Khuda Se Hussan Ne Ek Roz Ye Sawal Kia

 

 

 

Poet Allama IQBAL 

 

Khuda Se Hussan Ne Ek Roz Ye Sawal Kia,

Jahaan Main Kyun Na

Mujhe Too Ne Lazwal

Kiya,

Mila Jawab K Tasveer

Khaana Hai Duniya,

Shab-E-Daraaz Adam

Ka Fasana Hai Duniya

Huwi Hai

Rang-E-Tagher Se Jab

Namood Es Ki,

Wahi Hasseen Hai

Haqeeqat Zawaal Hai

Hai Jis Ki,

Kaheen Qareeb Tha

Ye Guftagoo Qamar

Ne Suni,

Falak Pe Aam Huwi

Akhtar-E-Sehar Ne

Suni,

Sehar Ne Tare Se Sun

Kar Sunaai Shabnam

Ko,

Falak Ki Baat Bata Di

Zameen K Mehram Ko

Bhar Aaye Phool K

Aansoo

Piyam-E-Shabnam Se,

Kalli Ka Nanha Sa DIL

Khoon Ho Gaya Gham

Se,

Chaman Se Rota Hua

Mossam-E-Bahaar

Gaya,

Shabaab-E-Seer Ko

Aaya Tha Sogwaar

Gaya..............?

Book Name

Bang E Dara

Page No 73

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo