Poet Naseer U Deen Naseer
Meri Zindagi To Firaq Hai
Wo Azal Se Dil Mein Makeen Sahi
Wo Nigah-E-Shoq Se Door Hain
Rag-E-Jan Se Lakh Qareen Sahi,
Humain Jan Deni Hai Aik Din,
Wo Kisi Tarha Wo Kahein Sahi,
Humain Aap Khainchiye Dar Par,
Jo Nahi Koi To Humain Sahi,
Sar-E-Toor Ho Sar-E-Hashr Ho Humain Intezar Qabool Hai,
Wo Kabhi Milein Wo Kahein Milein,
Wo Kabhi Sahi Wo Kahein Sahi,
Na Ho Un Pe Kuch Mera Bas Nahi,
K Ye Aashqi Hai Hawas Nahi,
Main Unhi Ka Tha Main Unhi Ka Hon,
Wo Mere Nahi To Na Sahi,
Mujhe Bhethne Ki Jaga Mile,
Meri Aarzoo Ka Bharam Rahe,
Teri Anjuman Mein Agar Nahi,
Teri Anjuman K Qareen Sahi,
Tera Dar To Hum Ko Na Mil Saka,
Teri Rahguzar Ki Zameen Sahi,
Humain Sajda Karne Se Kaam Hai,
Jo Wahan Nahi To Yahi Sahi,
Meri Zindagi Ka Naseeb Hai,
Nahi Door Mujh Se Qareeb Hai,
Mujhe Us Ka Gham To Naseeb Hai,
Wo Agar Nahi To Na Sahi,
Jo Ho Faislaa Wo Sunaiye,
Usay Hashr Par Na Uthaiye,
Jo Karain Gay Aap Sitam Wahan,
Wo Abhi Sahi,
Wo Yahein Sahi,
Unhain Dekhne Ki Jo Lo Lagi,
To Naseer Dekh Hi Lain Gay Hum,
Wo Hazar Aankh Se Door Hon,
Wo Hazar Parda Nasheen Sahi....................!
Comments
Post a Comment