Chandni Jheel Na Shabnam Na Kanwal Mein Hoga, Ab Tera Aqas Faqat Meri Ghazal Mein Hoga

Poet
Mohsin Naqvi

Collcetion UJRRA_DIL

Chandni Jheel Na Shabnam Na Kanwal Mein Hoga,

Ab Tera Aqas Faqat Meri Ghazal Mein Hoga,

Aur Aik Saans Ko Jeene Ki Tamana Kar Lain,

Aik Lamha To Abhi Dasht-E-Ajal Mein Hoga,

Raakh Maazi Ki Kuredo
Na Palat Kar Dekho,

Aaj Ka Din Bhi Huwa Gum To Wo Kal Mein Hoga,

Kion Kisi Morrh Pe Ruk Ruk K Sada Dain Us Ko ?

Wo To Masroof Musafat K Amal Mein Hoga,

Hijar Walo Wo Adalat Bhi Qayamat Hogi,

Faisla Aik Saddi Ka Jahan Pal Mein Hoga,

Us Ko Neendon K Nagar Mein Na Basaao Mohsin,

Warna Shamil Wohi Neendon K Khalal Mein Hoga................*


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo