Posts

Showing posts from September, 2013

Main Har Shaakh Dil Ki Naram Bechta Hon

    Poet Atish Aheer Typed  * Red.Rose *    Ba Soda-E-Fasal-e-Zakhm, Bechta Hon, Main Har Shaakh Dil Ki Naram Bechta Hon, Kai Baar Kirno Ki Seerhi Pe Charh Kar, Main Apni Jabeen K Karam Bechta Hon, Khizaon Se Pehle Mohabbat K Hathon, Main Khushbo K Sare Bharam Bechta Hon, Agar ! Bhook Mujh Par Ab Ashiq Hoi Hai, To Pehle ! Main Apni Sharm Bechta Hon, Bazar-E-Kufar! Sard Karne Ki Khatir, Takkay Daamon Suche Harm, Bechta Hon, Koi Rasm Uthti Hai Sada Dili Se, Kisi Ko! Utha K Qasam, Bechta Hon, Zaroorat K Hathon Ikathe Howay Hain, Wo Chabuk Main Apne Waram Bechta Hon, Koi Zulf Hai Jo Khareede Gi Is Ko, Abhi Se Main Agla Janam Bechta Hon, AFTAB Ko Na Mafi Mili Na Talafi, Agar Main Ghazal Ya Nazam Bechta Hon...............!    

Hijar Mein Khoob Rulate Ho Kahan Hote Ho? Lout Kar Kion Nahi Aate Ho Kahan Hote Ho?

Image
Poet Ibn-E-Insha Hijar Mein Khoob Rulate Ho Kahan Hote Ho? Lout Kar Kion Nahi Aate Ho Kahan Hote Ho? Mujh Se Bichre Ho To Mehboob-E-Nazar Ho Kis K? Aaj Kal Kis Ko Manate Ho Kahan Hote Ho? Shab Ki Tanhai Mein Aksar Ye Khayal Aata Hai, Apne Dukh Kis Ko Sunate Ho Kahan Hote Ho? Tanha Raton Mein Tumhain Kaise Bhula Sakte Hain, Aag Si Dil Mein Lagate Ho Kahan Hote Ho? Shehr K Log Bhi Aksar Ye Sawal Karte Hain, INSHA Ab Bahut Kam Nazar Aate Ho Kahan Hote Ho................? Book Chand Nagar

Phir Aa Rahi Eid Wo Dekho Chand Eid Ka (CHAND EID KA)

============== Eid Collection ============== Poet UMAR RAAHI Phir Aa Rahi Eid Wo Dekho Chand Eid Ka, Roti In Aankhon Ko Intzar Hy Tairi Deed Ka, Aao K Mil Kar Baantein Khushiyan Eid Ki, Eid Hy Paigham Deed Ka, Wohi Ujrra Aur Veeran Ghar Hy Maira, Muntzar Hy Jo Tairy Lotny Ki Naveed Ka, Lott Aao Is Eid Py Gar Tum Jaana'N, Mehak Uthy Phool Chaman-E-Khusheed Ka, Ajj-Nabi Nahein Hum An-Jany Nahein, By-Rukha Hy Kyoun Andaz Taira Guffat-O-Shuneed Ka, Sun Kar Iltja RAAHI Ki Aa Bhi Jao, Eid Hy Din Ahad-E-Wafa-O-Tehmeed Ka................!

Sharafat Soz Tasveeron Ki Uriani Nahi Jati

  Poet Faiz Ahmad Faiz    Sharafat Soz Tasveeron Ki Uriani Nahi Jati, Adab Ki Aar Mein Targheeb-e-Roomani Nahi Jati, Khuda Jane K Nasl-e-Nao Ka Kia Anjam Hona Hai? Watan Se Fahash Naghmon Ki Farawani Nahi Jati, Azaab Aaye To Us Mein Sainkron Ki Jan Jati Hai, Nahi Jati To Shaitano Ki Shaitani Nahi Jati, Kahein Basti Ki Basti Boond Pani Ko Tarasti Hai, Kahein Barish Barasti Hai To Tughyani Nahi Jati, Jahan K Zarre Zarre Se Numaya Hai Jalaal US Ka, Magar Hum Se Khuda Ki Zat Pehchani Nahi Jati, Zamana Is Qadar Qail Howa Hai FAIZ Jhooton Ka, Jo Sach Kehte Hain Un Ki Aik Bhi Maani Nahi Jati..............!   

Khushian Sari Bant Kar Dard Mila Kar Peo

  ============= Mila Kar Pio =============    Poet UMAR RAAHI Type BY UMAR RAAHI    Khushian Sari Bant Kar Dard Mila Kar Peo, Agar Peena Hi Hy Sharab To Zehar-E-Judai Mila Kar Peo, Aankhon K Ye Jhal'Kty Jaam Tham Na Jaein Kahein, Us Sy Pahly Aao Aur Aankh Sy Aankh Mila Kar Peo, Dard-E-Tanhai Azaab Sy Kamm Nahein, Dard-E-Tanhai Ko Jaam-E-Ashak Mein Mila Kar Peo, Rindo'n Ki Ye Mehfil Phir Kahan Mayyser Ho Saqi ? Ay Mehfil-E-Rinda'n Jaam Sy Jaam Takra Kar Peo, RAAHI Ye Dard Ki Dawa To Aab-E-Hayaat Hai, Ba Ahtram Isy To Muskra Kar Pio.....!  

Aaj Itna JAAM Pila De K AANKHAIN Band Ho Jain

  Aaj Itna JAAM Pila De K AANKHAIN Band Ho Jain "AY_SAQI" Suna Hai AANKHEN Band Ho Jayien To Dushman B MILNAY Chalay Aatay Hain.  

Is Khaak ko Hidayat day Moula

  !.....Iss Khaak ko Hidayat day Moula.....! !.....Uss Khaak mein Milny sy Pehly.......! (Aameen)  

Teri Wafa K Taqaze Badal Gaye Warna

  Teri Wafa K Taqaze Badal Gaey Warna, Mujhey To Aaj Bhi Tum Se Azeez Koi Nahi.....!  

Na Hota Dar Mohammad S.A.W.W Ka To Deewane Kahan Jate

  Poet Saghar Saddiqui ====== NAAT ====== Typ By *._Ayaz Khan_.*    Na Hota Dar Mohammad S.A.W.W Ka To Deewane Kahan Jate. KHUDA Se Apne Dil Ki Baat Manwane Kahan Jate. Jinhen Ishq-E- Mohammad s.w.s Ne Kia Idrak Se Bala. Haqeeqat In Tamanaon Ki Samjhane Kahan Jate. KHUDA Ka Shukr Hai Ye Hajr-E-Asood Tak Rasai Hai. Jinhen Kabay Se Nasbat Hai Wo Butkhane Kahan Jate. Agr Aati Na Khushbo-E-Madina Meri Aankhon Se. Jao Marte Hain Na Jalte Hain Wo Parwane Kahan Jate. Simat Aaye Meri Aankhon Mein Husan-E-Zindagi Ban Kar. Sharab-E-Dar Se Makhmoor Nazrane Kahan Jate. Chalo Acha Howa Hai Naat-E- SAGHAR Kam Aai Hai. Ghulaman-E-Nabi s.w.s Mihshar Mein Paichane Kahan Jate.......! Book Kuliat-e-Saghar Page: 23  

Tumhain Udas Sa Pata Hon Main Kai Din Se Na Jane Kon Se Sadme Utha Rahi Ho Tum

  Poet Sahir Ludhianvi    Tumhain Udas Sa Pata Hon Main Kai Din Se, Na Jane Kon Se Sadme Utha Rahi Ho Tum, Wo Shokhian Wo Tabasum Wo Qehqahe Na Rahe, Har Aik Cheez Ko Hasrat Se Dekhti Ho Tum, Chupa Chupa K Khamooshi Mein Apni Bechaini, Khud Apne Raz Ki Tash'heer Ban Gai Ho Tum, Meri Umeed Agar Mit Gai To Mitne Do, Umeed Kia Hai Bas Ek Pesh-O-Pasan Hai Kuch Bhi Nahi, Meri Hayat Ki Ghamgeenion Ka Gham Na Karo, Gham-E-Hayat Gham Yak Nafs Hai Kuch Bhi Nahi, Tum Apne Husn Ki Ranaion Pe Reham Karo, Wafa Fareib Hai Tool Hivas Hai Kuch Bhi Nahi, Mujhe Tumahare Taghaful Se Kion Shikayat Ho? Meri Fana Mere Ahsas Ka Taqaza Hai, Main Janta Hon K Dunia Ka Khof Hai Tum Ko, Mujhe Khabar Hai Ye Dunia Ajeeb Dunia Hai, Yahan Hayat K Parde Mein Mout Palti Hai, Shikast-E-Saz K Awaz Rooh-E-Naghma Hai, Mujhe Tumhari Judai Ka Ko Ranj Nahi, Mere Khayal Ki Dunia Mein Mere Pas Ho Tum, Ye Tum Ne Theek Kaha Hai T...

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai Sahar Ludhianvi

  Poet Sahir Ludhianvi    Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai, K Zindagi Teri Zulfon Ki Naram Chaon Mein, Guzarne Pati To Shadab Ho Bhi Sakti Thi, Ye Tairgi Jo Meri Zeest Ka Muqadar Hai, Teri Nazar Shoaon Mein Kho Bhi Sakti Thi, Ajab Na Tha K Main Begana-E-Alam Ho Kar, Tere Jamal Ki Ranaion Kho Rehta, Tera Gudaz Badan Teri Neem Baz Aankhein, Inhi Haseen Fasano Mein Mehv Ho Rehta, Pukartien Mujhe Jab Talkhian Zamane Ki, Tere Labon Se Halawat K Ghont Pee Leta, Hayat Cheekhti Phirti Bar Hana Sar Aur Main, Ghaneri Zulfon K Saye Mein Chup K Jee Leta Hon, Magar Ye Ho Na Saka Aur Ab Ye Aalam Hai, K Too Nahi Tera Gham Teri Justajoo Bhi Nahi, Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarha Zindagi Jaise, Isay Kisi K Sahare Ki Aarzo Bhi Nahi, Zamane Bhar K Dukhon Ko Laga Chuka Hon Galay, Guzar Raha Hon Kuch Anjani Rah Guzaron Se, Moheeb Saye Meri Simat Barhte Aate Hain, Hayat-O-Mout K Pur Hol Khaar Zaro...

Kayal-E-Yar Mein Hum Pur Bahar Rehte Hain

  Poet Saghar Saddiqui tYpe bY *._Ayaz Khan_.*    Kayal-E-Yar Mein Hum Pur Bahar Rehte Hain. Khizaan K Din Bhi Humen Saaz-Gar Rehte Hain. Chaman Mein Sirf Humara Hee Zikar Rehta Hai. Barng-E-Lala Humi Daghdar Rehte Hain. Ye Aur Baat K Tum Aaye Ho To Koi Nahi. Warna Gham To Yahan Be Shumar Rehte Hain. Jahan Guds Bhi Meri Nazar Se Guzara Hai. Wahan Bhi Teri Nazar K Shikar Rehte Hain. Basiraton Ko Nikhara Humi Ne Aye SAGHAR. Tajalion Se Humi Humkinar Rehte Hain.......! Book Kuliat-e-Saghar Page: 261  

Ye bekhudi ye labon ki hansi mubarik ho

  ========== Birth Day ==========    [Salgirah mubarak ho]    Ye bekhudi ye labon ki hansi mubarik ho, Tujhe ye salgirah ki khushi mubarak ho, Kabhi na aey koi gham qareeb tere, Jahan mein sabse ache hon nasib tere, Khuloos pyaar bhari dosty mubarak ho, Tujhe ye salgirah ki khushi mubarak ho, Khuda kare hon farishte sipah tere, Bichaen phool log raah mein tere, Ishq ke rang, sadaf ki chandni mubarak ho, Tujhe ye salgirah ki khushi mubarak ho, Sabhi ke hath uthe hein dua ke liye, Muskuratein tujhe hasil hon sada ke liye, Aey mere dost ye nai zindagi mubarak ho, Tujhe ye salgirah ki khushi mubarak ho...!  

Mera Lafaz Lafaz Dua Ye Dua Tere Liye

   +++++++++++ Birth Day +++++++++++    Mera Lafaz Lafaz Dua Ye Dua Tere Liye, Mairi Ghazlon Ka Bol Bol Sada Ye Sada Tairy Liye, Rahy Sada Muskrahit Tairy Labbon Py, RABB Sy Hy Iltja Ye Iltja Tairy Liye, Koi Din Na Aaye Ly Kar Dukh Tairy Zindagi Mein, Dil Sy Nikalti Hy Dua Ye Dua Tairy Liye, Tujh Py Aany Wali Museebatein Samait Lon Daman Mein Apny, Mairy Hissy Ki Khushiyan Ye Khushiyan Tairy Liye, Mangta Hoon KHUDA Sy Jo Raat Mein Uthh Kar, Wo Sub Duaein Dua Tairy Liye, Raho Sada Phool K Jaisy Mehkti Tum, RAAHI Ki Hy Ye Sada Sada Tairy Liye,    

Chahat Ho khushhi Ho Tere Daman Mein Wafa

  =+=+=+=+=+=+= Birth Day =+=+=+=+=+=+=    Chahat Ho khushhi Ho,Tery Daman Me Wafa Ho.., Mehki Howi Ik Shaam Teri Salgirah Ho,, Is Din K Tasawwur Se Sanwar Jaain Nazary, Is Din Tere Qadmon Me Bikhar Jaain Sitary, Is Din Pe Meri Zeest Ka Her Lamha Fida Ho, Mehki Howi Ik Shaam Teri Salgirah Ho,, Purzor Hawa Me Diya Jalta Huwa Rakhy, ALLAH Jahan Me Tujhe Hamesha Hansta Howa Rakhy, Bojhal Na Kabhi Namm Teri Palko Ki Rida Ho,, Mehki Howi Ik Shaam Teri Salgirah Ho.. Chahat K Dilon Se,Kabhi Jazbaat Na Kam Hoon, Aisa Hi Agar Ho To Ye Din Raat Na Kam Hoon, ALLAH Kary Umar Meri Tujh Ko Ataa Ho, Mehki Howi Ik Shaam Teri SALGIRAH ho.  

Aaj Tumhari Salgira Hai Dekho Hum Ko Yad hai Na

  =*=*=*=*=*=*=*= Birth Day =*=*=*=*=*=*=*=    Aaj Tumhari Salgira Hai Dekho Hum Ko Yaad hai Na, Nargis Bela Motia lala juhi, Chumpa Or Banafsha Har Koi Dekho Shaad hai Na, Ajj Tumhari Salgirah Hai Dekho Hum Ko Yaad hai Na, Roshan Roshan Manzir Saare, Lambi Lariyan Phool Sitare Har Ik Rang Abad Hai Na, Aaj Tumhari Salgirah Hai Dekho Hum Ko Yaad hai Na.....+ Happy Birthday.  

Tumhari Salgirah Jab Se Mujh ko Yad Aai

  ************ Birth Day  ************   Tumhari Salgirah Jab Se Mujh ko Yaad Aai Tabhi Se Soch Rahi Hon k Tumhen Kya Paish Karon? Koi Sapna, Koi Wada, Koi Khushbu, Koi Phool Ya Tumhen Dil Se Nikalti ye Dua Paish Karon Tumhary Paaon Sada Manzilon ki Raah Chalen Sarab ka Tumhari Raah Se Guzar Bhi Na Ho Tumhary Haath Barhen, Kamyabi ko Chho Len Kisi Nakami ka Tumhari han Zikr B Na Ho Tumhari Aankhon Main Umeed k Taary Chamken Mayosiyon Main koi Roz-o-Shab Basar Bhi Na Ho Tujhe Urooj He Itna Mily Ay Jaan-e-Aziz! K Tumhen Phir kisi Zawal ki Fikar Bhi Na Ho. HAPPY BIRTHDAY.  

KHUDA Kare Tere Gulshan Mein Jo Salgira Aai ho

  =========== Birth Day ===========    KHUDA Kare TErE GUlLshan MEn Jo SaLgirha Aai h0 Tere Lab0n Par Wo Har Lamha MUskurai h0 KHUDA karE To Ek PaL Bi UdaS Na H0 UdaSi ka Saya bi Tere PaS Na h0 KHUDA KarE TEri KhuShiy0n k Ph0oL KhiL JaiN. Wo JinSe MiLny Ka ArmaN hai TujhKo miL JaiN. KHUDA karE TEra AaNGaN y0n hE MEhakta Rahy. To "ChaNd" Ban kar faLak Par Sada Chamkta Rahy. KHUDA KarE Tujhe SaLgirha Ras aa jaye. To JiSko Chahy Wo khud Tere PaS aa jaye. . HapPy Birthday 2 U.  

Phoolon ne Amrat Ka Jaam bheja Hai

  ========== Birth Day ==========    Phoolon ne Amrit Ka Jaam bheja Hai, Sooraj Ne Gagan Se Salam Bheja Hai, Mubarak Ho Ap Ko Naya Janam Din Aye Dost, Tahe Dil Se Hum Ne Ye Paigaam Bheja Hai..........!  

Us ki Salgirah K Moqe Par Us ne Davat Nama Likh Behja

  ========== Birth Day ==========   Us ki Salgirah K Moqe Par Us ne Davat Nama Likh Behja Jab Pocha Mai Ne kion Behja Tab Boli Yad Boht Tum Aate Ho Jab Sakhiya Mujy Satati Hai Jab Yadein Mujy Rolati Hy Tab Yad Boht Tum Aty Ho Aaj Hy Mri Salgira Davat Nama Beja Hy Us Ne Apni Salgira K Moqa Par Davat Nama Beja Hy Sath Ye B Likha Tha Jab Ao To Dil Ko Smbl K Ana Mri Salgira K Muqa Par Meri Shadi Ka Bhi Moqa Hai Usny Aj Apni Salgira Ka Davat Nama Beja Hai..........!  

Shor Hy Har Taraf Sahb Sahb Saqia! Saqia! Sharab! Sharab!/

  Poet: KASHAFI MULTANI   Shor Hy Har Taraf Sahb Sahb Saqia! Saqia! Sharab! Sharab!/ Aab e Hewan Ko May Se Kia Nisbat * Pani Pani Hy Aur  Sharaab! Sharaab!/   Rind Bakhshy Gaye Qayamat Main * Shekh Kehta Raha Hisaab! Hisaab!/   Ek Wahi Mast Baakhabar Nikla * Jis ko Kehte They Sab Kharab! Kharab!/    Mujh Se Waja-Gunah Jab Pochi * Sir Jhuka Ke Kaha  Shabaab! Shabaab!/ Jaam Girne Laga Tou Behka Shekh * Thamna Thamna! Ketaab! Ketaab!/ Kab wo Aata Hy Saamne KASHAFI* Jis Ki Har Ek Adaa Hijaab! Hijaab!.........     ********** NOMI **********  

Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milein

  Poet Ahmad Faraz    Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milein, Jis Tarha Sookhe Howay Phool Kitabon Mein Milein, Dhoond Ujre Howay Logon Mein Wafa K Moti, Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milein, Gham-E-Dunia Bhi Gham-E-Yar Mein Shamil Kar Lo, Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milein, Too Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa, Dono Insaan Hain To Kion Hijabon Mein Milein? Aaj Hum Dar Pe Khainche Gaye Jin Baton Par, Kia Ajab Kal Wo Zamane Ko Nisabon Mein Milein, Ab Na Wo Main Hon Na Too Hai Na Wo Mazi Hai, FARAZ Jaise Do Shakhs Tamana K Sarabon Mein Milein...  

Aise Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunia

    Poet Atish Aaheer    Aise Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunia, Mar Jain To Jeene Ki Dua Deti Hai Dunia, Hum Kon Se Momin Thay Jo Ilzam Na Sehte, Pathar Ko Bhagwan Bana Deti Hai Dunia, Ye Zakhm Mohabbat Ka Hai Dikhana Na Kisi Ko, La Ker Sar-E-Bazar Saja Deti Hai Dunia, Qismat Par Karo Naaz Na Itna Bhi Faqeero, Hathon Ki Lakeeron Ko Mita Deti Hai Dunia, Marne K Liye Karti Hai Majboor To Lekin, Jeene K Tareeqe Bhi Sikha Deti Hai Dunia, Aise Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunia,     

Dard-E-Dil Jagata Hai Eid Ka Chaand Khoon K

=============== Eid Ka Chaand =============== Type BY UMER RAAHI Dard-E-Dil Jagata Hai Eid Ka Chaand, Khoon K Aansoo Rulata Hai Eid Ka Chaand, Bhula Kar Jo Hain Khush Hum Ko, Yaad Un Ki Dilata Hai Eid Ka Chaand, Khushi Bant'Ta Hai Har Ik Ko, Dard Mairy Daman Mein Chhorr Jata Hai Eid Ka Chaand, Bikhra Apna Wajood Jo Samait Laita Hon, Pall Bhar Mein Raiza Raiza Kar Jata Hai Eid Ka Chaand, Mairy Dar-O-Deewar Hain Tanha Tanha, Udaasi Ik Nayi Lata Hai In Py Eid Ka Chaand, RAAHI Jab Hansna Chahta Maira Dil, Ik Naya Dard Sonp Jata Hai Eid Ka Chaand.............!

Aab-E-Angoor Se Wazoo Kar Lo Dosto Baiat Saboo Kar Lo

  Poet Saghar Saddiqui Type By *._Ayaz Khan_.*    Aab-E-Angoor Se Wazoo Kar Lo, Dosto Baiat Saboo Kar Lo, Gur Bata Dain Ge Badshahi K, Hum Faqeeron Se Guftagoo Ka Lo, Un Se Milna Koi Mahal Nahi, Un Se Milne Ki Aarzoo Kar Lo, Do Qadam Raigaan Hoye To Kia, Do Qadam Aur Justajoo Kar Lo, Jashan Zaar-E-Hayat Mein SAGHAR, Chaar Din Tum Bhi Haa-O-Hoo Kar Lo.......! Book: Kuliat -e-Shaghar Page: 171  

Dard-E-Dil Bhi Gham-E- Doran K Bara Bar Se Utha

    Poet Mustafa Zaidi    Dard-E-Dil Bhi Gham-E- Doran K Bara Bar Se Utha, Aag Sehra Mein Lagi Aur Dhowan Ghar Se Utha, Dard-e-Dil Bhi Gham-E- Doran K Barabar Se Utha, Tabish-E-Husn Bhi Thi Aatish-E-Dunia Bhi Magar, Shola Jis Ne Mujhe Phoonka Mere Andar Se Utha, Dard-E-Dil Bhi Gham-E- Doran K Barabar Se Utha, kisi Mosam Ki Faqeeron Ko Zaroorat Na Rahi, Aag Bhi Abar Bhi Toofan Bhi Saghar Se Utha, Dard-E-Dil Bhi Gham-E- Doran K Barabar Se Utha, Chand Se Shikwa Ba Lab Hon K Sulaya Kion Tha, Maye Ki Khursheed-E- Jahan Khawab Ki Thokar Se Utha, Dard-E-Dil Bhi Gham-E- Doran K Barabar Se Utha, Aag Sehra Mein Lagi Aur Dhowan Ghar Se Utha, Dard-E-Dil Bhi Gham-E- Doran K Barabar Se Utha.............!     


Ek Too hi Na Bechain Tha Pyare Shab-E-Hijraan

    Poet Shamsher Haidar Type By UMAR RAAHI    Ek Too hi Na Bechain Tha Pyare Shab-E-Hijraan Ginta Raha Main B Stare Shab-E-Hijraa'n Chunti Rahi Pal'Kon Se Utre Huye Aansoo, Sunti Rahi Noohe Hamare Shab-E-Hijraa'n Ae Zeesat Ye Manzar B To Ik Baar Dikha De, Hanste Huye Koi To Guzare Shab-E-Hijraa'n, Aabad Barre Dard Hain Is Dashat Mein Laikin, Dil Hai K Bas Ik Tujh Ko Pukare Shab-E-Hijraa'n, Ab Aur Koi Dhond Raha Hai Jo Taira Sath, Hum Log To Is Khel Mein Hare Shab-E-Hijraa'n, Shamsher Ajb Raat Hai Kaate Nahein Kat'Ti, Dukh Dard B Yaad Aate Hain Sare Shab-E-Hijraa'n....!    

Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga Lyrics

  Singer Noor Jahan    Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga, Dil Na Chahe Ga Magar Aag Pe Chalna Ho Ga, Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga, Shamma Ek Rat Jaga Karti Hain Lekin Mujh Ko, Umar Bhar K Liye Chup Chap Pighalna Ho Ga, Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga, Cheen Li Pyar Ki Thandak To Zamane Ne Kaha, Tujh Ko Ek Aag Se Gumnam Nikalna Ho Ga, Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga, Bandh Hain Mout Ki Rahein Bhi Haseeno K Liye, Jane Is Qaid Se Ab Kaise Nikalna Ho Ga, Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga, Aasman Wala Phir Mera Khuda Hai To, Mujhe Aapni Dunia K Teri Wadon Ko Badalna Ho Ga, Dil Na Chahe Ga Magar Aag Pe Chalna Ho Ga, Kia Khabar Thi Teri Mehfil Se Nikalna Ho Ga...............!   

Har Taraf Hai Aafaq Mein Rahmat Us Ki

    Poet Dr Khawaja Abid Nizami    Har Taraf Hai Aafaq Mein Rahmat Us Ki, Zare Zare Mein Nazar Aati Hai Qudrat Us Ki, Har Barai Hai Usi Zat-E-Ahad Ko Zaiba, Izat Us Ki Hai Shikwa Us Ka Hai Azmat Us Ki, Us K Hi Noor Se Roshan Hain Ye Mah-O-Anjum, Lala-O-Gul Mein Hai Ye Nekahat-O-Rangat Us Ki, Is Ki Qudrat Pe Hai Angasht Badnadaan Dunia, Dorti Hai Rag-E-Gul Mein Bhi Hararat Us Ki, Aik Insan Ko Kia Fakhar-E-Do Aalam Us Ne, Nasal Aadam Pe Hai Kis Darja Anayat Us Ki, Rifat Arsh Par Urta Hai Pharera Us Ka, Wosat-E-Araz Pe Qaim Hai Hakoomat Us Ki, Us Ki Rahmat Se Atta Ho Mujhe Aisi Tofeeq, Dil Kash Andaz Mein Likhta Rahon Mudahat Us Ki, Us K Mehboob-E-Mukaram Ka Hai Sadqa, ABID Hum Ko Hasil Hai Balaon Mein Hifazat Us Ki......................!     

Udas Sham Kisi Khawab Mein Dhali To Hai Lyric

  Poet Qateel Shifai    Udas Sham Kisi Khawab Mein Dhali To Hai, Yehi Bahut Hai K Taza Hawa Chali To Hai, Jo Apni Shaq Se Bahar Abhi Nahi Aai, Nai Bahar Ki Zameen Wohi Kali To Hai Dhowan To Jhoot Nahi Bolta Kabhi Yaro, Humare Shaher Mein Basti Koi Jali To Hai, Kisi K Ishq Mein Hum Jan Se Gaye Lekin, Humare Naam Se Rasm-e-Wafa Chali To Hai, Hazar Band Hon Dair-O-Haram K Darwaze, Mere Liye Mere Mehboob Ki Gali To Hai........................!   

EID Pe Hum Apne Yar Ko Tarse DEEDAR Ko Us K Pyar Ko Tarse

================= Eid Collection ================= Poet Ayaz Khan Type By *._Ayaz Khan_.* EID Pe Hum Apne Yar Ko Tarse, DEEDAR Ko Us K Pyar Ko Tarse, ZARD Mosam Mein Jaise Shajar Tarpe, Ya Phir Chaman Bahar Ko Tarse, JAISE Koi Phool Shakh Se Juda Hota Hai, Ya Khizaan Mein Kalian Nikhar Ko Tarse. YA Qaid Mein Koi Panchi Jangal Ko Yad Kare. YA Dasht-O-Bayabaan Chanaar Ko Tarse. YA Karwaan Se Koi Musafir Bhatak Jaye. YA Phir Sehra Mein Piyasa Gulzaar Ko Tarse. YA Sakht Garmi Mein Koi Piyasi Zameen. SAWAN Ki Thandi Phowar Ko Tarse, YA Phir Sahil Se Door Toofano Mein. GHIRI Koi Naoo Kinaar Ko Tarse. AYAZ Phir Eid Aai Hai Khushian Le Kar. Hum Teri Muskan Tere Khumaar Ko Tarse................!

Is Nahi Ka Ko Ilaj Nahi

  =>Is Nahi Ka Koi Ilaaj Nahi ......**+"          => Roz Kehtay Hain Ap Aj Nahi ......**+"   ********** NOMI **********   

Hamari Zindagi b Khushyon se labrez thi

  Hamari Zindagi b Khushyon se labrez thi. Ek Dil ka tootna tha k Sara manzar badal gaya.  

Dil-E-Nadan Ye Majra Kia Hai Din Bhar Tere Rone Ka

    ================= Dard Ki Dawa =================   Poet UMAR RAAHI    Dil-E-Nadan Ye Majra Kia Hai? Din Bhar Tere Rone Ka Masla Kia Hai? Rehta Hy Har Pall Baichan Kyoun ? Tairi Baichaini Ka Bata Sabbab Kaya Hy ? Karta Hy Kyoun Har Dam Aah-O-Faghaan ? Har Pall Ki Ye Aah-O-Zaari Ye Dua Kaya Hy ? Gham Hy Kis Ka ? Rona Hy Ye Kaisa ? Sajdon Mein Ye Saskna Ye Labb-E-Iltja Kaya Hy ? RAAHI Koi Bichharr Gaya Ya Dil Hy Toota ? Aakhir Tairy Dard Ki Bata Dawa Kaya Hai.............!    

Bharka Rahe Hain Aag Lab-E-Naghma Gar Se Hum

  Poet Sahir Ludhianvi    Bharka Rahe Hain Aag Lab-E-Naghma Gar Se Hum, Khamosh Kia Rahein Gay Zamane K Dar Se Hum, Kuch Aur Barh Gaye Jo Andhere To Kia Howa, MaYoos To Nahi Hain Taloo-E-Sahar Se Hum, Le De K Apne Pas Faqt Ek Nazar To Hai, Kion Dekhein Zindagi Ko Kisi Nazar Se Hum, Mana K Is Zameen Ko Gulzar Kar Sake, Kuch Khaar Kam To Kar Gaye Guzre Jidhar Se Hum............! Page 151   

Nafs K Looch Mein Ram Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai

  Poet Sahir Ludhianvi    Nafs K Looch Mein Ram Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai, Hayat Saghar Sam Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai, Teri Nigah Mere Gham Ki Pasdari Sahi, Meri Nigah Mein Gham Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai, Meri Nadeem...! Mohabbat Ki Rifaton Se Na Gir, Buland Baam-E-Haram Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai, Ye Ihtanab Hai Aks-E-Shaoor-E-Mahboobi, Ye Ahtiat-E-Sitam Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai, Idhar Bhi Aik Achti Nazar K Dunia Mein, Faroogh-E-Mehfil-E-Jisam Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai, Naye Jahan Basaye Hain Fikar-E-Aadam Ne, Ab Is Zameen Pe Aram Hi Nahi Kuch Aur Bhi Hai, Mere Shaoor Ko Aawara Kar Dia Jis Ne, Wo Marg-E-Shadi-O-Gham Nahi Kuch Aur Bhi Hai.........! Page 112   

Mosam Hai Nikle Shakhon Se Pate Haray Haray

    Poet Meer Taqi Meer Type By *._Ayaz Khan_.* Mosam Hai Nikle Shakhon Se Pate Haray Haray. Pode Chaman Mein Phoolon Se Dekhe Bharay Bharay. Aage Kisi K Kia Karein Dast-E-Tamah Daraz. Wo Hath So Gaya Hai Sarhane Dharay Dharay. Kia Mujhe Us K Rutba Aali Ko Ehl-E-Khak. Pherte Hain Joon Sphehr Bahut Hum Daray Daray. Marta Tha Mein To Baza Rakh Mujhe Marne Se Mujhe. Ye Keh K Koi Aysa Kare Hai Aray Aray. Gulshan Mein Aag Lag Rahi Thi Rang-E-Gul Se MEER. Bulbl Pukari Dekh K Sahab Paray Paray......! Book Deewan-e-Meer Page 82    

Kaghaz Ki Kashtiyan Theen Bahao Bhi Khoob Tha

    Kaghaz Ki Kashtiyan Theen Bahao B Khoob Tha, Mosam Ka Paniyon Sy Lagao B Khoob Tha, Manzar Tery Khayal K Sab Toty Rahay, Sochon Ka Waswason Sy Bachao B Khoob Tha, Zaray Chamak Rahay Thay Falak Se Zamen Tak, Sehra Main Chandni Ka Parao B Khoob Tha, Bilkul Badal Gae Thay Taqazay B Adal K, Munsif ka Aik Simt Jhukao B Khoob Tha, Chahat K Lafz Saray Baghawat Main Dhal Gae, Jalti Hui Anna Ka Allao B Khoob Tha, Aansu B Kar Sakay Na Haqeqat Ko Be-Naqab, Teri Taraf Se Aakhri Ghao Bhi Khoob Tha.    

Pyas Wo Dil Ki Bujane Kabhi Aaya Bhi Nahi

  Poet Qateel Shifai Pyas Wo Dil Ki Bujane Kabhi Aaya Bhi Nahi, >Kesa Badal Hai Jis Ka Koi Saya Bi Nahi_ >Be Rukhi Is Se Bari Aur Bhla Kia Ho Gi_ >Ik Mudat Se Hamain Us Ne Staya Bi Nahi_ >Roz Aata Hai Dar_E_Dil Pe Wo Dastak Dene_ >Aaj Tak Ham Ne Jise Pass Bulya Bi Nahi_ >Sun Liya Kese Khuda Jane Zamane Bhar Ne_ >Wo Fasana Jo Kabi Ham Ne Sunya Bi Nahi_ >Tum Tu Sayar Ho Qateel Aur Wo Aam Sa shakhs_ >Us Na Chaha Bi Tujhe Aur Jtaya Bi Nahi..........!  

Ye Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen Ham

    Poet Habib Jalib Ye Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen Ham_ >Lekin Ye Kia K Shehr Tara Chor Jayen Ham_ >Mudat Hoyi Hai Koye Butan Ki Tarf Gaye_ >Awargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachyen Ham_ >Shayad Baqed_E_Zeesat Ye Sa'at Na Aa Sake_ >Tum Dastan_E_Shoq Suno Aur Sunain Ham_ >Be Noor Ho Chuki Hai Bahut Shehar Ki Faza_ >Tareek Raston Main Kahin Kho Na Jayen Ham_ >Us Ke Baghair Aaj Bahut Ji Udass Hai_ >Jalib Chalo Kahin Se Usay Dhond Layen Hum........!    

Is Dard Ki Dunya Se Guzar Kun Nahe Jate.

    Poet Habib Jalib Is Dard Ki Dunya Se Guzar Kun Nahe Jate. >Ye Log Bi Kia Log Hain Mar Kun Nahe Jate_ >Hai kon Zamane Main Mera Poohne Wala_ >Nadaan Hain Jo Kehte Hain K Gahr Kun Nahe Jate_ >Shouley Hain To Kun In Ko Bharakte Nahe Dehka_ >Hain Khak To Rahon Main Bikhar Kun Nahe Jate_ >Aansu Bhi Hain Aankhon Main Dua'in Bhi Hain Lab Par_ >Bigrey Hue Halaat Sanwar Kun Nahe Jate........!    

Tum Aaye Ho Na Shab_E_Inezar Guzri Hai

  Poet Faiz Ahmed Faiz    Tum Aaye Ho Na Shab_E_Inezar Guzri Hai, >Talash Main Hai Sahar Bar Bar Guzri Hai_ >Junoon Main Jitni Bi Guzri Bekaar Guzri Hai_ >Agarche Dil Pe Kharabi Hazaar Guzri Hai_ >Hui Hai Hazarat_E_Naaseh Se Guftagu Jis Shab_ >Wo Shab Zaroor Sar_E_kuu_E_Yaar Guzri Hai_ >Wo Baat Sare Fasany Main Jis Ka Zikar Na Tha_ >Wo Baat Un ko Bohat Na Gawar Guzri Hai_ >Na Gul Khile Hn Na Un Se Mile Na Mai Pii Hai_ >Ajiib Rang Main Ab K Bahar Guzri Hai_ >Chaman Main Gaarat_E_Gulachin Se Jane Kya Guzari_ >Qafas Se Aaj Sab Beqarar Guzri Hai.............!  

Youn Saja Chand K Jhalka Tere Andaz Ka Rang

  Poet_Faiz Ahmed Faiz    Youn Saja Chand K Jhalka Tere Andaz Ka Rang_ >Yun Faza Mehaki K Badla Mere Hamraz Ka Rang_ >Saya_E_Chashm mein Heeran Rukh_E_Raushan Ka Jamaal_ >Surkhi_E_Lab Pe Paresan Tere Aawaz Ka Rang_ >Be piye Hon ki Agr Lutf Karo Aahkir_E_Shab_ >Shiiha_E_May Main Dahle Suhba K Aagaaz ka Rang_ >Chango_Nay Rang The Apny Lahu Ke Dam Say_ >Dil Ne lay Badle To Madham Hua Har Saaz ka Rang_ > Ik Sukhan Aur Ki Phir Rang_E_Takallum Tera_ >Harf_E_Sada Ko Anayat Kare Ejaaz ka Rang..........!  

Tere Gum Ko Jan Ki Talash Thi Tere Jan Nisaar Chale Gaye,

  Poet Faiz Ahmad Faiz    Tere Gum Ko Jan Ki Talash Thi Tere Jan Nisaar Chale Gaye, >Tere Raah Main Karte The Sar Talab Sar_E_Raah Guzar Chale Gaye_ >Tere Kaj Adaaii Se Har K Shab_E_ Inezaar Chali gae_ > Mere Zabt_E_Haal Se Ruth Kar Mere Gam Gusaar Chale Gye_ >Na Sawal_E_Vasl Na Arz_E_Gam Na Hikayaten Na Shikayaten_ >Tere Ahad Main Dil_E_Zaar K Sabhi Ikhtiyar Chale Gye_ >Ye Hamin The Jin K Libaas Par Sar_E_Raah Siyahi Lihki Gae_ >Yahi Daag The Jo Saja K Ham Sar_E_Bazm_E_Yaar Chale Gye_ >Na Raha Junoon_E_Rukh_E_Wafa Ye Rasan Ye Daar Karo Ge Kia_ >Jinhe Jurm_E_Ishq Pe Naz Tha Wo Gunah Gar Chale Gaye.....!  

Ye Kis Khalish Ne Phir Dil Main Ashiyana Kia

  Poet Faiz Ahmad Faiz    Ye Kis Khalish Ne Phir Dil Main Ashiyana Kia_ >Phir Aaj Kis Ne Sukhan Ham Se Gayebana Kia_ >Gam_E_Jahan Ho,Rukh_E_Yaar ko k Dast_E_Uduu_ >Salook Jis Se Kia Ham Ne Aashiqana Kia_ >The Khaak_E_Raah bi Ham Log Qahar_E_Toofan Bi_ >Sahaa To Kia Na Sahaa Aur Kia to kia na kia_ >Khusha k Aaj Har Ik Muddaii K Lab Par Hai_ > wo Raaz Jis Ne Hamain Raand_E_Zamana Kia_ >Wo Hlilagar Jo Wafa juu Bi Hai Jafa kuu Bi_ >Kia Bi 'Faiz' To Kis But Se Dostana Kia.  

Main Ne Jo Geet Tere Pyar Ki Khatir Likhe

  Poet Sahir Ludhianvi    Main Ne Jo Geet Tere Pyar Ki Khatir Likhe, Aaj In Geeton Ko Bazar Mein Le Aaya Hon, Aaj Dukan Pe Neelaam Uthe Ga Un Ka, Too Ne Jin Geeton Pe Rakhi Thi Mohabbat Ki Asas, Aaj Chandi K Tarazo Mein Tule Gi Har Cheez, Mere Afkaar Meri Shairi Mera Ihsas, Jo Teri Zat Se Mansoob Thay Un Geeton Ko, Muflisi Jins Banane Pe Utar Aai Hai, Bhook Tere Rukh-E-Rangeen K Fasano K Ivaz, Chand Asha-E-Zaroorat Ki Tamanai Hai, Dekh Us Arsa Geh-E-Mohabbat-O-Sarmaya Mein, Mere Naghme Bhi Mere Pas Nahi Reh Nahi Sakte, Tere Jalwe Kisi Zardar Ki Meeras Sahi, Tere Khake Bhi Mere Pas Nahi Reh Sakte, Aaj Un Geeton Ko Bazar Mein Le Aaya Hon, Main Ne Jo Geet Tere Pyar Ki Khatir Likhe.....................! Page 85   

Main Rag-E-jaan ka Lahoo De k Be Pura karta

Main Rag-E-jaan ka Lahoo De k Be Pura karta... Mere HaatHoOn Se AGar us ko kHaSaaray HoOtay......*  

Ro'o Gay Bohat Hum Say Bichar Kar Maan Lo

  Ro'o Gay Bohat Hum Say Bichar Kar Maan Lo, ..."AY DOST"... "Ye Chahat K Sajde Hain Qaza Soch K Karna.......!  

Tum Agar Mere Humsafar Hote

  Tum Agar Mere Hum'Safar Hote.*' Faasle Kitne Mukhtasar Hote.*'  

Mujhe rula kr dil uska bhi roya ho ga

  Mujhe rula kr dil uska bhi roya hoga Chehra Aansuon Se Usne ß Dhoya Hoga Agr Na Kiya Haasil Kuch Hum Ne Pyar Mein Kch Na Kch To Usne ß Zaroor Khoya Hoga...!  

Meri Manzil, Meri Hadd, Bus un Say un TaK

  "Meri Manzil, Meri Hadd, Bus un Say un TaK.........!!!! "FaKhar Yeh K wo Mere Hain, FiKar Yeh K AaKhir Kab taK..  

Hanste rehna Tum Hazaron k Beech Mein

  Hansty rehna Tum Hazaron k Bich Me Jese Hota Hai Phool Baharon k Bich Me Urooj pe Le jaye Tum ko Tumhara Naseeb Jese Hota Ha CHAÑD * * ********* **** (_, **** * * ******** * ********* SITARON k Bich Men, "AMEEN"  

Na Aap YOUSAF Hain Na Main MISAR Ka Koi Taajir

Na Aap YOUSAF Hain Na Main MISAR Ka Koi Taajir,,, Qeemat-E-Husn K daam Zara Kam Kijiaye.  

Sang_e_Marmar Se Tarasha Khuda Ne Us Ke Husn_e_Kamal Ko

  Sang_e_Marmar Se Tarasha Khuda Ne Us Ke Husn_e_Kamal Ko,,, , Baqi Jo Pathar Bacha Us Se Us ka Dil Bana Dia...............!  

Kabhi Mily Fursat To Itna Lazmi Batana

  Kabhi Mily Fursat To Itna Lazmi Batana, Wo Kon Si Muhabat Hai Jo Hum Tumhein De Na Sake.  

Adaabe-e-wafa b seekho Ishq ki baargah mein TUM

  Adaabe-e-wafa b seekho Ishq ki baar'gah mein TUM.... Faqat yun Dil lagane se Dilon mein ghar nahi hota.....!  

Bana Kar Chhor Detay Hain Wo Apni Zaat Ka Aadi

  Bana Kar Chhor Detay Hain Wo Apni Zaat Ka Aadi, Kuch Log Is Tarha Bhi Muhabbaton Ka Intqam Letay Hain..  

Thori Thori Hi Sahi Mgr Batien To Kia Karo

  Thori Thori Hi Sahi Mgr Batien To Kia Karo. Chup rehty Ho To Aqalmand Aqalmand se lagte ho.....!  

Tujh Se Chahta Hun Mohabbat Mohabbat K Badle

  Tujh Se Chahta Hun Muhabbat, Muhabbat K Badle....!! Main Nahi Chahta Tujh Pe Mera Koi Ehsaan Rahe.....!  

Mohabbat Ke Baad Ek Sabaq To Zaroor Seekha Hai Hum Ne

  Mohabbat Ke Baad Ek Sabaq To Zaroor Seekha Hai Hum Ne "Mehfil Main Sab Se Zyada Muskarane Wala Hi Tanha Hota Hai...!  

Aankhain Kholte Hi Yad Aa Jate Ho

  Aankhain Kholtay Hi Yaad Aa Jaatay Ho ...> "+,,+" ,,+"+,, Tumhain To Bas Satanay Ka Bahana Chahiye ...> "+,,+"  

Faqat Aik Ka Honay Mein Hi Husn-e-Bandagi Hai

  Faqat Aik Ka Honay Mein Hi Husn-e-Bandagi Hai GHALIB jo Roz Qibla badalty hein woh Be-Deen hoty Hain...  

Dia jab sham ki dehlez pe jalta hai

  Dia jab sham ki dehlez pe jalta hai, Jb raat ko chandni phoolon pr parti hy. Us raat hum tera chehra talash krty hein, Suno! Hum tumhe buht yaad krty hein.  

Mujhe Is Tarha Apni Mohabat Main Masroof

  "Mujhe Is Tarha Apni Mohabat Main Masroof Kar De Mere "ALLAH" Ke Mujhe Neend Tak Na Aye Toba Keye Baghair ( Ameen... )  

Hairaan Hain Hum Is Mohabbat Ki Karamat Pe

  Hairaan Hain Hum Is Mohabbat Ki Karamat Pe. Dard Naa-qaabil-e-Bardasht Zindagi Phir Bhi Rawaan Dawaan......!  

Ghorre Pe Beth Kar Ek Shehzada Aaye Ga (Long Poem)

  ============== Dil Ka Raja ==============    PoeT UMAR RAAHI    Ghorre Pe Beth Kar Ik Shehzada Aaye Ga, Jo Mujhy Dulhan Bana Kar Ly Jaye Ga, Uthaye Ga Mairy Wo Naaz-O-Nakhary, Apna Pyaar Wo Mujh Py Lutaye Ga, Bhary Ga Jo Mujhy Apni Baahon Mein, Seeny Py Wo Apny Mujhy Sulaye Ga, Khaily Ga Wo Mairy Ang Ang Sy, Jo Mairi Uljhi Zullfein Suljhaye Ga, Wo Hoga Mairy Dil Ka Rajj-Kumar, Mujhy Jo Apny Dil Ki Raani Banaye Ga, Karon Gi Raaj Main Us K Dil Ki Sultnat Py, Wo Shehzada Mujhy Mal'Ka Ka Taaj Pehnaye Ga, Hukam Chaly Ga Jis Ki Raj'Dhani Mein Maira, Mairy Naam Ka Jo Dil Mein Taaj Mehal Banaye Ga, Mairy Sapnon Jo Raja Hy Dil Ka Shehzada Hy, Ik Din To Wo Mujhy Fatah Kar Jaye Ga, Daikhy Hain Jis Ki Chahat K Sapny Dil Ny, Wo An-Jana Kab To Yahan Aaye Ga, Mairi Nazar Hy Muntzar Us Ki Kab Sy, Maira Intzar Ik Din To Rang Laye Ga, Dil Mein Ik Umeed-O-Aas Hy, Koi To Ye Poori Kar Jaye Ga, Daikhti Hon Jis Ko Sapnon Me...