Ek Mohabbat Bhara Gharana Tha Nafarton Sy Anjana Tha Baigana Tha,

 

 

POET UMAR RAAHI 

 

Ek Mohabbat Bhara Gharana Tha,

Nafarton Sy Anjana Tha Baigana Tha,

Hansti Khailti Ik Us Aagan Mein Pari Thi,

Har Pal Apny Pyaron Mein Rehti Pari Thi,

Din Bechpan K Youn Guzrty Rahy,

Phool Khooshi K Roz Mehkty Rahy,

Holy Holy Aany Laga Shabaab,

Ang Ang Py Chhany Laga Hijaab,

Mehkny Lagi Tan Man Mein Khooshb'U,

Mehka Jaisy Koi Ho Gulaab,

Usy Mangny Phir Ik Rishta Aaya,

Sub Ghar Walon Ko Jo Bhaya,

Phir Sapny Woh Piya Dais K Daikhny Lagi,

Kisi Ki Khatir Woh Sajny Sanwrny Lagi,

Ik Roz Us K Dar Py Baarat Aayi,

Maa Baap Behan Bhaiyon Sy Hui Judayi,

Dais Piya K Woh Sud'Hhari,

Aam Ladki Sy Bani Raj'Kumari,

Khooshi Khooshi Din Guzrny Lagy,

Din Maheeny Saal Beetny Lage,

Mil K Ik Chhota Sa Lagaya Jo Baagh,

Hony Laga Woh Ab Shadaab,

Sajaya Jo Donoon Ny Ik Gulshan Tha,

Mehkny Laga Dheery Dheery Woh Cheman Tha,

Phool Khooshi K Jo Khilny Lagy,

Har Taraf Phir Mehkny Lagy,

Ik Chhota Sansar Mukmal Hony Laga,

Jawani Dhalny Burrhapa Aany Laga,

Jawaa'N Bechy Hony Lagy,

Aankhon Mein Aur Sapny Sajny Lagy,

Betiyan Hoti Hai Dhann Paraya,

Ye Faraz Bhi Ik Din Nibhaya,

Betoon K Liye Rishty Dhondy,

Baandh Diya In Ko Bhi Khonty,

Waqat Ny Phir Chaal Badli,

Betoon Ny Phir Nigaah Badli,

Bahuu Ny Aisa Jaaduu Chalaya,

Ik Aurat Ny Ik Aurat Py Zulam Dhaya,

Baat Baat Py Satany Lagi,

Bety Ko Bharrkany Lagi,

Ik Din Aisa Bhi Phir Zindagi Mein Aaya,

Ek Din Aisa Bhi Phir Zindagi Mein Aaya,

Khoon K Jis Ny Aansoo Rulaya,

Saathi Tha Jo Jawani Sy Chhorr Chala Saath,

Socha Na Tha Youn Chhooty Ga Haath,

Dukh Ki Achaank Hui Phir Yalgaar,

Yaad Aaya Guzry Lamhy Lamhy Ka Piyar,

Guzry Waqat Ko Faryad Dainy Lagi,

Lamhy Wohi Lout Aaye Sochny Lagi,

Gaya Waqat Phir Aata Nahein,

Bety Aur Bahuu Mein Koi Bhata Nahein,

Utha K Haath Aub Mangti Hay DUAA,

Mairi Khooshiyan Louta Dy KHUDA,

Mairy Chhoty Sansar Ko Kis Ki Nazar Lagi,

Jal Gayi Mairy Piyar Ki Jhugi

Beemar Ho Kar Jub Main Bister Py Parri,

Dukh Ki Ik Youn Aayi Gharri,

Beta Bahuu Mujhy Chhorr Chaly,

Har Rishta Nata Mujh Sy Torr Chaly,

Khansti Hoon To Koi Pani Pilany Wala Nahi,

Khansti Hoon To Koi Pani Pilany Wala Nahein,

Mairy Dukh Ki Kahaani Sun'Ny Wala Nahein,

Maira Gulshan Ujarr Gaya,

Har Phool Bann K Pati Pati Bikhar Gaya,

Mout K Dhuhany Py Aub Kharri Hoon,

Kon Kary Kafan Dafan Is Soch Mein Parri Hoon,

Jee Uthh Gaya Hai Maira Aub Jeeny Sy,

Thak Gayi Roz Naya Gham Peeny Sy,

Ay Kaaash Woh Gharri Aaye,

Koi Maira Apna Qabar Ki Doli Mein Sulaye,

Roti Bal'Kti Ye Ik MAA Ki Faryad Hai,

Aulad K Dukh Sy Jo Na'Shada Hai,

RAAHI Ny Ye Hai Dastan Lakhi,

Ik MAA Hai Aisi Bhi Dukhi,

MAA Ki Qadar Yaaro Jaan Lo,

MAA K Qadmoon Ko JANAT Maan Lo.

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo