Tumhain Udas Sa Pata Hon Main Kai Din Se Na Jane Kon Se Sadme Utha Rahi Ho Tum

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Tumhain Udas Sa Pata Hon Main Kai Din Se,

Na Jane Kon Se Sadme Utha Rahi Ho Tum,

Wo Shokhian Wo Tabasum Wo Qehqahe Na Rahe,

Har Aik Cheez Ko Hasrat Se Dekhti Ho Tum,

Chupa Chupa K Khamooshi Mein Apni Bechaini,

Khud Apne Raz Ki Tash'heer Ban Gai Ho Tum,

Meri Umeed Agar Mit Gai To Mitne Do,

Umeed Kia Hai Bas Ek Pesh-O-Pasan Hai Kuch Bhi Nahi,

Meri Hayat Ki Ghamgeenion Ka Gham Na Karo,

Gham-E-Hayat Gham Yak Nafs Hai Kuch Bhi Nahi,

Tum Apne Husn Ki Ranaion Pe Reham Karo,

Wafa Fareib Hai Tool Hivas Hai Kuch Bhi Nahi,

Mujhe Tumahare Taghaful Se Kion Shikayat Ho?

Meri Fana Mere Ahsas Ka Taqaza Hai,

Main Janta Hon K Dunia Ka Khof Hai Tum Ko,

Mujhe Khabar Hai Ye Dunia Ajeeb Dunia Hai,

Yahan Hayat K Parde Mein Mout Palti Hai,

Shikast-E-Saz K Awaz Rooh-E-Naghma Hai,

Mujhe Tumhari Judai Ka Ko Ranj Nahi,

Mere Khayal Ki Dunia Mein Mere Pas Ho Tum,

Ye Tum Ne Theek Kaha Hai Tumhain Mila Na Karon,

Magar Mujhe Ye Bata Do K Kion Udas Ho Tum,

Khafa Na Hona Meri Jurat-E-Takhatub Par?

Tumhain Khabar Hai Meri Zindagi Ki Aas Ho Tum,

Mera To Kuch Bhi Nahi Hai Main Rad K Jee Lon Ga,

Magar Khuda K Liye Tum Aseer-E-Gham Na Raho,

Howa Hi Kia Jo Zamane Ne Tum Ko Cheen Lia,

Yahan Pe Kon Howa Hai Kisi Ka Socho To,

Mujhe Qasam Hai Meri Dukh Bhari Jawani Ki,

Main Khush Hon Meri Mohabbat K Phool Thukra Do,

Main Apni Rooh Ki Har Ek Khushi Mita Lon Ga,

Magar Tumhari Musarat Mita Nahi Sakta,

Main Khud Ko Mout K Hathon Soonp Sakta Hon,

Magar Ye Bar-E-Masaib Utha Nahi Sakta,

Tumhare Gham K Siwa Aur Bhi To Gham Hain Mujhe,

Nijab Jin Se Main Ek Lehza Pa Nahi Sakta,

Ye Onche Onche Makano Ki Deirhion K Tale,

Har Ek Gaam Pe Bhooke Bhikarion K Sada,

Gali Gali Mein Ye Bikte Howay Jawan Chehre,

Haseen Aankhon Mein Afsurdagi Si Chai Hoi,

Ye Jang Aur Ye Mere Watan K Shokh Jawaan,

Khareedi Jati Hain Uthti Jawanian Jin Ki,

Ye Bat Bat Pe Qanoon-O-Zabte Ki Girft,

Ye Zilatein Ye Ghulami Ye Dor-E-Majboori,

Udas Rah K Mere Dil Ko Aur Ranj Na Do.................!

 

Page 40 to 43 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha