Lakhno Mere Watan Mere Chaman Zar Watan

Tere Gehwara-E-Aaghosh Mein Ay Jaan-E-Bahar

 

 

Poet Jaan Nisar Akhtar


Type bY 

 

UJRRA_DIL



Lakhno Mere Watan Mere Chaman Zar Watan


Tere Gehwara-E-Aaghosh Mein

Ay Jaan-E-Bahar


Apni Dunia-E-Haseen,

Dafan Kiye Jata Hon,


Toone Jis Dil Ko Dharrkine Ki Ada Bakhshi Thi,


Aaj Wo Dil Bhi Yahi Dafan Kiye Jata Hon,


Dafan He Daikh Mera Ahd-E-Bahaaran Tujh Mein,


Dafan He Daikh Meri Rooh-E-Gulsitan Tujh Mein,


Mere Gul Posh Jawan Saal Umngon Ka Suhag,


Mere Shadab Tamana K Mehkate Khawab,


Meri Bedar Jawani K Firozan Maah-O-Saal,


Meri Shamon Ki Malahit Meri Subhon Ka Jamal,


Meri Mehfil Ka Fasana,

Meri khulwat Ka Fason,


Meri Deewangi Shoq Mera Naaz-E-Junoon,


Mere Marne Ka Saleeqa,

Mere Jeene Ka Sha'our,


Meri Namoos-E-Wafa Meri Mohabbat Ka Ghuroor,


Meri Nabzon Ka Tarnum,

Mere Naghamon Ki Pukar,


Mere Shairon Ki Sajawat Mere Geeton Ka Singhar,


Lakhno Apna Jahna Sonp Chala Hon Tujh Ko,


Apna Har Khawab-E-Jawan Sonp Chala Hon Tujh Ko,


Apna Sarmaya-E-Jaan Sonp Chala Hon Tujh Ko,


Lakhno Mere Watan,


Ye Mere Payar Ka Madfan Hi Nahi He Tanha,


Dafan Hain Is Mein Mohabbat K Khazane Kitne,


Aik Unwan Mein Muzmar Hain Fasane Kitne,


Ik Behan Apni Rafaqt Ki Qasam Khaye Huye,


Aik Maa Mar K Bhi Seene Mein Liye Maa Ka Gadaz,


Apne Bachon K Larrkpan Ko Kaleje Se lagaye,


Apne Khelte Huye Ma'Asoom Shagofon K Liye,


Band Aankhon Mein Bahaaron K Jawan Khawab Basaye,


Ye Mere Payar Ka Madfan Hi Nahi He Tanha,


Aik Sathi Bhi Teh Khak Yahan Soti He,


Arsa-E-Dehar Ki Be Raham Kasha Kash Ka Shikar,


Jaan De Kar Bhi Zamane Se Na Mane Huye Haar,


Apne Taiwar Mein Wahi Azam-E-Jawan Saal Liye,


Ye Mere Payar Ka Madfan Hi Nahi He Tanha,


Dekh Ik Shama Sar-E-Raah Guzar Jalte He,


Jagmgata He Agar Koi Nishan-E-Manzil,


Zindagi Aur Bhi Kuch Taiz Qadam Chalti He,


Lakhnon Mere Watan,


Dekh Is Khawab Geh-E-Naaz Pe Kal Muaj-E-Saba,


Le K No-Roz-E-Bahaaran Ki Khabr Aaye Gi,


Surkh Phoolon Ka Barha Naaz Se Goondhe Huye Haar,


Kal Isi Khak Pe Gul Rang Sahar Aaye Gi,


Kal Isi Khak K Zaron Mein Sama Jaye Ga Rang,


Kal Mere Payar Ki Tasveer Ubhar Aaye Gi,


Ay Meri Rooh-E-Chaman Khak-E-Lahd Se Teri,


Aaj Bhi Mujh Ko Tere Payar Ki Khushboo Aati He,


Zakham Seene K Mehkte Hain Teri Khushboo Se,


Wo Mehak He Keh Meri Sans Ghuti Jati He,


Mujh Se Kaya Baat Banaye Gi Zamane Ki Jafa,


Muat Khud Aankh Milate Huye Sharmati He,


Main Aur In Aankhon Se Dekhon Tujhe Paiwand-E-Zameen,


Is Qadar Zulam Nahi Haye Nahi Haye Nahi,


Koi Ay Kash Bujha De Meri Aankhon K Diye,


Chheen Le Mujh Se Koi Kash Nigahein Meri,


Ay Meri Shama-E-Wafa Ay Meri Manzil K Charagh,


Aaj Tareek Hui Jati Hain Raahein Meri,


Tujh Ko Rowon Bhi To Kaya Rowon ?


Keh In Aankhon Mein,


Ashak Pathar Ki Tarah Jam Se Gaye Hain Mere,


Zindagi Arsa Geh Jahad Muslsil Hi Sahi,


Aik Lamhe Ko Qadam Tham Se Gaye Hain Mere,


Phir Bhi Is Arsa Geh Jahd Muslsil Se Mujhe,


Koi Aawaz Pe Aawaz Diye Jata He,


Aaj Sota Tujhe Chorh K Jana Ho Ga,


Naaz Ye Bhi Gham-E-Doraan Ka Uthana Ho Ga,


Zindagi Dekh Mujhe Hukam-E-Safar Deti He,


Ik Dil Shola Bajan Sath Liye Jata Hon,


Har Qadam Toone Kabhi Azam Jawan Bakhsha Tha,


Main Wahi Azam-E-Jawan Sath Liye Jata Hon,


Choom Kar Aaj Teri Khak Lahd K Zare,


In Ginat Phool Mohabbat K Charhata Jaon,


Jane Is Simat Kabhi Mera Guzar Ho K Na Ho,


Aakhri Baar Gale Tujh Ko Lagata Jaon,


Lakhnon Mere Watan

Mere Chaman Zar Watan,


Dekh Is Khak Ko Aankhon Mein Basa Kar Rakhna,


Is Amanat Ko Kaleje Se Laga Kar Rakhna...........!


Page 29 33

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo