Posts

Showing posts from August, 2014

Bach Raha Tha Ek Parinda Daal Par Hansta Howa

Poetess Parveen Shakir    Bach Raha Tha Ek Parinda Daal Par Hansta Howa, Jaal Wo Phainke Hawa Ne Wo Bhi Par Basta Howa, De K Mujh Ko Izn Gehre Panion Ki Seir Ka, Khud Rawana Hai Wo Meri Rasian Kasta Howa, Shehr Ki Rahguzar Par Barf Khaima Zan Hoi, Band Agle Chand Tak Ab Dhoop Ka Rasta Howa, Jo Hawa Aai Mere Chehre Pe Paon Rakh Gai, Onchi Shakhon Ka Shagoofa Barg-E-Norasta Howa...............! Page 43   

Har Aashna Main Kahan Khoo-E-Mehrmana Wo

  Poet Ahmad Faraz    Har Aashna Main Kahan Khoo-E-Mehrmana Wo, K Bewafa Magar Dost Tha Purana Wo, Kahan Se Lain Ab Aankhain Usay K Rakhta Tha, Adawaton Mein Bhi Andaz Maukhlisana Wo, Jo Abar Tha To Usay Toot K Barasna Tha, Ye Kia K Aag Laga Kar Howa Rawana Wo, Pukarte Hain Mah-O-Saal Manzlon Ki Tarha, Laga Hai To San-E-Hasti Ko TazYana Wo, Humain Bhi Zulm Talbi Ka Nahi Raha Yara, Tere Bhi Rang Nahi Gardish-E-Zamana Wo, Ab Apni Khawahishein Kia Kia Usay Rulati Hain, Ye Bat Hum Ne Kahi Thi Magar Na Mana Wo, Yehi Kahein Gay K Bas Soorat Aashnai Thi, Jo Ehad Toot Gia Yad Kia Dilana Wo, Us Aik Shakal Mein Kia Kia Na Sortein Dekhein, Nigar Tha Nazar Aaya Nigar Khana Wo, FARAZ Khawab Si Dunia Dekhai Deti Hai, Jo Log Jan-E-Jahan Thay Howay Fasana Wo...........! Page 20,21   

Tum Ko Shohrat Ho Mubarik Humain Ruswa Na Karo

    Poet Muneer Niazi Tum Ko Shohrat Ho Mubarik Humain Ruswa Na Karo, Khud Bhi Bik Jao Gay Ek Roz Ye Soda Na Karo, Shoq Se Parda Karo Parda Hai Wajib Lekin, Meri Qismat K Andheron Mien Izafa Na Karo, Choom Lene Do Rukh-e-Yar Ko Jee Bhar K Humain, Zindagi Pyar Hai Tum Pyar Se Humein Roka Na Karo, Koshihain Karne Se Halaat Badal Jate Hain, Khud Bigari Hoi Taqdeer Ka Shikwa Na Karo, Tum Ko Shohrat Ho Mubarik Humain Ruswa Na Karo..............!    

Ashq aankhon main chupate huwe thak jata hon

  Poet Mohsin Naqvi Ashq aankhon main chupate huwe thak jata hon, Bojh paani ka uthate huwe thak jata hun, Paaon rakhte hain jo mujh par unhain ehsaas nahin, Main nishanaat mittate huwe thak jata hun, Barf aisi ke pigalti nahin paani ban kar, Payaas aisi ke bhujaate huwe thak jata hun, Achi lagti nahin is darja shanasai, Haath haathon main milate huwe thak jata hun, Gham_gusaari bhi ajab kaar_e_muhabat hai k main, Roone walon ko hansaate huwe thak jata hun Itni qabrain na banao mere andar "Mohsin", Main charaaghon ko jalaate huwe thak jata hun....  

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gia Hai

Ab Us Ki Marzi Wo Khizan Ko Bahar Likh De

  Poetess Noshi Gilani    Hawa Ko Likhna Jo Aa Gia Hai Ab Us Ki Marzi Wo Khizan Ko Bahar Likh De, Bahaar Ko Intazar Likh De, Safar Ki Khawahish Wehmo K Azab Se Humkinar Likh De, Wafa K Raston Pe Chalne Walon Ki, Qismaton Mein Ghubar Likh De, Hawa Ko Likhna Jo Aa Gia, Hawa Ki Marzi K Wasl Mosam Mein, HIJJAR Ko Hisa Daar Likh De, Mohabbaton Mein Guzarne Wali Ruton Ko, Na Paidar Likh De, Shajar Ko Kam Saya Daar Likh De, Hawa Ko Likhna Jo Aa Gia Hai, Ab Us Ki Marzi K Wo Humare Diye Bajha Kar, Shabon Ko Ba Akhtiar Kar K Sahar Ko Be Itbar Likh De, Hawa Ko Likhna Sikhane Walo, Hawa Ko Likhna Jo Aa Gia Hai...............! Page 39,40   

Mehfil Mein Bar Bar Kisi Par Nazar Gai

Hum Ne Bachai Laakh Magar Phir Udhar Gai

    Poet Aagha Bismil Type By    *.___HIJAR___.* Mehfil Mein Bar Bar Kisi Par Nazar Gai Hum Ne Bachai Laakh Magar Phir Udhar Gai, Un Ki Nazar Mein Koi To Jaadu Zaroor Hai, Jis Par Parri Usi K Jigar Tak Utar Gai, Us Bewafa Ki Aankh Se Aanso Jhalak Parre, Hasrat Bhari Nigah Barra Kaam Kar Gai, Un K Jamal-E-Rukh Pe Un He Ka Jamal Tha, Wo Chal Diye To Ronak-E-Sham-O-Sehar Gai, Un Ko Khabar Karo K Hai Bismil Qareeb-E-Marg, Wo Aain Gay Zaroor Jo Un Tak Khabar Gai..............! Mazeed Poetry K Liye Follow HIJJAR Send 8002    

Hum Ehl E Ishq Hain Mohabbat Zat Rakhte Hain

  Poet Mohsin Naqvi    Hum Ehl E Ishq Hain Mohabbat Zat Rakhte Hain, Esi Mein Din Guzarta Hai Isi Mein Rat Karte Hain, Parinda Aakhri Ye Keh Gia Khushk Jheelon Se, Mujhe Majboor Hijrat Pe Mere Halat Karte Hain, Nikal Aaye Hain Janib-E-Sahrato Dar Kaisa. Chalo Kuch Din Rote Hain Chalo Barsat Karte Hain, Suna Hai Chand Utra Hai Sunehri Jheel Pe, MOHSIN Kuch Deir Milte Hain Chalo Kuch Bat Karte Hain.............!   

Hum Thay Jin K Sahare

Wo Howay Na Humare Lyric

  ====== SONG ====== Hum Thay Jin K Sahare Wo Howay Na Humare Doobi Jab Dil Ki Naya, Samne Thay Kinare, Hum Thay Jin K Sahare, Wo Howay Na Hamare, Doobi Jab Dil Ki Naya, Samne Thay Kinare, Hum Thay Jin K Sahare, Kia Mohabbat K Waade Kia Wafa K Irade, Ret Ki Hain Deewarain, Jo Bhi Chahe Gira De, Jo Bhi Chahe Gira De, Hum Thay Jin K Sahare, Wo Howay Na Humare, Hai Sabhi Kuch Jahan Mein, Dosti Hai Wafa Hai Apni Ye Kam Naseebi, Hum Ko Na Kuch Bhi Mila Hai, Hum Ko Na Kuch Bhi Mila Hai, Hum Thay Jin K Sahare, Wo Howay Na Hamare, Youn To Dunia Base Gi, Tanhai Phir Bhi Dase Gi, Jo Zindagi Mein Kami Thi, Wo Kami To Rahe Gi, Wo Kami Toh Rahe Gi, Hum Thay Jin K Sahare, Wo Howay Na Humare, Doobi Jab Dil Ki Naya, Saamne Thay Kinare.............!  

Zamana Khud Bata De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta

  Poet Amjid Islam Amjid    Zamana Khud Bata De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta, Sabhi Parde Utha De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta, Wo Afsana Jise Tum Sarsari Si Dastaan Samjhe, Tumhain Ek Din Rula De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta, Wohi Jo Is Zamane Ka Maseeha Tum Ko Kehta Hai, Yehi Qatil Bana De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta, Dino K Aane Jane Mein Tumhari Hi Tarha Mujh Ko, Zamana Bhi Bhula De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta, Sunaya Hai Mujhe Jo Aaj Tum Ne Kal Yehi Qisa, Tumhain Mosam Suna De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta, Bahut Aabad Raston Se Guzarta Waqt Ka Daria, Sabhi Naqshe Mita De Ga Main Tum Se Kuch Nahi Kehta.............! Page 105   

Hijar Ki Bad Dua Na Ho Jana

Dekh Lena Saza Na Ho Jana

  Poetess Noshi Gilani    Hijar Ki Bud Dua Na Ho Jana Dekh Lena Saza Na Ho Jana Mor To Beshumar Aain Gay, Thak Na Jana Juda Na Ho Jana, Ishq Ki Intaha Nahi Hoti, Ishq Ki Intaha Na Ho Jana, Aakhir-E-Shab Udas Chand K Sath, Aik Bujhta Dia Na Ho Jana, Be Irada Safar Pe Nikle Ho, Raston Ki Hawa Na Ho Jana, Zindagi Dard Se Ibarat Hai, Zindagi Se Khafa Ho Na Jana, EK Tumhai Ko Khuda Se Manga Hai, Tum Kahein Bewafa Na Ho Jana................!   

Laga K Zakham Badan Par Qabain Deta Hai

  Poet Ahmad Faraz    Laga K Zakham Badan Par Qabain Deta Hai, Ye Shehr-E-Yar Bhi Kia Kia Sazain Deta Hai, Tamam Shehr Hai Maqtal Usi K Hathon Se, Tamam Shehr Usi Ki Duain Deta Hai, Kabhi To Hum Ko Bhi Bakhshe Wo Abar Ka Tukra, Jo Aasman Ko Neeli Ridain Deta Hai, Judaion K Zamane Se Phir Aa Gaye Shaid, K Dil Abhi Se Kisi Ko Sadain Deta Hai.................! Page 109   

Dolat-E-Dard Ko Dunia Se Chupa Kar Rakhna

Aankh Mein Boond Na Ho Dil Mein Samandar Rakhna

  Poet Ahmad Faraz    Dolat-E-Dard Ko Dunia Se Chupa Kar Rakhna Aankh Mein Boond Na Ho Dil Mein Samandar Rakhna Kal Gaye Guzre Zamano Ka Khayal Aaye Ga, Aaj Itna Bhi Na Raton Ko Munawar Rakhna, Apni Aashufta Mizaji Pe Hansi Aati Hai, Dushmani Sang Se Aur Kaanch Ka Paikar Rakhna, Aas Kab Dil Ko Nahi Thi Tere Aa Jane Ki, Par Na Aisi K Qadam Ghar Se Na Bahir Rakhna, Zikar Us Ka Hi Sahi Bazm Mein Bethe Ho, FARAZ Dard Kaisa Hi Uthe Hath Na Dil Par Rakhna..............! Page 99   

Fitrat Ne Bakhsha Mujhe Andesha-E-Chalak

Rakhti Hai Magar Taqat-E-Parwaz Meri Khaak

  Poet Allama Iqbal   Fitrat Ne Bakhsha Mujhe Andesha-E-Chalak Rakhti Hai Magar Taqat-E-Parwaz Meri Khaak, Wo Khak K Jis Ka Junon Seqal-E-Adrak, Wo Khak K Jibreel Ki Hai Jis Se Qaba Chak, Wo Khak K Parwa-E-Nasheman Nahi Rakhti, Chunti Nahi Pehne-E-Chaman Se Husn-O-Khashaak, Es Khak Ko Allah Ne Bakhshe Hein Wo Aansoo, Karti Hai Chaman Jin Ki Sitaroon Ko Araqnak................? Book Name Bal E Jibreel Page No 59  

Youn Hath Nahi Aata Wo Gohar-E-Yakdana

Yak Rangi-O-Aazadi-E-Himat-E-Mardaana

  Poet Allama Iqbal    Youn Hath Nahi Aata Wo Gohar-E-Yakdana Yak Rangi-O-Aazadi-E-Himat-E-Mardaana Ya Sanjar-O-Taghral Ka Aain-E-Jahangeeri, Ya Mard-E-Qalandar K Andaaz-E-Malokaana, Ya Hairat Faraabi Ya Taab-O-Tab-E-Roomi, Ya Fikar-E-Hakemana Ya Jazb-E-Kaleemana Ya Aqal Ki Robaahi Ya ISHQ-E-Yadullahi, Ya Heela-E-Afrangi Ya Hamla-E-Tarkaana Ya Shara-E-Musalmani Ya Dair Ki Darbaani, Ya Naara-E-Mastaana Ka'aba Ho K Butkhana Ameeri Mein Faqeeri Mein Shahi Mein Ghullaami Mein, Kuch Kam Nahi Banta Be Juraat-E-Randana, Book Name Bal E Jibreel Page No 58  

Sharab Cheez Hi Aisi Hai Na Chori Jaye

Ye Mere Yar K Jaisi Hai Na Chori Jaye Lyric

  Singer Pankaj Udas    Sharab Cheez Hi Aisi Hai Na Chori Jaye, Ye Mere Yar K Jaisi Hai Na Chori Jaye, Har Ek Shaye Ko Jahan Ko Badalte Dekha Hai, Magar Ye Waise Ki Waisi Hai Na Chori Jaye, Ye Mere Yar K Jaisi Hai Na Chori Jaye, Sharab Cheez Hi Aisi Hai, Kisi K Dam Se Pigalti Hai Ye Bojhal Ratein, Magar Ye Pani K Jaisi Hai Na Chori Jaye, Mere Yar K Jaisi Hai Na Chori Jaye, Sharab Cheez Hi Aisi Hai Na Chori Jaye....................!   

Saya Bhi Sath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai Lyric

  Singer Nusrat Fathe Ali Khan    Saya Bhi Sath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai Rona Chahon To Rona Chahon To, Aansoo Na Aain Aisi Hai Tanhai, Saya Bhi Sath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai, Jo Aise Chor K Mehboob Jaye, To Jeene Se Na Kion Dil Obh Jaye, Saya Bhi Saath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai, Paya Hum Ne Ye Bin Tere, Ranj Ki Rahein Aur Gham K Andhere, Wo Bhi To Hum Se Wo Bhi To Hum Se, Kho Gaye Hai Aisi Hai Tanhai, Saya Bhi Saath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai, Yad Aate Hain Beete Zamane, Jab Tum Aaye Thay Hum Ko Manane, Ab To Dil Roothe Ab To Dil Roothe, Dard Manaye Aisi Hai Tanhai, Saya Bhi Saath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai, Rona Chahon To Rona Chahon To, Aansoo Na Aain Aisi Hai Tanhai, Saya Bhi Sath Jab Chor Jaye Aisi Hai Tanhai............!   

Laga K Zakham Badan Par Qabain Deta Hai

Ye Shehr-E-Yar Bhi Kia Kia Sazain Deta Hai

  Poet Ahmad Faraz    Laga K Zakham Badan Par Qabain Deta Hai Ye Shehr-E-Yar Bhi Kia Kia Sazain Deta Hai Tamam Shehr Hai Maqtal Usi K Hathon Se, Tamam Shehr Usi Ki Duain Deta Hai, Kabhi To Hum Ko Bhi Bakhshe Wo Abar Ka Tukra, Jo Aasman Ko Neeli Ridain Deta Hai, Judaion K Zamane Se Phir Aa Gaye Shaid, K Dil Abhi Se Kisi Ko Sadain Deta Hai.................! Page 109   

Wasal Mein Jhooti Tasali K Siwa Kia Ho Ga Bahut Acha

  Poet Dagh Dehlvi    Wasal Mein Jhooti Tasali K Siwa Kia Ho Ga Bahut Acha Bahut Acha Bahut Acha Ho Ga, Dil Afsurda Ka Jab Haal Bayan Un Se Kia, Phool Komal K Kaha Hath Mein "Aisa Ho Ga," Niga Shoq Ki Khawahish Ko Samjh Lo Dil Mein, Warna Do Char Ghari Bad Taqaza Ho Ga, Tum Kisi K Na Howay Ho Na Kisi K Ho Gay, Dil Kisi Ka Na Howa Hai Na Kisi Ka Ho Ga, Khoobian DAGH Ki Jab Us Ne Suni Sun K Kaha, Kia Gharz Hum Ko Wo Apne Liye Acha Ho Ga............! Page 643   

Barish, Badal "Tum Aur Main

Barish, Badal "Tum Aur Main" Khushboo, Mousum "Tum Aur Main" Kaley Badal, Rimjhim Barish Neela Anchal "Tum Aur Main" Behti Nadiyan, Girta Pani Ankhein, Aansu "Tum Aur Main" Paas Kisi Drya Ke Koi Bheega Jhonpar "Tum Aur Main" Dur Kahin Koyal Ki Ku Ku Gehra Jungle "Tum Aur Main" Barkha Rimjhim Geet Sunaye Jhurmat Daley "Tum Aur Main" Dur Kahin Per Chota Sa Ek Kach'cha Sa Ghar "Tum Aur Main" Kandha Tera Aur Sir Mera Pagal Si Chup "Tum Aur Main"...!   ============== Nomii Collection =============     

Is Parcham K Saye Tale Hum Aik Hain

Hum Aik Hain

Sanjhi Apni Khushian Ho Lyric

  Singer Naiyara Noor    Is Parcham K Saye Tale Hum Aik Hain Hum Aik Hain Sanjhi Apni Khushian Ho, Sanjhi Apni Khushian Aur Gham Aik Hain, Hum Ek Hain, Is Parcham K Saye Tale Hum Aik Hain, Hum Ek Hain, Aik Chaman K Phool Hain Sare, Aik Watan Aik Tare, Ho Aik Watan K Tare, Ek Samandar Mein Girte Hain Sab Dariaon K Dhare, Juda Juda Hain Lehrein Par Hum Aik Hain, Hum Aik Hain, Ek Hi Kashti K Hain Musafir, Ek Manzal K Raahi Ho, Ek Manzal K Raahi, Apni Aan Per Mitne Walae, Hum Jan Baz Sipahi, Hum Jan Baz Sipahi, Band Muthi Ki Qowat Bahm Hum Aik Hain, Hum Aik Hain, Hum Aik Hain, Is Parcham K Saye Tale Hum Aik Hain, Hum Aik Hain, Pak Watan Ki Izat Hum Ko Apni Jan Se Pyari, Ho Apni Jan Se Pyari, Apni Shan Hai Is K Dam Se, Ye Hai Shan Humari, Yeh Hai Shan Hamari, Apne Chaman Mein Phool Aur Shubnam, Aik Hain Hum Aik Hain, Sanjhi Apni Khushian Ho, Sanjhi Apni Khushian Aur Gham Aik

Ataa Jise Tera Aks-E-Jamaal Hota Hai

Wo Phool Sare Gulistan Ka Laal Hota Hai

Image
    Poet Saghar Saddiqui Type By  *._Ayaz_Khan_.*    Ataa Jise Tera Aks-E-Jamaal Hota Hai Wo Phool Sare Gulistaan Ka Laal Hota Hai Talash Karti Hai SayeTumhare Aanchal K, Chaman Mein Bad-E-Saba Ka Ye Haal Hota Hai, Rah-E-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki, Magar Ye Ehl-E-Nazar Ka Khayaal Hota Hai, Ye Wardat Bhi Ab Dil Pe Roz Hoti Hai, Musraton Mein Bhi Hum Ko Malaal Hota Hai, Bahaar-E-Fitrat Sayaad Ki Kahani Hai, K Is K Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai, Ye Bikhre Bikhre Se Gesoo Thaki Thaki Aankhain, K Jaise Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai, Jawab De Na Sakain Jais Ka Do Jahaan SAGAGR, Kaisi Ghareeb K Dil Ka Sawaal Hota Hai.......! Book: Kuliat e Saghar Page: 282 to 283  

Pareshaan Ho K Meri
Khaak

Aakhir DIL Na Ban
Jaaye

  Poet Allama Iqbl    Pareshaan Ho K Meri Khaak Aakhir DIL Na Ban Jaaye Jo Mushkil Hai Ya Rab, Phir Wahi Mushkil Na Ban Jaaya, Na Kar Dein Mujh Ko Majboor-E-Nawa, Firdoos Mein Horein, Mera Soaz-E-Duroon, Phir Garmi Mehfil Na Ban Jaaye, Kabhi Chhorri Huwi Manazil Bhi, Yaad Aati Hai Rahi Ko, Khatak C Hai Jo Seene Mein, Gham-E-Manzil Na Ban Jaaye, Banaaya ISHQ Ne, Daria-E-Napedakiran Mujh Ko, Ye Meri Khud Nigehdaari, Mera Saahil Na Ban Jaaye, Kaheen Es Aalam-E-Be Rang-O- Boo Mein Bhi Talab Meri, Wahi Afsaana Danbaala Mehmil Na Ban Jaaye, Urooj-E-Aadam-E- Khaaki Se, Anjam Sehme Jaate Hein, K Ye Toota Huwa Taara, Me-E-Kaamil Na Ban Jaaye.............? Book Name Bal-E-Jibreel Page No" 6  

Shama Thandi Hai Parwane Zinda Hain,

    Poet Ayaz Khan Type By    *._Ayaz_Khan_.* Shama Thandi Hai Parwane Zinda Hain, Dasht Mein Khak Uri Deewane Zinda Hain, Milti Hai Aawaz-E-Ishq-E-Qalandarana Agar Dhondo. Aaj Bhi Weerano Mein Aabad Mastane Zinda Hain, Dunia Kab Thi Phele Aashna Dasht-E-Karbala Se, Shaheedon K Lahoo Se Seraab Weerane Zinda Hain, Howay Jo Paish Bargah-E-Ishq Mein Jan De Kar, Ishq K Maare Un Parwano K Afsane Zinda Hain, Israar-E-Mohabbat Janna Hai To Dhoondo Raz-E-Hasti, Zaraye Khorsheed K Sooz-E-Ishq Dekhane Zinda Hain, Mil Jain Agar Kahein Jabeen-E-Shoq K Jalwe AYAZ, To Hum Aaj Bhi KhaaK-E-Hasti Metane Zinda Hain.........!    

Happy 68th Independence Day

Image
    Happy 68th Independence Day   & Above 2 Lac Original Page view          Ya ALLAH J.J  Mere PAKISTAN Ko Ta Qayamat Qaim o Daim Rakhna   Aameen          ============== Nomii Collection ==============    

Zameen Par Paon Thay Qayam Aasman Mein Tha

  Poetess Parveen Shakir    Zameen Par Paon Thay Qayam Aasman Mein Tha Meri Tarha Se Wo Shakhs Bhi Imtihan Mein Tha, Ye Roshni Thi K Us Ka Chehra Dhihan Mein Tha, Satara Sa Ek Chargh Mere Makan Mein Tha, K Chand Khud Aa K Aik Taare Ka Naam Pooche, Hajoom-E-Siyar Gaan Ye Kis Guman Mein Tha, Main Us Ki Aankhon Ko Dekhti Hon To Sochti Hon, Nazar Ka Aisa Talsum Kis Dastan Mein Tha, Main Us Ki Kashti Se Apna Aanchal Hata K Samjhi, Safar Ka Bhi Hosla Badban Mein Tha, Dua Kabhi Main Ne Mangi Thi Dono Waqt Milte, Ye Zindagi Bhar Ka Jhatpta Kab Dhihan Mein Tha, Judai Ka Faisla To Phir Bhi Humara Hota, Ye Maan Bhi Lein Agar Koi Darmian Mein Tha............! Page 210 211  

Zameen Se Rah Gia Hai Door Aasman Kitna

  Poetess Parveen Shakir    Zameen Se Rah Gia Hai Door Aasman Kitna, Satara Apne Safar Mein Hai Khush Gumaan Kitna, Parind Paikaan Badosh Parwaz Kar Raha Hai, Raha Hai Us Ko Khayal-E-Siyaad Gaan Kitna, Hawa Ka Rukh Dekh Kar Samandar Se Poochna Hai, Uthain Ab Kashtion Pe Hum Baad Ban Kitna, Bahar Mein Khushbo'on Ka Naam-O-Nasab Tha Jis Se, Wohi Shajar Aaj Ho Gia Be Nishan Kitna, Gire Agar Aaina To Ek Khas Zawiye Se, Wagarna Har Akas Har Aks Ko Rahe Khud Pe Maan Kitna, Bina Kisi Aas K Usi Tarha Jee Raha Hai, Bicharne Walon Mein Tha Koi Sakhat Jan Kitna, Wo Log Kia Chal Sakein Gay Jo Unglion Pe Sochain, Safar Mein Hai Dhoop Kis Qadar Saiban Kitna..............! Page 208,209   

Khizan Ki Rutt Mein Lamha-E-Jamal Kaise Aa Gia

Ye Aaj Phir Singhar Ka Khayal Kaise Aa Gia

  Poetess Parveen Shakir    Khizan Ki Rutt Mein Lamha-E-Jamal Kaise Aa Gia Ye Aaj Phir Singhar Ka Khayal Kaise Aa Gia Hansi Ko Apni Sun K Aik Bar Main Bhi Chonk Uthi, Ye Mujh Mein Dukh Chupane Ka Kamal Kaise Aa Gia, Wo Rasm-E-Chara Sazi Janoo To Khatam Ho Chuki, Ye Dil K Naam Harf-E-And Maal Kaise Aa Gia, Abhi To Dhoop Rozan-E-Qafas Se Koson Door Thi, Abhi Se Aftab Ko Zawal Kaise Aa Gia, Judaion K Zakham To Suna K Bhar Chale Thay Phir, Badan K Hath Nakhun-E-Wisaal Kaise Aa Gia, Tamam Kainat Azal Se Aaino Ki Zadd Pe Thi, Hajoom-E-Aks Mein Ye Bemisal Kaise Aa Gia..........! Page 150,151  

Dil Ko Kia Ho Gia Khuda Jane

Kion Hai Aisa Udas Kia Jane

  Poet Dagh Dehlvi    Dil Ko Kia Ho Gia Khuda Jane Kion Hai Aisa Udas Kia Jane Apne Gham Mein Bhi Us Ko Sarfa Hai, Na Khula Jane Wo, Na Kha Jane, Is Taja Hil Ka Kia Thikana Hai, Jan Kar Jo Na Muda'a Jane, Keh Dia Main Ne Raz-E-Dil Apna, Us Ko Tum Jano Ye Khuda Jane, Kia Gharz Kion Idhar Tawajo Ho, Haal-E-Dil Aap Ki Balaa Jane, Jante Jante Hi Jane Ga, Mujh Mein Kia Hai Abhi Wo Kia Jane, Kia Hum Is Bad Gumaan Se Bat Karein, Jo Sateish Ko Bhi Gila Jane, Tum Na Pao Gay Sada Dil Mujh Sa, Jo Taghaful Ko Bhi HaYa Jane, Hai Abas Jurm-E-Ishq Par Ilzam, Jab Khata Waar Bhi Khata Jane, Nahi Kotaah Daman-E-Umeed, Aage Ab Dast Naar Saa Jane, Jo Ho Acha Hazar Achon Ka, Wa'az Is Butt Ko To Bura Jane, Ki Meri Qadar Misal-E-Shah Dukan, Kisi Nawab Ne Na Raja Jane, Is Se Uthe Gi Museebat-E-Ishq, Ibtada Ko Jo Intaha Jane, DAGH Se Keh Do Ab Na Ghabraye, Kaam Apna Bata Hawa Jane.......

Tarash K Mere Bazo Uran Chor Gia

Hawa K Pas Bar Hna Kaman Chor Gia,

  Poetess Parveen Shakir    Tarash K Mere Bazo Uran Chor Gia Hawa K Pas Bar Hna Kaman Chor Gia, Rafaqton Ka Meri Us Ko Dihan Kitna Tha, Zameen Le Li Magar Aasman Chor Gia, Ajeeb Shakhs Tha Barish Ka Rang Dekh K Bhi, Khule Dareeche Pe Ek Phool Daan Chor Gia, Jo Badlon Se Bhi Mujh Ko Chupaye Rakhta Tha, Barhi Hai Dhoop To Be Saiban Chor Gia, Nikal Gia Kahein An Dekhe Panio Ki Taraf, Zameen K Naam Khula Bad Baan Chor Gia, Aqab Ko Thi Gharz Fakhta Pakarne Se, Jo Gir Gai To Youn Hi Neem Jan Chor Gia, Na Jane Kon Sa Aseib Dil Mein Basta Hai, K Jo Bhi Tehra Wo Aakhir Makan Chor Gia, Aqb Mein Gehra Samandar Hai Samne Jangal, Kis Intaha Pe Mera Mehrban Chor Gia............! Page 25,26   

Us K Hathon Se Jo Khushbo-E-Hina Aati Hai

  Poetess Noshi Gilani    Us K Hathon Se Jo Khushbo-E-Hina Aati Hai, Aisa Lagta Hai K Janat Se Hawa Aati Hai, Choomne Dar Ko Kis Dhaj Se Chala Hai Koi, Aaj Kis Naaz Se Maqtal Mein Qaza Aati Hai, Na Kabhi Koi Kare Tujh Se Tere Jaise Salook, Hath Uthte Hi Yehi Lab Pe Dua Aati Hai, Tere Gham Ko Ye Bar Hana Nahi Rehne Deti, Meri Aankhon Pe Jo Ashkon Ki Rida Aati Hai, Us K Chehre Ki Tamazat Bhi Hai Shamil Is Mein, Aaj Tapti Hoi Sawan Ki Ghata Aati Hai, Ghoomne Jab Bhi Tere Shehr Mein Jati Hai Wafa, Bain Karti Hoi Wapas Wo Sada Aati Hai, Hai Wohi Bat Har Ek Lab Pe Bahut Aam Yahan, Hum Se Jo Kehte Howay Un Ko Haya Aati Hai...  

Bahut Pyar Karte Hain Tum Ko Sanam

Qasam Chahe Le Lo Lyric

  Singer Latta & Kumaar Saano    Bahut Pyar Karte Hain Tum Ko Sanam Qasam Chahe Le Lo Qasam Chahe Le Lo, Khuda Ki Qasam, Bahut Pyar Karte Hain Tum Ko Sanam, Humari Ghazal Hai Tassawor Tumhara, Tumhare Bina Ab Na Jeena Gawara, Tumhain Youn Hi Chahain Gay, Tumhain Youn Hi Chahain Gay Jab Tak Hai Dam, Bahut Pyar Karte Hain Tum Ko Sanam, Sagar Ki Bahon Mein Mojain Hain Jitni, Hum Ko Bhi Tum Se Mohabbat Hai Utni, K Ye Beqarari Na Ab Ho Gi Kam, Bahut Pyar Karte Hain Tum Ko Sanam, Qasam Chahe Le Lo, Qasam Chahe Le Lo, Khuda Ki Qasam...........!   

Tujhe Dekha To Ye Jana Sanam

Pyar Hota Hai Deewana Sanam Lyric

  Singer Kumar Saano & Latta    Tujhe Dekha To Ye Jana Sanam Pyar Hota Hai Deewana Sanam Ab Yahan Se Kahan Jain Hum, Teri Bahon Mein Mar Jain Hum, Tujhe Dekha To Yeh Jaana Sanam, Pyar Hota Hai Deewana Sanam, Aankhain Meri Sapne Tere Dil Mera Yadain Teri, Mera Hai Kia Sab Kuch Tera, Jan Teri Saansein Teri, Meri Aankhon Mein Aansoo Tere Aa Gaye, Muskurane Lage Sare Gham, Tujhe Dekha To Yeh Jana Sanam, Pyar Hota Hai Deewana Sanam, Ye Dil Kahein Lagta Nahi, Kia Kahon? Main Kia Karon, Too Samane Baithi Rahe, Main Tujhe Dekha Karon, Too Ne Aawaz Di Dekh Main Aa Gia, Pyar Se Hai Bari Kia Qasam, Tujhe Dekha To Ye Jana Sanam, Pyar Hota Hai Deewana Sanam, Ab Yahan Se Kahan Jain Hum, Teri Baahon Mein Mar Jain Hum, Tujhe Dekha To Ye Jana Sanam...............!   

Main Bhool Jaon Tumhain

Ab Yahi Munasib Hai

Magar Bhulana Bhi Chahon To

    Poet Javaid Akhtar Type bY    UJRRA_DIL Main Bhool Jaon Tumhain Ab Yahi Munasib Hai Mgar Bhulana Bhi Chahon To Kis Tarah Bhoolon ? Keh Tum To Phir Bhi Haqeeqat Ho, Koi Khawab Nahi, Yahan To Dil Ka, Ye Aalam He Kaya Kahon, Kam Bakhat, Bhula Na Paya Wo Silsila, Jo Tha Hi Nahi, Wo Ik Khayal, Jo Aawaz Tak Gaya Hi Nahi, Wo Aik Baat, Jo Main Keh Na Saka Tum Se, Wo Aik Rabbat, Jo Hum Mein Kabhi Raha Hi Nahi, Mujhe Yaad He Wo Sub, Jo Kabhi Hua Hi Nahi...............! . Page 65    

Subha Dam Jab Bhi Dekha Hai Main Ne Kahein

    Poet Zubair Rizvi Type bY    UJRRA_DIL Subha Dam Jab Bhi Dekha Hai Main Ne Kahein, Nanhe Bachon Ko, Sachool Jate Huye, Raqas Karte Huye, Gungunate Huye, Apne Baston Ko, Gardan Mein Dale Huye, Ungliyan Aik Ki, Aik Pakrre Huye, Subha Dum Jab Bhi, Dekha He Main Ne Unahein, Mamta Un Ki Raahon Mein Saya Kare, Un K Qadmon Mein, Khushboo Bichhaya Kare, Devta Un K Hathon Ko Chooma Kare, Man Hi Man Mein Un Ki, Baton Pe Jhooma Kare, Subha Dum Jab Bhi, Dekha He Main Ne Unahein, Mera Jee Chahta He, Keh Main Dorr Kar, Aik Nanhe Ki, Ungli Pakrr Kar Kahon, Mujh Ko Bhi Apne, Sachool Lete Chalo, Taa Ke Ye Tashna-E-Aarzoo-E-Zindagi, Phir Se Aaghaz-E-Shoq-E-Safar Kar Sake..........! Page 78    

Lout K Aaye Gi Mohabbat Ki Sham Tum Ne Kaha Tha

  Poetess Noshi Gilani   Lout K Aaye Gi Mohabbat Ki Sham Tum Ne Kaha Tha, Ye Zindgi Hoi Tere Naam Tum Ne Kaha Tha, Is Aas Pe Gir Jata Hon Main Aksar, Main Lon Ga Tujhe Thaam Tum Ne Kaha Tha, Teri Judai Aur Teri Yadon Ne Maar Dala Hai, Meri Mohabbat Le Gi Intaqam Tum Ne Kaha Tha, Har Zabaan Pe Hain Qisse Meri Deewangi K, Itna Na CHAHO Mujhe Ho Jao Gay Badnam Tum Ne Kaha tha, Jo Dil Pe Chot Khaye Aur Phir Bhi Muskuraye, Mohabbat Usay Karti Hai Salam Tum Ne Kaha Tha..........!   

Ye Watan Tumhara Hai Tum Ho Pasban Is K Lyric

  Singer Mehdi Hasan    Ye Watan Tumhara Hai Tum Ho Pasban Is K Ye Chaman Tumhara Hai Tum Ho Naghma Khawan Is K Is Chaman K Pholon Par Rang-O-Aab Tum Se hai, Is Zameen Ka Har Zara Aftab Tum Se Hai, Ye Fiza Tumhari Hai Behr-O-Bar Tumhare Hain, Keh Kashan K Ye Jage Rahguzar Tumhare Hain, Is Zameen Ki Matti Mein Khoon Hai Shaheedon Ka, Arz-E-Pak Markaz Hai Qom Ki Umeedon Ka, Nazm-O-Zabt Ko Apna Mer-E-Karwan Jano, Waqt K Andheron Mein Apna Aap Pehchano, Ye Zameen Muqadas Hai Maa K Pyar Ki Soorat, Is Chaman Mein Tum Sab Ho Barg-O-Bar Ki Soorat, Dekhna Gunwana Mat Dolat Yaqeen Lo, Ye Watan Amanat Hai Aur Tum Ameen Logo, Nafraton K Darwaze Khud Pe Band Hi Rakhna Is Watan K Parcham Ko Sar Buland Hi Rakhna, Ye Watan Tumhara Hai Tum Ho Pasbaan Is K...  

Lakhno Mere Watan Mere Chaman Zar Watan

Tere Gehwara-E-Aaghosh Mein Ay Jaan-E-Bahar

    Poet Jaan Nisar Akhtar Type bY    UJRRA_DIL Lakhno Mere Watan Mere Chaman Zar Watan Tere Gehwara-E-Aaghosh Mein Ay Jaan-E-Bahar Apni Dunia-E-Haseen, Dafan Kiye Jata Hon, Toone Jis Dil Ko Dharrkine Ki Ada Bakhshi Thi, Aaj Wo Dil Bhi Yahi Dafan Kiye Jata Hon, Dafan He Daikh Mera Ahd-E-Bahaaran Tujh Mein, Dafan He Daikh Meri Rooh-E-Gulsitan Tujh Mein, Mere Gul Posh Jawan Saal Umngon Ka Suhag, Mere Shadab Tamana K Mehkate Khawab, Meri Bedar Jawani K Firozan Maah-O-Saal, Meri Shamon Ki Malahit Meri Subhon Ka Jamal, Meri Mehfil Ka Fasana, Meri khulwat Ka Fason, Meri Deewangi Shoq Mera Naaz-E-Junoon, Mere Marne Ka Saleeqa, Mere Jeene Ka Sha'our, Meri Namoos-E-Wafa Meri Mohabbat Ka Ghuroor, Meri Nabzon Ka Tarnum, Mere Naghamon Ki Pukar, Mere Shairon Ki Sajawat Mere Geeton Ka Singhar, Lakhno Apna Jahna Sonp Chala Hon Tujh Ko, Apna Har Khawab-E-Jawan Sonp Chala Hon Tujh Ko, Apna Sarm


Jisam Damkita
Zullf Ghaneri
Rangeen Lab
Aankhein Jado

    Poet Javed Akhtar Type bY    UJRRA_DIL    Jisam Damkita Zullf Ghaneri Rangeen Lab Aankhein Jado Sang Mar Mar, Oda Badal, Surkh Shafaq, Heraan Aahoo, Bhakshoo Dani, Payasa Pani, Darya Sagar, Jal Gaagar, Gulshan Khushbo, Koyel Koo Koo, Masti Daroo, Main Aur Too, Banbi Nangan, Chhaya Aangan, Ghunghroo Chan Chan, Aasha Mann, Aankhein Kajal, Parbat Badal, Wo Zulafein Aur Ye Bazoo, Ratein Mehaki, Sansein Dahaki, Nazrein Bahki, Rut Lahki, Sapan Salona, Praim Khilona, Phool Bichona, Wo Pahloo, Tum Se Doori, Ye Majboori, Zakham He Kari, Bedari, Tanha Ratein, Sapne Katein, Khud Se Batein, Mairi Khooo...........! Page 64    

Tajali-E-Rukh-E- Roshan Ka Kia Thikana Tha

Idhar Naqab uthi Thi K Ghash Ka Aana Tha

  1st Time In All Social Network Showing  Poet Bedam Shah Warsi Type By *._Ayaz_Khan_.*    Tajali-E-Rukh-E- Roshan Ka Kia Thikana Tha Idhar Naqab uthi Thi K Ghash Ka Aana Tha Nagah-E-Naaz K Teeron Ka Kai Thikana Tha. Nazar Nazar Se Mili Thi K Dil Nishana Tha. Khayal-O-Khawab Howe Wo Maze Jawani K. Ajeeb Din Thay Ajab San Ajab Zamana Tha. Bujhane Wale Bujate Kisi K Dil Ki Lagi. Charag-E-Hasti Aashq Ka Kia Bujhana Tha. Qaraar Ghar Mein Na Sehra Mein Cheen Se Bithe. Humen To Maot Ka Paigham Dil Ka Aana Tha. Suni Jo Meri Musibat Ki Dastaan To Kaha. K Phir Kaho Ye Bare Lutf Ka Fasana Tha. Bahaar Jate Hi Dunia Badal Gai BEDAM. K Andleeb Ka Sehra Mein Aashiyana Tha.......! Book Mashaf e Bedam Page: 82