kafir geso vaalon ki raat basar yun hoti hai husn hifazat karta hai aur jawani soti hai

Poet:Saghar Nizami

Type By

*.__NOMI__.*

kafir geso vaalon ki raat basar yun hoti hai 

 husn hifazat karta hai aur jawani soti hai

 mujh mein tujh mein farq nahin mujh mein 

farq hai ye tu duniya par hansta hai duniya mujh par hansti hai

 sabr-o-sukoon do dariya hain bharate bharate hain 

 taskeen dil ki baarish hai hote hote hoti hai

 jeene mein kya raahat thi marne mein

 takleef hai kya tab dunya kyon hansti thi 

ab dunya kyon roti hai dil ko to tashkhees hui 

chaaragaron se poochhun ga dil jab dhak-dhak karta hai

 wo haalat kya hoti hai raat ke aansoo ai 'Sagar'  

phoolon se bhar jate hain subah-e-chaman is pani se kaliyon ka monh dhoti hai.


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo