajab Kia K,

Ye Zakhmion K Tajasus Mein Hi Aa Rahe Hon,

Mout:

Kahan Bewaqoof,

Sipahi:

Us Taraf,

Mout:

(Deewana Waar Hansti Hai Qadmon Ki Chaap Qareeb Tar Aa Jati Hai)

Baole Ye Jamat To Wo Hai Jo Lashain Thikane Lagati Hai,

Sun To...!

(Kadaalon Aur Belchon K Kharakne Ki Awaz)

Ye Tere Darmaan Nahi Gorkan Hain,

Sipahi:

Wo Kuch Bhi Hon Zinda To Hain,

Aur Zindon K Dushman Nahi,

Ye Mere Sheir Dil Hum Watan Hain,

(Camra Bulandi Se Ghati Par Markooz Hota Hai)

Pehla Sipahi:

Bahut Thak Gaye,

Is Pahari Pe Charhna Ghazab Tha,

Dosra Sipahi:

Yahan Chand Sanson Ko Sastane K Bad Aage,

Barhain Gay K Ab Aur Chalne Ki Taqat Nahi Hai,

Pehla Sipahi:

Thakan Se Meri Hadian Reza Reza Hoi Ja Rahi Hain,

Pehla:

Tere Pas Khane Ko Hai Kuch?

Dosra:

Kahan... Chand Cigrate Bache Hain....

Agar Tum......

Pehla:

Ghanimat Hai Ye Bhi....

Qayamat Ki Sardi Hai....

Dosra:

Chaye (Tea) Pio Gay?

Obalti Hoi Chaye Pe Balai Ki Teh,

Jami Ho To Kaisi Rahe Gi,

Pehla:

Chalo Ek Piyala.

Nahi Do Sahi,

Dosra:

Yahan Kon Zakhmi Mile Ga?

(Dono Hanste Hain)

Pehla:

Taswor Ki Jado Gari Khoob Hai,

Doosra:

Haan Khayali Pulao Ki Khushbo Se Bhi,

Kuch Tassali Ho Hai,

(Sipahi K Karahne Ki Awaz Aati Hai)

Sipahi:

Main Zinda Hon.

Zinda Hon,

Is Bad Nafs Ko Mere Samne Se Hatao,

Ye Zalim Churail Apne Bazo Pasare,

Na Maloom Kab Se Meri Ghaat Mein Hai,

Main Zinda Hon,

Zinda Hon Mujh Ko Bacha Lo,

Pehla Sipahi:

Suno Jaise Koi Yehein Pas Hi Ho,

Dosra Sipahi:

Tera Wahma Hai Yahan K0n Ho Ga,

Sipahi:

Mere Pas Aao Rafeeqo,

Mere Sar Pe Be Haya Gidh Ki Manid Manla Rahi Hai,

Pehla Sipahi:

Suni Tum Ne Awaz...?

Dosra Sipahi:

Han Wo......

Udhar ....

Barf Mein Dafan Laash,

Pehla Sipahi:

Chalo,

Belcha Lo Wo Zinda Hai,

Dosra Sipahi:

Hairat Agar Is Jaga Laash Hoti To Main,

Itna Hairan Na Hota Magar Aik Zinda Sipahi,

Yahan Mojza Hai,

Pehla Sipahi:

To Jaldi Karo Rat Hone Ko Hai,

(Dono Sipahi Zakhmi Sipahi K Qareeb Aa Jate Hain)

Dosra Sipahi:

(Choote Howe)

Waqi Is Mein Jaan Hai Abhi,

Suno Tum Mein Itni Sakkat Hai,

K Is Ko Utha Kar Hum Apne Thikane,

Talak Ja Sakein,

Pehla Sipahi:

Agar Chay Thakan Se Meri Hadian Karkarane Lagi Hain,

Magar Is Sipahi Ko Dast-E-Ajal Se,

Bachana Muqadam Hai,

Aao Isay Hath Dein,

Doosra Sipahi:

Acha Howa Hum Idhar Aa Gaye,

Warna Is Badoo Baraan K Toofan Mein,

Zakhmon Se Ghail Mujahid Bach Na Sakta,

Shaheedon Ki Fehrist Mein Ye Bhi Hota,

Pehla Sipahi:

Bas Ab Waqt Zaya Na Karo,

Belche Se Tehain Barf Ki Tum Hatao,

Main Itne Mein Koi Dawa Dekhta Hon,

Doosra Sipahi:

Khudaya.............!

Zara Is K Yakh Jism Ko Choo K Dekho,

Pehla Sipahi:

Namaloom Ye Ab Talak Zinda Kaise Bacha Hai,

Mout:

(Apne Aap Se)

Ye Kuch Bhi Karain Mere Chungal Se,

Is Ko Nahi Cheen Sakte,

Ye Nakhcheer Mera Hai,

Main Is Ko Jane Na Don Gi,

Ye Hamdard Do Chaar Sanso K Sathi,

Isay Raah Mein Phank Jain Gay Ya,

Khud Bhi Bhook Aur Thakan Hi Se,

Dam Torr Dein Gay,

Main In Ka Ta'aqub Karon Gi,

Ye Nakhcheer Mera Hai,

Mera Hai,

Mera Hai,

(Donon Sipahi Idhar Udhar Se Barf Hatate Hain Aur Zakhmi Sipahi Ko Utha Kar Kandhe Par Dalne Ki Koshish Karte Hain Hawa Ka Shor Aur Barf Bari Ki Shiddat Barh Jati Hai)

Pehla Sipahi:

Zara Hath Do Ta K Main Is Kandhe Pe Aaram Se Daal Lon,

Sipahi Ka Humdard Sathi Sipahi Hi Hota Hai,

Aao Zara Tum Idhar Se,

(Zakhmi Sipahi Karahta Hai)

Zakhmi Sipahi:

Mere Sathio Tum Ko Takleef Ho Gi,

Ye Rasta Andhera Hai Aur Pur Khatar Hai,

Zara Dekh Kar........

Mera Kia Hai K Main To,

Faqat Chand Sanson Ka Mehman Hon....

Par Tumhare Liye Zindagi Ki Mah-O-Saal,

Bekaraan Wadian Hain,

Pehla Sipahi:

Nahi Tum Salamat Raho Gay,

Humare Watan K Sipahi K Ab Zindagi Se,

Aur Mahfooz Raste Pe Tum Gamzan Ho Chuke Ho,

(Chalne Lagte Hain)

Zakhmi Sipahi:

Magar Zulmaton Se Sabhi Raste Dhak Chuke Hain,

Ye Ghati Khatar Naak Hai,

Apni Janain Meri Zindagi K Liye Mat Ganwao,

Dosra Sipahi:

Yehi Zindagi Hai,

Sipahi Hamaisha Sipahi Hi Rehta Hai,

Is K Liye Hi Khatar Naak Hi Raste Bane Hain,

Humari Musarat Yehi Hai K Hum Tum Ko,

Zinda Salamat Gajar Dam Wahan Le Chalein,

Jis Jaga Is Muqadas Zameen-E-Watan

K Zan-O-Mard Peero Jawaan,

Youm-E-Nusrat K Moqa Pe Ghazi Sapoton Ko,

Fakhar-O-Aqeedat Se Dekhain Gay,

Topon Ki Goojar Mein Un Bahadur Jawano Pe,

Takreem K Phool Barsain Gay,

Jo Jang Se Surkhuro Ho K Aaye,

Zakhmi Sipahi:

Mere Waste Is Se Barh Kar Koi Bhi,

Tamna Nahi Hai K Main Wahan Hon,

Magar Dosto Chand Lamhe Sasta Bhi Lo,

Tum Bahut Thak Chuke Ho,

Pehla Sipahi:

Thakan....?

Tum Humari Na Parwa Karo,

Aik Be Jan Lashe Ko Dogaam Bhi,

Khanchna Sakhat Aziat Hai,

Par Aik Zinda Sipahi Ko Kandhon Pe Dale,

Agar Saikron Meel Ka Bhi Safar Ho To,

Kuch Bhi Nahi,

Doosra Sipahi:

Aur Sipahi Agar Youn Thake To Sipahi To Nahi,

Pehla Sipahi:

Hawain Bahut Sard Hain Tumhare Thatarte,

Howay Hath Uff Kis Qadar Yakh Zada Hain,

Ye Dastane Lo,

Mere Hathon Mein Kafi Hararat Hai,

Zakhmi Sipahi:

Lekin....

Doosra Sipahi:

Suno....!

Ye Takaluf Ka Moqa Nahi,

Pehla Sipahi:

Bas Ye Dhalwan Ab Khatam Hone Ko Hai,

Aur Hum Apni Manzal K Nazdeek Aa Chuke Hain,

Mout:

Ye Makhlooq Kaisi Hai,

Ek Doosre Se Inhain Kis Qadar Unas Hai,

Ye Mujhe Maat De Kar,

"USAY"

Mere Nakhcheer Ko Mujh Se Cheene Liye Ja Rahe Hain,

Ye Kaise Sipahi Hain Kitne Nadar Hain,

K Main Thak Gai,

Aur Ye Ja Rahe Hain,

Mujhe Maat De Kar,

Mujhe Maat De Kar,

Mujhe Maat De Kar..........!

(Mout Moonh K Bal Gir Parti Hai) 

 

END

Book

Shab Khoon 

 

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai