Lab-o-Rukhsaar Ka Tuhfa,Gul-o-Gulzaar Ka Tuhfa Suna Hai Eid Pe Den Gey Humain Wo Piyaar Ka Tuhfa

 تحفہ
لب و رخسار کاتحفہ،گل و گلزار کا تحفہ
سنا ہے عید پہ دیں گے ہمیں وہ پیار کا تحفہ

مرے آنگن کا ہر کونہ سجارکھا ہے یوںمیںنے
بہاروں نے دیا ہو جیسے حسن یار کا تحفہ

مری قسمت پہ نازاں ہیں فلک کے یہ ستارے بھی
ملا کرتا ہے سب کو یوں کہاں اظہار کا تحفہ

نظر ہٹتی نہیں آئینہ پہ جب سے جمی میری
دیا جب سے ہے مجھکو ہاراورسنگھارکا تحفہ

حنائ رنگ کھلتا ہے کبھی ہاتھوں پہ آنکھوں میں
محبت میں ملا کرتا ہے ا کثر خار کا تحفہ

Tuhfa

Lab-o-Rukhsaar Ka Tuhfa,Gul-o-Gulzaar Ka Tuhfa

Suna Hai Eid Pe Den Gey Humain Wo Piyaar Ka Tuhfa

Mere Aangan Ka Har Kona Saja Rakha Hai Yun Main Ne

Bahaaron Ne Diya Ho Jaise Husn Yaar Ka Tuhfa

Meri Qismat Pe Naazaan Hain Falak Ke Ye Sitare Bhi

Mila Karta Hai Sab Ko Yun Kahan Izhaar Ka Tuhfa

Nazar Hat'ti Nahi Aaiena Pe Jab Se Jami Meri

Diya Jab Se Hai Mujh Ko Haar-o-Singhaar Ka Tuhfa

Hinayi Rang Khilta Hai Kabhi Haathon Pe Aankhon Mein

Muhabbat Mein Mila Karta Hai Aksar Khaar Ka Tuhfa.....!

**********NOMI**********

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo