Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milein

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milein,

Jis Tarha Sookhe Howay Phool Kitabon Mein Milein,

Dhoond Ujre Howay Logon Mein Wafa K Moti,

Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milein,

Gham-E-Dunia Bhi Gham-E-Yar Mein Shamil Kar Lo,

Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milein,

Too Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa,

Dono Insaan Hain To Kion Hijabon Mein Milein?

Aaj Hum Dar Pe Khainche Gaye Jin Baton Par,

Kia Ajab Kal Wo Zamane Ko Nisabon Mein Milein,

Ab Na Wo Main Hon Na Too Hai Na Wo Mazi Hai,

FARAZ

Jaise Do Shakhs Tamana K Sarabon Mein Milein...

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo