Ashak Rawan Ki Nehar Hai Aur Hum Hain Dosto

 

 

Poet Muneer Niazi

Type By 

UJRRA_DIL 

 

Ashak Rawan Ki Nehar Hai Aur Hum Hain Dosto,

Us Be Wafa Ka Shehar Hai Aur Hum Hain Dosto, 

 

Ye Ajnabi Si Manzilain Aur Raftgan Ki Yaad,

Tanhaiyon Ka Zehar Hai Aur Hum Hain Dosto, 

 

Layi Hai Ab Urra K Gaye Muasamon Ki Baas,

Barkha Ki Rut Ka Qehar Hai Aur Hum Hain Dosto, 

 

Dil Ko Hajoom-E-Nakhat-E-Meh Se Lahoo Kiye,

Raton Ka Pichhla Pehar Hai Aur Hum Hain Dosto, 

 

Phirte Hain Misal-E-Muaj Hawa Shehr Shehr Mein,

Aawargi Ki Lehar Hai Aur Hum Hain Dosto, 

 

Aankhon Mein Urr Rahi Hai Luti Mehfilon Ki Dhool,

Ibrat Sara-E-Dehar Hai Aur Hum Hain Dosto.......!

.

Kulyat-E-Niazi

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo