Poet Khaleelullah Farooqi
Main Aisi Mohabbat Karta Hon,
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho,
Tum Jahan Pe Beth K Jati Ho,
Main Wahein Pe Betha Rehta Hon,
Us Cheez Ko Choota Rehta Hon,
Main Aisi Mohabbt Karta Hon,
Tum Jis Se Hans K Milti Ho,
Main Us Ko Dost Banata Hon,
Tum Jis Raste Par Chalti Ho,
Main Us Se Aata Jata Hon,
Main Aisi Mohabbat Karta Hon,
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho,
Tum Jin Ko Dekhti Rehti Ho,
Wo Khawab Sarhane Rakhta Hon,
Tum Se Milne Julne K
Kitne Hi Bahanay Rakhta Hon,
Main Aisi Mohabbat Karta Hon,
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho,
Tum Jahan Bhi Beth K Jati Ho,
Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho,
Main Wahein Peh Betha Rehta Hon,
Us Jaga Ko Choota Rehta Hon,
Main Aisi Mohabbat Karta Hon,
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho,
Kuch Khuwab Saja Kar Aankhon Mein,
Palkon Se Moti Chunta Hon,
Koi Lams Agar Choo Ja Aa To,
Main Pehron Us Ko Sochta Hon,
Sawal-E-Mohabbat,
Tum Jahan Bhi Beth Kar Jati Ho,
Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho,
Main Wahein Par Betha Rehata Hon,
Us Cheez Ko Choota Rehta Hon,
Main Aisi Mohabbat Karta Hon,
Tum Kaisi Muhabbat Karti Ho,
Jis Bagh Mein Subah Tum Jati Ho,
Jis Sabze Par Tum Chalti Ho,
Jo Shakh Tumhein Choo Jata Hai,
Jo Khushbo Tum Ko Bhati Hai,
Wo Ous Tumharay Chehre Par,
Jo Qatra Qatra Girti Hai,
Wo Titli Choom K Phooloan Ko,
Jo Tum Se Milne Aati Hai,
Wo Tum Ko Choomne Aati Hai,
Jawab-E-Mohabbat,
Main Aisi Mohabbat Karti Hon,
Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,
Tum Jab Bhi Ghar Par Aate Ho,
Aur Sab Sai Batein Karte Ho,
Main Ot Se Parde Ki Janib Se,
Bas Tum Ko Dekhta Rehti Hon,
Ek Tum Ko Dekhne Ki Kahtir,
Main Kitna Pagal Hota Hon,
Jab Darwaze Par Dastak Ho,
Ya Ghanti Phone Ki Bajti Ho,
Main Sab Kuch Chore K Bhagta Hon,
Aur Tum Ko Jo Na Paon To,
Ji Bhar K Rone Lagti Hon,
Main Aisi Mohabbat Karti Hon,
Mehfil Main Kahein Jab Jana Ho,
Kaproan Ka Selection Karna Ho,
Rang Bahut Se Samne Bikhre Hon,
Us Rang Pe Dil Aa Jata Hai,
Wo Rang Tum Ko Bhata Hai
Main Aisi Mohabbat Karti Hon,
Rozana Apne College Mein,
Kisi Aur Ka Lecture Sunate Howay,
Ya Break K Khali Ghante Mein,
Sakhion Se Batein Karte Howay,
Mere Dehan Mein Tum Aa Jate Ho,
Main, Main Nahi Rehti Jana,
Main Tum Mein Gum Ho Jati Hon,
In Aankhoan Mein Kho Jati Hon,
Bas Tum Mein Gum Ho Jati Hon,
Main Aisi Mohabbat Karti Hon,
Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,
Wo Faiz Ho,
Meer Ho,
Ghalib Ho,
Wo Ashghar, Jigar Ho Jalib Ho,
Wo Saif Adeem Ho Farhat Ho Wo Sajid Ho Wo Amjid Ho,
Sab Meri Meri Fehm Se Bala Hai,
Kaisa Ye Khel Nirala Hai,
In Sab Ko Ghanto Parhti Rehti Hon,
Main Aisi Mohabbat Karta Hon,
Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,
Sab Kehte Hain K Dunia Ka,
Har Rang Tum Hi Se Roshan Hai,
Main Aisi Mohabbat Karta Hon,
Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,
Mere Ishq K Daawedaar Hain Sab,
Sab Mujh Ko Husn Ki Devi Kehte Hain Par Mujh Ko,
Aisa Lagta Hai Har Rang Tum Hi Jajta Hai,
Tum Na Ho To Be Rang Hon Main,
Be Rang Hai Tasveer Meri,
Tum Khawab Mera Tabeer Meri,
Tum Se Hai Juri Har Taqdeer Meri,
Jo Khak Tumhain Choo Jati Hai,
Main Us Matti Pe Marti Hon,
Main Aisi Mohabbat Karti Hon,
Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,
Tum Jab Bhi Ghar Par Aate Ho,
Sab Se Mil Beth K Batein Karte Ho,
Main Parde Ki Oot Mein Jana,
Bas Tum Ko Dekhti Rehti Hon,
Aik Tum Ko Dekhne Ki Khatir,
Main Kitni Pagal Si Rehti Hon,
Meri Jis Chehre Par Bhi Nazar Pare,
Wo Chehra Tum Sa Lagta Hai,
Wo Sham Ho Ya Dhoop Sab Kitna Bhala Lagta Hai,
Main Aisi Mohabbat Karti Hon,
Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,
Main Aisi Mohabbat Karta Hon,
Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho,
Tum Jab Bhi Samne Aate Ho,
Aye Kash Kabhi Tum Ye Keh Do,
Main Tum Se Sunna Chahti Hon,
Tum Mujh Se Mohabbat Karte Ho,
Tum Mujh Ko Behad Chahte Ho,
Lekin Tum Jane Kion Chup Ho,
Ye Soch Kar Dil Ghabrata Hai,
Aisa To Nahi Na Jana,
Sab Meri Nazar Ka Dhoka Hai,
Tum Ne Mujh Ko Chaha Hi Na Ho,
Koi Aur Hi Dil Mein Rehta Ho,
Main Tum Se Pochna Chahti Hon,
Main Tum Se Kehna Chahti Hon,
Lekin Kuch Poch Nahi Sakti,
Mana K Mohabbat Hai Phir Bhi,
Lab Apne Khol Nahi Sakti,
Khawabon Mein Bahut Kuch Bolti Hon,
Par Samne Chup Hi Rehti Hon,
Main Larki Hon Aisi,
Tum Kaisi Mohabbat Karte Ho........!
Book
Main Aisi Mohabbat Karta Hon
Page 330 to 335
Comments
Post a Comment