Ghorre Pe Beth Kar Ek Shehzada Aaye Ga (Long Poem)

 

==============

Dil Ka Raja

============== 

 

PoeT UMAR RAAHI 

 

Ghorre Pe Beth Kar Ik Shehzada Aaye Ga,

Jo Mujhy Dulhan Bana Kar Ly Jaye Ga,

Uthaye Ga Mairy Wo Naaz-O-Nakhary,

Apna Pyaar Wo Mujh Py Lutaye Ga,

Bhary Ga Jo Mujhy Apni Baahon Mein,

Seeny Py Wo Apny Mujhy Sulaye Ga,

Khaily Ga Wo Mairy Ang Ang Sy,

Jo Mairi Uljhi Zullfein Suljhaye Ga,

Wo Hoga Mairy Dil Ka Rajj-Kumar,

Mujhy Jo Apny Dil Ki Raani Banaye Ga,

Karon Gi Raaj Main Us K Dil Ki Sultnat Py,

Wo Shehzada Mujhy Mal'Ka Ka Taaj Pehnaye Ga,

Hukam Chaly Ga Jis Ki Raj'Dhani Mein Maira,

Mairy Naam Ka Jo Dil Mein Taaj Mehal Banaye Ga,

Mairy Sapnon Jo Raja Hy Dil Ka Shehzada Hy,

Ik Din To Wo Mujhy Fatah Kar Jaye Ga,

Daikhy Hain Jis Ki Chahat K Sapny Dil Ny,

Wo An-Jana Kab To Yahan Aaye Ga,

Mairi Nazar Hy Muntzar Us Ki Kab Sy,

Maira Intzar Ik Din To Rang Laye Ga,

Dil Mein Ik Umeed-O-Aas Hy,

Koi To Ye Poori Kar Jaye Ga,

Daikhti Hon Jis Ko Sapnon Mein,

Wo Sheh-Sawar Mujhy Utha Ly Jaye Ga,

Hy Wo Mullak-E-Adam Ka Shehzada,

Lainy Mujh Ko Baad-Shah Ban Kar Aaye Ga,

Pagal Bani Phirti Hon Jis K Payar Mein,

Wo Majnon Wo Rajhan Wo Farhad Hi Mujhy Dhond Paye Ga,

Hoga Wo Mairi Hi Talash Mein Hy Yaqeen Mujhy,

Bhatkta Huwa Kariya Kariya Pohnch Jaye Ga,

Wo Hy Mullak-E-Adam Ka Rajhan,

Heer Bana Kar Mujhy Ly Jaye Ga

Hy Wo Mullak-E-Adam Ka Farhad,

Shaireen Mujhy Wo Banaye Ga,

Kehty Hain Jisy Sehra Ka Majnon,

Wo Qais Ban Kar Mujhy Ly Jaye Ga,

Mairy Sapnon Ka Wo Raja Hy,

Jo Raani Banany Mujhy Aaye Ga,

Ek Din Wo Dulha Ban Kar Aaye Ga,

Mujhe Doli Mein Betha Kar Le Jaye Ga,

Bithaye Ga Pall'Kon Ki Chhaon Mein,

Har Muasam Mein Mujhy Wo Bhaye Ga,

Karon Gi Main Us K Toot Kar Mohabbat,

Wo Maira Ho Kar Reh Jaye Ga,

Chahat Mein Mairi Kho Kar Wo,

Ye Dunya Ye Zamana Bhool Jaye Ga,

Mujhy Jo Kabhi Kanta Bhi Chubha To,

Dard Mein Wo Mairy Tarrap Jaye Ga,

Basi Hogi Us Ki Saans Mein Mairi Chaahat,

Hawaon Mein Mairi Khushboo Paye Ga,

Wo Deewana Daikhy Ga Jo Phoolon Ko,

Patti Patti Mein Soorat Mairi Paye Ga,

Main Ban Kar Chaand Chamakon Gi,

Wo Ban Kar Chakor Mairy Gard Mandlaye Ga,

Mairy Dil Ki Zameen Hy Jo Sehra Jaisi,

Wo Badal Ban Kar Baras Jaye Ga,

Jal Thal Kar Dy Ga Mairy Dil K Sehra Ko,

Wo Badal Ban Kar Barasny Aaye Ga,

Mairy Badan Ki Banjar Zameen Py,

Haryali Hi Haryali Kar Jaye Ga,

Wo Mairy Dil Ka Raja Wo Maira Shehzada,

Kab To Kahein Sy Mairy Liye Aaye Ga,

Us K Aany Py Main Sajon Gi Sanwaron Gi,

Wo Mujhy Daikh K Muskraye Ga,

Zullfein Kali Ghata Jaisy Rakhon Gi Kholy,

In Zullaf Ka Wo Aseer Ban Kar Reh Jaye Ga,

Kajal Jo Laga Hoga Mairi Aankhon Mein,

Din Bhi Wo Kali Raat Sa Paye Ga,

Mairy Kaanon K Bundy Daikhy To,

Rukhsar Ko Choomty Huye Daikh Kar Jall Wo Jaye Ga,

Maira Naak Hy Jo Nathali Ko Tarsta Huwa,

Apny Naam Ki Nathali Wo Pehnaye Ga,

Mairy Honton Ko Wo Choom Choom Kar,

Payar Ka Surkh Rang Chhorr Jaye Ga,

Meri Choorion Ki Har Dhun,

Sun Kar Wo Be-Taab Ho Jaye Ga,

Jab Sur Bikhairy Gi Mairy Pair Ki Payel,

Wo Shehzada Mastana Ho Jaye Ga,

Main Daikhti Hon Sapny Jis K,

Wo Maira Hy Maira Hi Wo Kehlaye Ga,

Jis Ka Hy Mujhy Intzar Barason Sy,

Wo Raahi Wo Musafir Bhatkta Huwa Aaye Ga,

Rakhy Ga Wo Mujhy Jaan Sy Azeez,

Mairi Wo Jaan Hi To Kehlaye Ga,

Ulljhi Aur Bikhri Mairi Aawara Zullafein,

Wo Aa Kar Ik Din Inhein Suljhaye Ga,

Poojti Hon Jisy Mein Daivta Ki Tarah,

Wo Daivta Maira Daasi Mujhy Banaye Ga,

Hy Ye Sundar Mairi Kahani Ka Pahla Muarr,

Agla Muarr Logo Tumahein Rulaye Ga,

Kho Gaye Ho Mairi Jis Kahani Mein Tum,

Hosh Tumhary Doosra Muarr Urraye Ga,

Ek Bholi Bhali Larki K Ye Sapny Thay,

Jo Bachpan Sy Jawani Tak Apny Thy,

Rehti Thi Jo Sapnon K Sansar Mein,

Na Samjh Thi Is Zamany Makar Mein,

Daikhti Thi Jo Suhany Sapny,

Ho Na Saky Wo Us K Apny,

Har Sapna Us Ka Ik Din Toot Gaya,

Nazuk Sa Dil Tha Wo Bhi Toot Gaya,

Aaya Ik Shehzada Us K Liye,

Ly Gaya Bitha K Dolli Mein Apny Liye,

Ghar Us Ka Tha Injan Aurat Sy,

Kangal Tha Khud Bhi Mohabbat Ki Dolat Sy,

Sapny Us K Ik Ik Kar K Bikhrty Rahy,

Aankhon Sy Aansoo Barasty Rahy,

Janaza Dafnaya Apny Sapnon Ka,

Qabristan Bana Dil Jis K Sapnon Ka,

Wo Pagli Wo Deewani Dhoka Kha Gayi,

Dil Py Chot Ik Wo Apny Kha Gayi,

Har Sapna Huwa Us Ka Karchi Karchi,

Hath Kiye Zakhmi Dil Huwa Karchi Karchi,

Dil Ki Dunia Us K Ujar Gai,

Apne Sapno Se Wo Bichar Gai,

Wo Shehzada To Tha Laikan,

Insaniyat Ka Tha Ik Wo Dushman,

Zullam-O-Sitam Dhaye Be-Inteha,

Raani Ban K Rahi Wo Tanha,

Kis Sy Wo Faryad Kary ? Kahan Wo Dy Duhaai ?

Apnon K Hoty Huye Hui Wo Paraai,

Chaman-E-Dil Us Ka Veeran Huwa,

Qaid Khanaa Wo Makaan Huwa,

Wo Raani Ki Jaga Qaidi Huyi,

Hukam Chalany Ki Jaga Hukam Ki Bandi Hui,

Jo Zullafon Ka Daikha Tha Aseer,

Pehnai Us Ny Zullam Ki Zanjeer,

Na Wo Mal'Ka Bani Na Hui Raani,

Wo Bholi Ladki Ik Din Hui An-Jaani,

Wo Ghorry Py To Aaya Tha,

Sath Mein Ik Lashkar Bhi Laya Tha,

Ghar Maa Baap K Sy Jaty Na Roi,

Wo Sukh Sy Aaj Tak Na Soi,

Ab Wo Tanha Tanha Rehti Hy,

Ghut Ghut Kar Wo Roti Rehti Hy,

Aansoo Behaati Hy Khoon K,

Jo Waqat Yaad Dilaty Hain Sapnon K,

Karti Hy Shikwa Ye Naseeb Sy,

Din Dikhaye Hain Jis Ny Ye Ajeeb Sy,

Hussan Us Ka Murjha Gaya Hy,

Is Konpal Kali Ko Masla Gaya Hy,

Aankhon Mein Hy Jis K Aub Veerani,

Lutti Putti Hy Lagti Aub Maha-Raani,

Din Mairy Ye Gar Badal Jaein Na Karon Aub Nadani,

Mairy Shehzady Mujhy Samait Lo,

Apni Baanhein Mairy Gard Lapait Lo,

Ye Ik Nadan Ladki Ki Hy Kahani,

Aur Bhi Jany Kitni Karti Hy Ye Nadani,

Inahein Kon Samjhaye ? Sapny Toot Jaty Hain,

Dil Ko Ik Umer Ka Rog Ye Lagaty Hain,

Nikalo Sapnon K Is Sansar Sy,

Dukh Na Pao Nadani Mein Be-Kaar K,

Kahan Milta Kisi Ko Yahan Payar Hai ?

Hoss Parsat Ye Sara Sansar Hy,

Sanbhal Jao K Waqat Hy Hath Mein,

Khushi Baanto Apnon K Sath Mein,

Koi Ye Dil Ka Gulshan Na Jalaye,

Apny Masoom Dil Ko Khud Na Behlaye,

Koi Kary Na Sodai Youn Sapnon Ki,

Milti Nahein Ta'Abeer Jhooty Sapnon Ki,

Raahi Kaya Kaya Missalein Doun Main ?

Kis Kis Ki Kaya Kaya Kahani Likhon Main ?

Nahein Main Shayr Wais-O-Faraz,

Jo Karon Ye Kahani Main Daraz,

Lafazon Sy Khailna Aata Nahein,

Magar Dard Likhy Bina Reh Pata Nahein,

Kahani Aub Ye Samait'Ta Hon,

Aowraaq-E-Gham Ko RAAHI Lapait'Ta Hon............!

 

 

Comments

  1. Super beshsk hr lrki k yehi sapne hoty hai ....
    Or end bhi aisa he hota hai

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha