Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai Sahar Ludhianvi

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai,

K Zindagi Teri Zulfon Ki Naram Chaon Mein,

Guzarne Pati To Shadab Ho Bhi Sakti Thi,

Ye Tairgi Jo Meri Zeest Ka Muqadar Hai,

Teri Nazar Shoaon Mein Kho Bhi Sakti Thi,

Ajab Na Tha K Main Begana-E-Alam Ho Kar,

Tere Jamal Ki Ranaion Kho Rehta,

Tera Gudaz Badan Teri Neem Baz Aankhein,

Inhi Haseen Fasano Mein Mehv Ho Rehta,

Pukartien Mujhe Jab Talkhian Zamane Ki,

Tere Labon Se Halawat K Ghont Pee Leta,

Hayat Cheekhti Phirti Bar Hana Sar Aur Main,

Ghaneri Zulfon K Saye Mein Chup K Jee Leta Hon,

Magar Ye Ho Na Saka Aur Ab Ye Aalam Hai,

K Too Nahi Tera Gham Teri Justajoo Bhi Nahi,

Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarha Zindagi Jaise,

Isay Kisi K Sahare Ki Aarzo Bhi Nahi,

Zamane Bhar K Dukhon Ko Laga Chuka Hon Galay,

Guzar Raha Hon Kuch Anjani Rah Guzaron Se,

Moheeb Saye Meri Simat Barhte Aate Hain,

Hayat-O-Mout K Pur Hol Khaar Zaron Se,

Na Koi Jada-E-Manzal Na Roshni Ka Suragh,

Bhatak Rahi Hai Khilaon Mein Zindagi Meri,

Inhi Khilaon Mein Rah Jaon Ga Kabhi Kho Kar,

Main Janta Hon Meri Hum Nafs Magar Youn Hi,

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai.....................!


Page 86 To 87 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai