Chaman Chaman Gali Galli Rosh Rosh Pukar Do

 

Poet: Saghar Saddiuqi

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Chaman Chaman Galli Galli Roosh Roosh Pukaar Do.

Watan Ko Sarfaroosh Do Watan Ko Jaan Nisaar Do.

Jo Apne Ghaiz-E-Be Karaan Se Kohesar Pees Dain.

Jo Aasmaan Ko Cheer Dain Humen Wo Shasawaar Do.

Yehi Hai Azmaton Ka Ek Asool-E-Jawadaan Hazoor.

Ameer Ko Shujaaten Ghareeb Ko Waqaar Do.

Nazar Nazar Mein Mujzan Tajaliyon K Qaflay.

Wo Jazba Hayaat-E-Noo Bashar Bashar Ubhaar Do.

Shaoor K Lebas Mein Sataqaten Hain Muntazir.

Khloos-O-itbaar K Jahaan Ko Nikhaar Do,

Tasaworat-E-Zindgi Ko Pher Laho Ka Rang Dain.

Chalo Janu Ki Wasaton Pe Danishoon Ko Waar Do.

Fizain Jais Ki Nghatoon Se Hon Waqar Gulistaan.

To Ayse Ayse Phol Ko Sitara-E-Bahar Do.

Jo Chashm-O-Dil K Sath Sath Mekaday Ko Phonk Day.

Mujhe Khuda K Wastay Wo Jaam-E-Pursarar Do.

Jalak Raha Hai Khaloton Mein Saghar Mashaidat.

Utho Sukhnoro Zameen Pe Kehkashan Utar Do......!


Book:

Kuliyat e Saghar

Page: 364 to 365

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo